Friday, December 10, 2010

Fareb



Fareb...ye lafz apni manuviyet ke etbar say khatarnak bhi hai aur haseen bhi...vo yon ke fareb jo dusron ko diya jaye vo gunaah say kum nahi..vo fareb jo khud ko diya jaaye badi jazibiyet rakhta hai...ek ummid ka bahana....ab ye fareb khilaye bhi jaatey hain..khaaye bhi jaatey hain..halath ki dane hote hain sadmaath...mayusiyan....insan insay jujhtta hua kabhi khud ko haar jaata hai...kabhi khud ko paaleta hai..hara hua khwabon ki raah pakad leta hai..ke kuch tou jene ka samaan ho...ye khwaab khudfarebi ki raahon per le chalte hain..phir chahe is safar ki koi manzil na sahi ,ye safar dilbastagi ke mosam faraham karta hai...thake hare mayus badan ekbar phir ji uthte hain apni tamamtar shaadabi ke saath..chund lamhe khudfarebi ke zindgi banne lagte hain....yon ek dewana dil khush holeta hai....

Ye daur haseen khudfarebi ka bada na-paayedar hota hai...jhut ko sabaat kahaan॥,vo tou nazar ka dhoka hote hain...aankh khuli ke ojhal....magar ye tajrubaath jaate jaatey kuch de kar hi jaatey hain॥zindgi ki haqeeqaton say rushanaasi ke pahla qadam derd ki saughaath hi tou hai...phir kya vo safar shuru hota hai jahaan insan apni kotahiyon per,apni khamiyon per॥apni khahishon per ghaur-o-fikr kartey huye zindgi ki aham raahen taye karta hai....ye fareb haaye kya kya manzar dikhaye....insaan khud ko kho kar khud ko paaye....

Monday, July 19, 2010

Na le Aur imtihaan...


Na le aur imtihaan...teri atta ke intizaar ne serd kardi hai meri jaan...jism sath chod dega ekdin..ye khabar tou thi mujhe...magar waqt kaunsa hoga ye nahi tha patta...Aah ! socha na tha ye bhi hoga ekdin..saare qile etbaar ke dhaa jaayega vo..khud apni hasti ke zaa-am may hazaar dil rond jaayega vo..nahi nahi ye sach nahi...Aye khuda..kaash khwaab hi ho jo bhi ab tak hai ghataa...mai maangti hun tujhse phir wahi aasra...mai paajaaun kabhi is israar ka sira...aakhir ye sab tha kya...de kar dilaasa mujhe mere ansuvon per ye kaun hai hansa...mai na rovungi mere meherbaan...ab ke barsaath ke liye tu dhundna aur sehera koii...tere junun ka shikaar ab dil nahi...khud hogi arzu teri...tujhe khabar nahi ke hai khabar mujhe..mai jaan kar anjaan hun...meri saanson may jo sargam hai teri....mujh may madgham hai jo hasti teri..haqeeqaten samjha rahi hai her pal nit naii...nahi nahi ab mujhe ghum nahi..ke mujh ko hogaii hai khabar..gar chahta mera khuda...na azmaata mujh ko bakhuda...us se behter kaun janta hai mujhe....uski chahten bhi wahi jo uske mehbub ko mehbub theen...vo mehbub do jahaan...apni ummat ke liye rehmaton ka jaam hai...uske naam leva aashiqaan-e-be-zubaan...phir kyon na sunenge vo meri khamoshiyaan...ummid ka diya derd se hi hai jala....kya fiker chale gar ghum ki hawa....

Friday, July 16, 2010

Tuu Jaanta Hai.....


Baghawaton per na kabhi yaqeen tha jisey, uske jism ne baghawaton ki thaan li..aaj ek khush-gawar mizaaj ne chupke se apni badalti tabiyet ki baat maan li...yon bhi tou ekdin hota hai..yon bhi ek daur aata hai..kal talak jis niyamat ka na ehsaas tha,aaj vo lagne lagti hai qeemati...uski rehmaton ke tale kitni zindagiyaan panap utheen..kitne dil sakun paa gaye..kahin ye niyamaten chin gayeen...kahin rehmaton ne kaha,tuu ne haq na ada kiya...yeh hai uski saza...nahi nahi...maula abhi nahi....abhi tou kuch kaha nahi...abhi tou kuch suna nahi...


tere ilzaam sab bajaa...hum khaakhi khatavon ka dher hain...per tujhse hai yehi iltija....jiske qaabil samjha tune humen,us ke liye kuch muhallath tou miley...zara taaqaten juta tou lun...zara tawanaii ko awaaz dun...mere hauslon ki jo jaan hain,un mohabbaton ka mai naam lun..kitne firqon may hai bati..kitne hadison may ghati..phir bhi mehak rahi hai her kahin...tujhey bas unhi mohabbaton ka waasta...mujhe miljaaye mera raasta....manzilon ki nahi chah hai...ke her raasta khaas hai...jo tujh tak aa mile..ke tu shah-e-rag se bhi paas hai..tu jaanta hai zaruraten meri..tu jaanta hai meri Dua....

Tuesday, July 6, 2010

Ye Aankhon ka Sehra............


Her giley se pahele khataa mil rahi hai....
her shubah se pehle saza mil rahi hai..
ye zindgi ajab hai sada mil rahi hai..
her subah lagta hai khafa mil rahi hai...
koii shaam ghum ki hosh-ruba mil rahi hai...........
mujhe tere sitam ki dua mil rahi hai....

Tu hans hans ke dekh na...meri bebasi ko..mai bebas sahi ,mera khuda bebas nahi hai..vo jaanta hai uske bandon ka koii uske siwa nahi hai..mere ashk hogaye sehra...mera ghum hogaya hai darya..deewane gharqh hone ko kya ye kaafi nahi hai..mai doobi hun saara jahaan saath lekar....tu doobne de ye haq tujh ko nahi hai...maseehaii keemiya hai....ye yaad rakhna...aye dast-e-karam ,karam hi karna.......mai muntazar hun mujhe mayus nahi karna..

Thursday, June 3, 2010

Ye Ashk Agar.........



jub derd had se guzarta hai tab khud ko chupaane ki khaatir kitni baaten karti hun...izhaar-e- mohabbat bhi apni shiddat per hota hai..her rishte se ye kehti hun mai tumse mohabbat karti hun..ek rela ashkon ka palkon per ruka hua bahne ki tamanna may khud ko bebas paa kar kitna machla tha laikin..unko ijazat kahaan milni thi...apni tabiyet hi kuch aisi hai...kahin ye ashk agar bah nikle....koi sherminda na hojaaye..kahin inki zad may koi aur bhi na bah jaaye....bhule se bhi koi chot na khaaye...maana ke khatayen unki hain...per wafaayen tou apni hain....unko na kabhi maut aaye....

Wednesday, May 26, 2010

Ishaara


Bada nadaan hai ye..maan kyon nahi leta.....jaan kyon nahi leta...haqeeqat keh rahi ho jub khud apni zubaan se..azal se insaan lad raha hai shaitaan se...veeraani hi uska thikana hai..pashemaani usey raas kahaan aati hai..jub sunnata chaya ho batin may...jub dil na lagta ho gulshan may...jub shore sunaii na deta ho....jub ghar bhi dasht lagta ho....rishte paraaye hone lagenge jub...samjh lijiyo,yehi vo mauqa hai jub hona hota hai nazara-e-haq .phir bhi nafs ki gar yehi khahish ho..ho na ho ye bhi bharam hoga...jo sada saath tha apne gar gum hogaya sitam hoga....Arzu ke taqazon ka silsila purana hai...tumhen inki hadon se nikal kar abhi bahut door jana hai...


Usne kaha tha..her ujala roshan nahi hota..andheron se ghabrane se kya haasil...raat aur din donon se roz ka hi milna hai...

Saturday, April 24, 2010

Etmaad


kisi ko koi haq nahi hai koi khayaal qayam karne ka...jub talak kisi ke ahwal se mukammal taur per waqif na hojaaye....aur kisi ka mukammal ahwal khud us ke siwa koi kaise jaan paayega...isliye izhaar-e-khayaal se parhez sud-mand hai...ab dekho...do dil bechaare gaye maare....ek shajar unsiyet ka lamhon ki dhoop may apni taazgi kho baitha hai...kitna hissas hota hai rishta etmaad ka...

Ajab ehsaas hai...kuch chut gaya ho jaise..jaise koi ehsaas khatam hogaya ho...aur vo bhi is tarha ke apni be-zubani se bhi muh mod kar aage badh jaane chahe jaise...hmmmm kyon hua hai aisa...kya un do lafzon ne,us ek jumle ne rooh ki perwaz chin li ? Aakhir kyon? mohabbaton ke perde kabhi yon bhi chaak hote hain...kisi se wabsta ummiden yon bhi khaak hoti hain...ummid bhi mohabbat hai..mohabbat ki hi ummid hai...beshter Auqat her chah ko raah nahi milti...naya kuch bhi nahi hai..haan ab vo daur nahi raha jahaan her naii mauysi milne waali her naii ummid se behel jaaya karti thi...Ab vo dil bhi nahi raha..jisey behlaya jaa sake....ab ye daana-o-beena jo hogaya hai..


Sabr-o-qarar ki baaz dafa kitni ashad zarurat hoti hai..aur tab ye asaani se haath nahi aatey...koi suni agar un-suni ho sakti tou is siffak khayaal ko pesh karne waale lafzon ko un-suna kiya jasakta tha...per nahi..ye gunj ban chuke hain..ye bazgasht ka roop le chuke hain...yehaan tak ke meri nek-niyaati per sawaal uthaane lage hain...kahin tumhare andar waqi koi chah nahi thi..bahut tatola...ye rishtey tou chahon se hut kar bane they...yehaan khulus ki mehak aati thi...ek aisi mohabbat inka serchasma thi , jo her mehbub-o-marghub dil ko ek dusre se qareeb kar rahi thi...wahaan khahishon ka....numaishon ka bhala kya kaam....

kya mohabbat kisi ek ki meeraas hai? nahi ye ek common wealth hai, ek dusre ki fitraton ka izhaar hai...ye tou us waqt se mehak rahi hai jub se Aaqa dil may samaaye...aur ye us waqt ki baat hai jub shauur ne apni aankhen kholi bhi nahi theen ke dil waa hona shuru hogaya tha...ek khubsurat ehsaas is baat ka gawah hai....ye karam mere khuda ka....vo jisey chahe unka deewana bana de....ye jisey chahe apni ore bula le....ye jisey chahe mohabbat ki raah chala le....ye waqi meeraas hai un dilon ki jo unke naam pe dhadke hain..unke zikr pe tadpe hain..unki hasrat may roye hain....zaar zaar...baar baar...be-shumaar.....



Thursday, April 22, 2010

Jazbaat Ka Safar


hmmmmmmmm aaj phir ye derd kehte hain..ke tu abhi tak apni zaat ke safar per hi hai..abhi apne khaul se bahar nikla hi nahi..warna ye lahu rista nahi...ek chot lagi zakhm ro pade..aisa kyon hai...na...na...tujhe tou abhi kaii darya abur karne hain...ye tou manjdhar hai...kashti..patwar..saahil ...sab chutenge.....maajhi bhi kya patta sang ho na ho....haan ek tere bharam tere saath chalenge...unhen mazbuti se thaame rakhna..ekdin yehi yaqeen ka matlab samjhayenge..ek din yehi manzil ka nishan hojaayenge...ekdin yehi manzil kehlayenge...


 
Mere khuda...mere khuda....ajab hain ye ehsaas bhi...inhen ummid kyon hai apni pazeerai ki...kya hua koi jhinjod gaya inhen apni tursh ruii se...kya patta kisi ne uski saansen mushkil kardi hon...kahin usne bilbila kar mere gale se ghut-ti huii saansen talab ki hon...ye zabt hi tou is marhale se guzra hai..ke kahin mere derd ka ehsaas uske ehsaas se na guzre...kahin meri ghuti ghuti siskiyon se usey koft na ho....is kasmakash ne ajab haal kiya hai dil ka...zabt ke baandh hain ke tutey jaarahe hain...zabt hai ke nibah ki deewar thaame khada ladkhada raha hai...Allah mere Allah iski laaj rakhna...

Her mamla tere suprud hai Maula....mai teri...mera her ansar tera...mujh se serzad her amal tere aage ser-nigun hai....meri deewangi kehti hai yarab tu mujhe sherminda hone nahi dega...mujhe apne saaye-e-remath may asra dega....mujhe apni mohabbat ki panah may lega....mujhse koi khata hone nahi dega.....

Wednesday, April 21, 2010

Aye Ghum-e-Meherbaan


Aaj phir kahin kisi shaye ke chatakhne ki awaz sunaii di..Aah! kahin ye kambakht mera Dil tou nahi..uff..kitna samjhaya gaya isey...phir bhi baz nahi aata...etbaar ki seedhiyaan kitni sura-at se chad leta hai ye...isey shauq jo hai chot khaane ka..isey shauq hai lut jaane ka..isey shauq hai haar jaane ka..isey shauq hai maar khaane ka.....


waqi Aapne sahi kaha..jo nazar aata hai vo hota nahi...andha bharosa andha hi rehta hai.bharosa nahi rehta...shayed is taklif ki shiddat ki ek hi wajah hai...sakun ki gali samjh kar jahaan qadam rakha tha..wahaan bhi namud ki gunjaish nikli...waqi sukun tou apne andar maujud hota hai..apni mohabbat ke yaqeen ka ....log nadaan hain...vo kahaan dil tak safar kar paate hain...vo kahaan jaan paatey hain ke junun ki arzu kya hai?

Dil-e-Be-qarar ki be-qarariyaan badha kar kisi ko kya mila ? koi kahaan kisi ko be-sakun kar ke sakun hasil kar saka...log apne aqal-o-faham ka gumaan karte hain...magar wahaan bhi fareb-e-nazar hai...apni asal tak pahunch nahi paatey..apni haqeeqaton se aankhen milaana hi nahi chahtey...yehaan bhi khahishen hain jabaja..yehaan bhi arzu hai ....gharz her koi gharzmand hai..aur ye na-munasib bhi nahi..haq hai unhen....talab ka....tabir ka....

Aye Mere Dil-e-Nadan...tu ghum se na ghabrana...unka tou sadion se teri gali laga hai aana jaana...patta nahi kyon ansu machal rahe hain...ye pachtawa hai..apni nadani per..jo lafzon ko haqeeqat maan kar haath aaya hai...waqi ye bhi kya kum hai...koi dil ko apni jhuti baaton se hi sahi behla gaya hai..uski koshish ke peeche chupa tamskhar hi shaayed is aziyet ka sabab hai..khair ye khaar bhi phul ban jaayenge...inhen bhi hum apne seene may chupalenge.....

Thursday, April 15, 2010

Tu Agar Sang Hai


Zindgi her pal waqi ek naii jung hai..jeet jaayenge hum tu agar sang hai..yarab tu ne mujh may jo chuna vo teri hi baat hai..tera bakhsha hua jazba-e-hayaath hai..mujhey khushi hai ..ehsaas ke is safar ko apni nazar se dekha hai jub...saari baaten sahi ek andaz hi ghalath...log kub apne dilon ki sunte hain...unhen itni fursat kahaan...unki basaraten bhi asli nazaare se mehrum hain...ek perda jo haayel hai darmyaan...Aah! ye tera karam hai ke tune meri nazar se vo perda zara sa sarka diya..mujhe khud se mila diya....aaj bhi mai hun wahi..per kuch zyada hun teri...meri khamoshi may hai gunj tu...meri soch ki manzil hai tu...


Yehi hain meri rahbar...In mohabbaton ka mai kya karun jo mujhe kabhi ghalath hone nahi deteen..ye hisaab kisi ki be-rukhi ka kabhi na rakh sakeen...ye nafraton may bhi kabhi na mar sakeen....na ye zamaane ki serd mohri se hi dar sakeen..aaj bhi mujh may taaza hawa ka jhonka hain ye....un dilon ke liye aaj bhi ek mauqa hain ye...mai jaanti hun ke tu hai wahaan....mera na koi hai jahaan...mujhe ghum nahi ke koi mujhe kal purzon ki tarha chalaaye jaata hai yehaan...mere lahu ki rawani ne bhi yehi kaha...tu apni gardishon ko bhul jaa...tera karam hai yehi tu bas apna karam nibah...her gharz se mil kar jaana yehi.....ye saari duniya hai ghalath bas ek tu hi sahi....

Saturday, March 6, 2010

Mere Dost



Mere dost tujhey ye kya hua,Tu zamane-bhar se kyon hai khafa , ye tera mizaj kaise badal gaya, teri nerm-dili thi ek nasha , teri kaifiyet ka khumar hai kahaan, teri aadaton may jo shumaar tha, us adal ko kya hua…..teri haqparasti ki mashaal se jaley they dil kaii…teri roshni ka jo sabut they,unhen ab yon na jalaa…ab bhi waqt hai baaz aa…jo ghata usey bhul jaa…insaaf ki maang ye sahi..magar muafi ka ajar hai sab se bada…tere zabt ki misaal de….tu apne sabr-o-malaal ki taazeem kar…ye khuda ki hikmaton ka hai sira…tere karam ki kasoti hai ye…tu dar-e-azeem ka salaar hai…teri sipahgiri se na hai koi gila…tu ban jaa wahi baarishen…tu karde aam phir apni mohabbaten…unhi may chupi hain Rab ki rehmaten….ekbaar meri maan jaa…mujhey meri saansen bakhsh de…meri zindgi karde teri atta…mai jaanti hun mera yaqeen…tere gird hi mahu-e-raqs hai…mere yaqeen ko na azmaa….meri yaqeen ki hayaath tujhi se hai…meri her jeet maat tujhi se hai…teri aabru hai meri…tere derd saare mujh may bhi hain…ye meri khamoshi tteri khamoshi ka haasil hi hai…tere pyaam se ghaafil nahi..tu apne asal se na nikal…Aye Raah-e-junun zara sanbhal.....

Tuesday, March 2, 2010

Ya Rab


Ya Khuda..apne qareeb aane waalon ko qurbaton ki raahen sujha kar unhen rahon may na uljha..tere bande kamzor hain..teri hikmaten israar ...unhen apni raahon per seedhe chala...unhen gumrah se na azma...kyonki imtihanaath tere bandon ke kade hain....uske atraaf khatrey bade hain..dostnuma dushman her taraf khade hain...vo dost jo haath thaam kar manzil ka raasta asaan karte hain kya kabhi vo raah mod kar purkhatar raahon ki taraf raah mod denge? aakhir kyon? kya nafs unka bhi hai? jo unhen raah bhatkane per maayel kardega? bande ki safaii per maamur ahalkar gar khud aaluda hojaayenge phir yaqeen ka kya hoga? vo yaqeen jo ek bhatke huye musafir ko sirat-e-mustaqeem ki taraf lejaata hai...vo yaqeen jo taareek gehraiyon se nikaal kar saaf-o-shafaaf sitah per le aata hai..kya un ka nakhuda unhen kinaron per laa kar gharq kardega...mujhey yaqeen hai tere faiz-o-karam ka yaqeen paar laga dega...

Ya Rab teri rehmath se yehi ummid hai...ke tu apne daman may panaah dega...


Monday, February 22, 2010

Manzil


Hmmmmmmm zindgi aa tujhey phir thaam lun...Aaj phir in khusbuon ko tera naam dun..kya patta kal koii lamha kuch kahe na kahe..aj jitna bhi hai mujh may rahe na rahe...ilm ki shert kadi hai..israar ki umr badi hai...per agahi waqt ko salb kar leti hai...ke jub manzil mile musafir ka gum hojana laazmi ...pas yeh gumshudgi usi ka pesh khima hai...haathon se sab nikla jaraha hai...koii sira haath nahi aaraha hai...na ufaq na kinarey...bas ek dhund si hai ird gird hamaare....

Phul bhi khiley hain...hawaon may bhi nami hai..phir bhi koi kami hai...wahi duniya ke nashtar,wahi zubaan khanjar..phir bhi kahin lahu tapka nahi...kahin koii Aah dabi dabi si nahi ubhri...in sunnaton ko cherti huii vo sada ab kisi aur ko sunna chahti hai...tabhi tou us paar ka musafir is paar dekhe jaaraha hai..do qadam ki musafat ko taweltar bana raha hai...abhi kaai dar khulenge...abhi dil payaam lenge...

Ishq ki manzil se tou khud khuda bhi na bach saka

Tafseel-e-yaar ko quraan keh diya

Friday, February 12, 2010

Badi Ajeeb Baat Hai


Badi ajeeb baat hai..aaj khayal jub tha rubaru...hum khud ko kyon ajnabi lagey..wahi thi uski ada-e-beniyaazi ..wahi ukhda hua mizaj tha..phir bhi ab bhi wahi unsiyet ka ehsaas tha...ab bhi wahi ghumgusari ka haal tha.....vo naqab sarak bhi gaii..phir bhi vo naqab se ronuma hota nahi..khayal ko khayaal ki serhadon talak rokna aata hai usey...vo jaanta hai apni haden..ek haqeeqat ki tarha jo rehta hai sang sang...khayal ki ote se paighaam deta hai sabhi...ye wahi paighaam hain..jo phulon ki tarha her sehan-e-dil may mehak rahe hain abhi...ye badi ajeeb bat hai..badi ajeeb baat hai...

maine dekha hai jub bhi aasmaan
kya kahun kisko paya hai wahaan
her chehre ne kaha mai hun wahi
tu jisey dhundta hai kahan kahaan

Tuesday, February 9, 2010

Sailaab


Aaj kaafi dinon baad aye dairy teri yaad aai hai..tu us waqt yaad aati hai jub apne wajud ka ehsaas hota hai..ke is bheed may mai kahin hun...in mutaharik jismon ke sailaab may ek saaya mera bhi hai..mujh may abhi saansen maujud hain..magar koii shor bahar ka ab andar daakhil ho nahi paata...in hungamon ke darmyaan ek khamoshi hai..ek chup si lagi hai..aakhir ye hai kya...kyon hai aakhir ye gardish....waqt ki...

Musalsal zehn-o-dil ki zad-e-o-kob ne aakhir apni duhaii di...aur uski sunwaii ajab huii...bandh darwazon per dastak itni purshor thi ke azkhud waa hogaye they vo...phir kya tha..ek intihaii purjosh sailaab dar aaya tha andar...phir apna kuch bhi nahi raha...sab usi sailaab ke saath baha le gaya....mudaton ki gumshudgi aakhir ek khoj may tabdeel hogaii...aur us khoj ne apni maangen pesh keen...jo haasil hua vo besh baha hai...ehsaas khuda ka paighaam hogaye....

Thursday, January 21, 2010

Chahta hai kya ?


Ek ajeeb sa khuula hai, jo kabhi purr hi nahi hota..aakhir soch kis khoj may hai ? usey apne na hone ka gumaan sa kyon hai ? ye baar baar khud ka ghair haazir hona usey kya samjha raha hai ? ke uski haaziri kahin aur hai ? uski aankhon se dhundlkey chatne lage hain...usey apne wajud ka maqsad sunaii dena laga hai..koii baatin se pukarta hai...kehta hai..uth...uth jaa....yehi waqt hai ....maang le parwardigaar se...aankhen mila apne dil-e-sharmsaar se....ke umr tune khud apni talaash may guzar di...jo do chaar pal bache hain....un per inayet hogaii hai...tabhi tou tera haath thaam kar,tere ladkhadaatey qadmon ko sahaara dekar tujhe abadi manzil ki ore le jaaya jaaraha hai.....

Apna sar uthaa...zamaane ko bhul jaa...faqat itna yaad rakh....jo tere saath hai wahi wahed hai khuda...junun gar kisi ka ho..khayaal gar kuch kahe...aarzu bhi herdam kahe.....visaal ki chah may bhi wahi rahe....jahaan se tujhe apni rooh mili...wahi tou hai teri awal-o-aakhir gali....bas moqadar ka peecha na kar...na kar qismaton ka gila...milega wahi jo chahega vo , tera khayaal jahaan na pahunch sake, utna buland hai tera martaba....tu apne sharf ko yaad rakh..baaqi sab bhul jaa...apna karam nibaah....

Friday, January 15, 2010

Derd


Ye derd bhi ajab ehsaas hai..kahaan kahaan safar karta hai..ek tees si uthti hai seene may dhuaan sa dil se nikalta hai..iski manzil aankhen hain…ansuon se lamhabhar pehle karb ki intiha se guzarta hai..per isko tou safar karna hai…ehsaas fana kub hote hain..in hi se tou hasti hai..inhi ke saath hikmat rehti hai..insaan ke liye ye raah-e-imtihaan hain…sab jaante huye bhi ke ye derd hi beemaar zindgi ki dawa hain apne kal ki baqa hain..is derd ki shiddat ko ankhon se zaaya hone na dena mushkil marhala hai..isi may chupa derd-e-karbala hai..un azeem qurbanion may dabi dabi aahon ne yehi kaha hai…Rab sab jaanta hai…usey jis bande ka dil marghub hota hai usi ka tamaasha khoob hota hai.....

Tuesday, January 5, 2010

Kashmakash








jub kisi kasmaksh ka koii hul na niklta ho...koii raah nikalti dikhaii nahi deti ho...un behungaam lamhon se berabt chund lafz nikalte hain..aakhir insaan ko kya kya chahiye...ek zindgaani hai..us se bhi kum jawani hai..ye sab yehin reh jaayega...jo baaaqi rahegi vo kahaani hai...phir bhi ye khahish hai kisi ki khahish radd na ho yarab...bandon ke seenon may armaan bhi hote hain...teri rehmat se hi jeene ke samaan hote hain..


Yarab tune mujhe khud ke rubaru karke ajab haal kar daala...ab her dil ke rubaru hun mai....saare derd sunaii dete hain...saare andruni manzar dikhaii dete hain..aur mere labon per unki duayen kaanp jaati hain...Aye khuda sun le tu meri iltija..mujh gunahgaar ke seene may tune vo dil rakha jo apni hasrathon ke gerdaab may bhi sab ki naiya paar karane ki arzu may dast-e-talab uthaaye huye hai....Mai ehsaanmand hun tere karam ki...ke tune meri bakhshish ki..meri dua sunli....