Saturday, April 24, 2010

Etmaad


kisi ko koi haq nahi hai koi khayaal qayam karne ka...jub talak kisi ke ahwal se mukammal taur per waqif na hojaaye....aur kisi ka mukammal ahwal khud us ke siwa koi kaise jaan paayega...isliye izhaar-e-khayaal se parhez sud-mand hai...ab dekho...do dil bechaare gaye maare....ek shajar unsiyet ka lamhon ki dhoop may apni taazgi kho baitha hai...kitna hissas hota hai rishta etmaad ka...

Ajab ehsaas hai...kuch chut gaya ho jaise..jaise koi ehsaas khatam hogaya ho...aur vo bhi is tarha ke apni be-zubani se bhi muh mod kar aage badh jaane chahe jaise...hmmmm kyon hua hai aisa...kya un do lafzon ne,us ek jumle ne rooh ki perwaz chin li ? Aakhir kyon? mohabbaton ke perde kabhi yon bhi chaak hote hain...kisi se wabsta ummiden yon bhi khaak hoti hain...ummid bhi mohabbat hai..mohabbat ki hi ummid hai...beshter Auqat her chah ko raah nahi milti...naya kuch bhi nahi hai..haan ab vo daur nahi raha jahaan her naii mauysi milne waali her naii ummid se behel jaaya karti thi...Ab vo dil bhi nahi raha..jisey behlaya jaa sake....ab ye daana-o-beena jo hogaya hai..


Sabr-o-qarar ki baaz dafa kitni ashad zarurat hoti hai..aur tab ye asaani se haath nahi aatey...koi suni agar un-suni ho sakti tou is siffak khayaal ko pesh karne waale lafzon ko un-suna kiya jasakta tha...per nahi..ye gunj ban chuke hain..ye bazgasht ka roop le chuke hain...yehaan tak ke meri nek-niyaati per sawaal uthaane lage hain...kahin tumhare andar waqi koi chah nahi thi..bahut tatola...ye rishtey tou chahon se hut kar bane they...yehaan khulus ki mehak aati thi...ek aisi mohabbat inka serchasma thi , jo her mehbub-o-marghub dil ko ek dusre se qareeb kar rahi thi...wahaan khahishon ka....numaishon ka bhala kya kaam....

kya mohabbat kisi ek ki meeraas hai? nahi ye ek common wealth hai, ek dusre ki fitraton ka izhaar hai...ye tou us waqt se mehak rahi hai jub se Aaqa dil may samaaye...aur ye us waqt ki baat hai jub shauur ne apni aankhen kholi bhi nahi theen ke dil waa hona shuru hogaya tha...ek khubsurat ehsaas is baat ka gawah hai....ye karam mere khuda ka....vo jisey chahe unka deewana bana de....ye jisey chahe apni ore bula le....ye jisey chahe mohabbat ki raah chala le....ye waqi meeraas hai un dilon ki jo unke naam pe dhadke hain..unke zikr pe tadpe hain..unki hasrat may roye hain....zaar zaar...baar baar...be-shumaar.....



Thursday, April 22, 2010

Jazbaat Ka Safar


hmmmmmmmm aaj phir ye derd kehte hain..ke tu abhi tak apni zaat ke safar per hi hai..abhi apne khaul se bahar nikla hi nahi..warna ye lahu rista nahi...ek chot lagi zakhm ro pade..aisa kyon hai...na...na...tujhe tou abhi kaii darya abur karne hain...ye tou manjdhar hai...kashti..patwar..saahil ...sab chutenge.....maajhi bhi kya patta sang ho na ho....haan ek tere bharam tere saath chalenge...unhen mazbuti se thaame rakhna..ekdin yehi yaqeen ka matlab samjhayenge..ek din yehi manzil ka nishan hojaayenge...ekdin yehi manzil kehlayenge...


 
Mere khuda...mere khuda....ajab hain ye ehsaas bhi...inhen ummid kyon hai apni pazeerai ki...kya hua koi jhinjod gaya inhen apni tursh ruii se...kya patta kisi ne uski saansen mushkil kardi hon...kahin usne bilbila kar mere gale se ghut-ti huii saansen talab ki hon...ye zabt hi tou is marhale se guzra hai..ke kahin mere derd ka ehsaas uske ehsaas se na guzre...kahin meri ghuti ghuti siskiyon se usey koft na ho....is kasmakash ne ajab haal kiya hai dil ka...zabt ke baandh hain ke tutey jaarahe hain...zabt hai ke nibah ki deewar thaame khada ladkhada raha hai...Allah mere Allah iski laaj rakhna...

Her mamla tere suprud hai Maula....mai teri...mera her ansar tera...mujh se serzad her amal tere aage ser-nigun hai....meri deewangi kehti hai yarab tu mujhe sherminda hone nahi dega...mujhe apne saaye-e-remath may asra dega....mujhe apni mohabbat ki panah may lega....mujhse koi khata hone nahi dega.....

Wednesday, April 21, 2010

Aye Ghum-e-Meherbaan


Aaj phir kahin kisi shaye ke chatakhne ki awaz sunaii di..Aah! kahin ye kambakht mera Dil tou nahi..uff..kitna samjhaya gaya isey...phir bhi baz nahi aata...etbaar ki seedhiyaan kitni sura-at se chad leta hai ye...isey shauq jo hai chot khaane ka..isey shauq hai lut jaane ka..isey shauq hai haar jaane ka..isey shauq hai maar khaane ka.....


waqi Aapne sahi kaha..jo nazar aata hai vo hota nahi...andha bharosa andha hi rehta hai.bharosa nahi rehta...shayed is taklif ki shiddat ki ek hi wajah hai...sakun ki gali samjh kar jahaan qadam rakha tha..wahaan bhi namud ki gunjaish nikli...waqi sukun tou apne andar maujud hota hai..apni mohabbat ke yaqeen ka ....log nadaan hain...vo kahaan dil tak safar kar paate hain...vo kahaan jaan paatey hain ke junun ki arzu kya hai?

Dil-e-Be-qarar ki be-qarariyaan badha kar kisi ko kya mila ? koi kahaan kisi ko be-sakun kar ke sakun hasil kar saka...log apne aqal-o-faham ka gumaan karte hain...magar wahaan bhi fareb-e-nazar hai...apni asal tak pahunch nahi paatey..apni haqeeqaton se aankhen milaana hi nahi chahtey...yehaan bhi khahishen hain jabaja..yehaan bhi arzu hai ....gharz her koi gharzmand hai..aur ye na-munasib bhi nahi..haq hai unhen....talab ka....tabir ka....

Aye Mere Dil-e-Nadan...tu ghum se na ghabrana...unka tou sadion se teri gali laga hai aana jaana...patta nahi kyon ansu machal rahe hain...ye pachtawa hai..apni nadani per..jo lafzon ko haqeeqat maan kar haath aaya hai...waqi ye bhi kya kum hai...koi dil ko apni jhuti baaton se hi sahi behla gaya hai..uski koshish ke peeche chupa tamskhar hi shaayed is aziyet ka sabab hai..khair ye khaar bhi phul ban jaayenge...inhen bhi hum apne seene may chupalenge.....

Thursday, April 15, 2010

Tu Agar Sang Hai


Zindgi her pal waqi ek naii jung hai..jeet jaayenge hum tu agar sang hai..yarab tu ne mujh may jo chuna vo teri hi baat hai..tera bakhsha hua jazba-e-hayaath hai..mujhey khushi hai ..ehsaas ke is safar ko apni nazar se dekha hai jub...saari baaten sahi ek andaz hi ghalath...log kub apne dilon ki sunte hain...unhen itni fursat kahaan...unki basaraten bhi asli nazaare se mehrum hain...ek perda jo haayel hai darmyaan...Aah! ye tera karam hai ke tune meri nazar se vo perda zara sa sarka diya..mujhe khud se mila diya....aaj bhi mai hun wahi..per kuch zyada hun teri...meri khamoshi may hai gunj tu...meri soch ki manzil hai tu...


Yehi hain meri rahbar...In mohabbaton ka mai kya karun jo mujhe kabhi ghalath hone nahi deteen..ye hisaab kisi ki be-rukhi ka kabhi na rakh sakeen...ye nafraton may bhi kabhi na mar sakeen....na ye zamaane ki serd mohri se hi dar sakeen..aaj bhi mujh may taaza hawa ka jhonka hain ye....un dilon ke liye aaj bhi ek mauqa hain ye...mai jaanti hun ke tu hai wahaan....mera na koi hai jahaan...mujhe ghum nahi ke koi mujhe kal purzon ki tarha chalaaye jaata hai yehaan...mere lahu ki rawani ne bhi yehi kaha...tu apni gardishon ko bhul jaa...tera karam hai yehi tu bas apna karam nibah...her gharz se mil kar jaana yehi.....ye saari duniya hai ghalath bas ek tu hi sahi....