Tuesday, January 29, 2013

Sun isey zara ghaur say




sun isey zara ghaur say
na ghabra is shor say
rahbari ishq ki jise mili
wahi guzra hai is daur say

Kaafi dinon say maine yehaan kuch likha nahi....kyon ki mai khud say hi mutmayeen nahi hun....Aakhir dil ko manane ki tag-o-dudh rang kyon nahi laa rahi hai...Ye kadwahat zindgi say nikal kyon nahi jaati....ye shor huma waqt ka jaayez nahi...kyon ki isme shikayeten hain...naale hain....hum kon say is jahaan say jahaan waalon say niraale hain...Hum bhi wahi kar rahe hain jo sab kiya karte hain....apne dil ki bhadaas kya lafzon say nikal jaayegi ya lafzon say behel jaayegi....Aakhir is pehchaan ke safar say guzarne ka kya haasil...Jub dil raazi ba raza na rahe.....uska faisla hai....jo qismat may likha hai...usey tou mil kar hi rehna hai...phir ye ranjishen kaisi.....ye bhulaawe kaise.....Ab waqt nahi hai in baaton ka....Ab bhi dair nahi huii hai....Vo saare panne ulat kar dekh aye dil...jahaan tujhe ek naii aur sahi raah mili thi....Tufaanon per baandh kaise baandhe jaate hain ye seekha tha tune....Abshaaron ko gulzaaron ki taraf modna aagaya tha tujh ko.....phir ye kya.....rok le na ab is darya ku....jo toghayaani ki lapet may aana chahta hai....nahi....ab nahi...warna vo saare sabaq tujh say hisaab maangenge....jawaab bahut say honge tere paas, magar tu de nahi paayega...kyon ke sawaal ki haqeeqat us say bhi bartar hai....

Jub tujhe dil bakhsha gaya tou hidaayet bhi nasib huii....aur ye nasib waalon ko hi nasib hoti hai...Jis ne thokaron may maza paaliya usey duniya ka paas kya...Jise ghum-e-mohabbat may mil gaii hon luzzaten usey duniya waalon ka ehsaas kya....Jub daras milte hain tou khud ko daras ki misaal bana lena hi asal koshish hai..Aise may kathin waqt ka samna bhi hoga, sakht dilon say jujhna bhi hoga.....khud ko qaabu may rakhna bhi hoga...Phir ye sab kyon jub ke tu jaanta hai aye dil....

Usne kaha aakhir ye dil dil kyon karta hai...Hai tou khabar dega bhi apni maujudgi ki...ke mai maujud hun tere seene may...shor karta hua....Elaan-e-haq wahin hai.....Emaan ka sadaq wahin hai....Gar ghaur say suno....