Monday, December 31, 2012

Naya Saal






Zindgi sirf ek khush-aaind mustaqbal ka khwaab nahi hai..bulki aapke sawaalon ka jawab bhi hai...tou Dosto, is naye saal say aapne jo bhi ummiden wabasta kar rakhi hon vo sab khuda kare ke puri hone ki muhallat aapko mile..Aur aap waqt aur wajud ka maqsad jaan paayen..Ek lamha, ek soch, ek koshish, phir her lamha rehmat hi rehmat, bakhshish hi bakhshish..

Khwab gharonda hain....wahin tou arzooyen rehti hain...jo kamzor palon ka hausla badhaati hain...aur ye hausla aane waale her lamhe ko milta rehta hai...warna zindgi zinda reh nahi sakti....Derd ka bojh khwaab hi uthaate hain....Aane waale kal ki chaadar taane kitne dil so nahi paate....bas lubon per duayen sajaaye, ummid ka diya jalaaye, choti choti khushion ki hasrath may khud ko jalaaye rakhte hain...meri dua hai un dilon ki her baat Rab-e-kareem sun le...un khwabon may apna basera karle....un raaton ka sawera karde....Ameen.

Maine ab in aate jaate saalon may khud ko paana chod diya...vo" Mai " jo kabhi hua karti thi, vo ab aur kahin rehti hai...ye duniya uski mehefil nahi hai..uski mehefil kahin aur saji muntazar hai...abhi haaziri talab nahi huii hai...Haan is duniya say wabastagi ka ek sabut hai un chund gine chune logon ki lamhabhar chahat, unki pal do pal ki yaadawari, jo mujh say kehti hai ho na ho wahin say zindgi ke kuch aur sabaq mujhe milenge...ke jub talak dil laga rahega, dil nahi rahega...ke aisa ho hi nahi sakta ke milkiyet kisi ki ho aur chaakri kisi aur ki kare...so shert mohabbat ki yehi hai ke mujassam iqraar ban jaa...warna koi shikaayet nahi...ke maalik-e-kul kaainaat ko is adhe adhure taalib ki zarurat hi nahi...

Sunday, December 30, 2012

Asal





Sab ki justaju ek hi rahi...sab ek hi sawaal barson kureedte rahe....aakhir ye kaun hai....ye nahi socha ke ye jazba kis dil say nikla hai...sab ko pura biodata chahiye...sab profile ke baghair insaan ko samajh nahi paate...umr, aur paikar kya kisi ki rooh ka muzahera kar paayenge....Husn yehi hai ke husn ke baghair bhi haseen hua kare koii...Kashish tou darasal jazbon may hai...Derd be-maqsad mila nahi karte...ye phul her kahin khila nahi karte...jis chaman ko ye mile, vo chaman, chaman hua...Moqadar ki baat hai...kisi ne duniya paai, kisi ne dil paaya....jo ye samajh gaya uska jeena kaam aaya...

Qudrat anmol ehsaasaath may jhalakti hai...vo her num aankh may rehti hai...Jahan nami na ho vo zameen bhala zarkhiz kaise hosakti hai...koi fasal iske baghair uug hi nahi sakti...usi tarha iske baghair koi insaan jaazib nazar ho bhi nahi sakta...so jis ke andar ye johar widiyet kiya gaya ho khud usey iski khabar nahi hoti....vo tou bas karam ka mohtaj hai...khuda bande ke darmyaan bas yehi ek rishta hai jo usey sab may mumtaz karta hai...

So Subah ke intizaar may raat ki nafi karne waalo, maan lo ke yehi raat aapko subah say milwaane aati hai....aur yeh subah phir ek aur raat ka paighaam laati hai...in andheron ujaalon ke safar may hi chupi hai zindgi ki asliyet....ab aapki aankhen jo dekhna chahen wahi manzar rubaru pesh hota hai....so vo aankh chaho jo aapko aapka deedaar karwa de...

Saayon ko tatolne say kya faayeda. kuch na haath aayega....inke taaqab may jo jaayega vo bhi saaya ban jaayega...Bhale saaye chaoon dete hain,saaye bhi dhoop maangte hain...warna vo bhi nazar nahi aate...so chah hi jub moqadar hai tou vo kyon na chaha jaaye jis say chahton ka matlab samajh may aajaaye...aur chahon say gulukhaasi haasil hojaaye...Koshish shert hai...Mushkil nahi hai kuch bhi agar thaan lijiye....



Monday, December 17, 2012

Ye Sher......





log kehte hain sher kehna asaan kaam nahi...mai ye samajhti hun, mohabbat karne waale dil ka her lafz shaayeri hai...her lamha mehefil-e-naghma- hai..waise ilhaami sher apni khususiyaath rakhte hain....vo kisi deewane ki bad nahi hote...waise deewana bhi aam nahi hota...deewangi ki shert yehi hai apni had say guzar jaana....aur haden, sada hi sadion say khoon-e-jigar maangti hain....ab ye khoon ek aam admi zaaya kyon kar karna chahega...ye tou jazba-e-junun ka karnaama hota hai....usey apne junun ke siwa hosh kahaan hota hai...agar hosh mil jaaye tou saara raaz na samajh may aajaaye...

Hosh chin kar ilzaam madhoshi ka deta hai, baksh kar ulfat deewana naam deta hai..Bechainion ko lafz atta hote hain sher unka naam hota hai...khird say jo begaana karde, wahi ilzaam hota hai....koi chahe bhi tou kuch keh nahi paata, mai tou samajhti hun jo goya hojaaye, vo be-asar hota hai...sama-aten muntazar rahen, khayaal rahen taanon baanon may, aur dil lafzon may dhal jaaye, us khamoshi ko gar lafz miljaaye....sher kehlaate hain...vo qalam jo rooh ko giraft may le le, vo qalam jo her pal zameer ko toley, vo qalam her dil ko chu le....ke jazbaat tou sada dil hi maangte hain...

Wednesday, November 14, 2012

Haal-e-Dil







Aghosh-e-sadaf jinke nasibon may nahi hai
Vo qatra-e-neesaan kabhi banta nahi gauhar

Waqi khushnasibi gar sab ke hisse may aajaati phir nasibon ki duhaii koii nahi deta...aur her koi apni zindgi say gar sairaab hojaata phir koi taalib nahi hota...yehi tou maajira hai asal may sauda...hazaaron barson may hota hai daanishwar koii paida....jo jaan le bhed qismat ka...


Aksar baat dil ki jo keh nahi paate, 
ghum unki zindgi say kabhi nahi jaate

kuch aisa hi haal hai dil ka..vo tut jaayega magar koi dil tutne nahi deta..aise dilon ka bas khuda hafeez ..log jo kal ki fikr karte hain kya waqi vo daana hain? jo aaj khud ko sab ki nazar kar dete hain kya vo nadaan hain? 

Mohabbat jo karte hain unhen  mohabbat kahan raas aati hai
Mohabbat jo nahi karte mohabbat unhi ke paas aati hai

Khuda ka shukur hai ke usne qaabil tou samjha...mohabbat na sahi ehsaaas-e-mohabbat say nawaaza hai..mohabbat ka maza tou tab hai gar koi tujhe chahe...magar yaan tou teri mohabbat say khud tera dil bhi hai bhaage...auron ka gila kya...unhen tou masghalon say mohabbat hai...unhen tou mohabbat say shikaayet hai....magar tu aur teri mohabbat gar sarf-e-khuda hoti....phir is besh qeemat jazbe may khushbu-e-wafa hoti..

Sunday, October 7, 2012

Chund ghadiyaan faraar k





hosh-o-hawas taab-o-tawan daagh jaa chuke
ab hum bhi jaane waale hain samaan tou gaya

Hawason pe gireen jub bijliyan tab waqi hum nadan they.....ab jub ke hawas herkat may hain bijliyon say kyon shikayet hai? jaane kyon na jaane kyon? waqt ki qaid may zindgi hai magar hisson per tou koi pabandi nahi...vo jub chahe kahin ki bhi sair kar aate hain...aur wapsi ka safar taklifdah hota hai...zamaana-e-haal ki kofaton say chund ghadiyaan faraar ki...beqarar hawason say chund lamhe qaraar ke...ke abhi mai zinda hun...

Kya waqi ? Zinda hona kaafi hota hai? umhm....zindgi ki hararaten kub ki khatam hogayeen...zindagi say sharaten jub say rukhsat hogayeen...vo ek zindgi say bharpur ladki hua karti thi jaane kahaan gaii....usey waqt ne daboch liya apni chaalon may...usey rishton ne chupa liya apni jaalon may...yon tou bahut say honge jo zindgi ke naam per mahaz zinda hote honge...sab ko tou maseeha nahi milte....sab ke shaoor yon bedaar nahi hua karte...mushkilen zindagi samjhaane aati hain.....musibaten hausla badha hi jaati hain.....bas nazar-e-karam per ek nazar chahiye....jub per milen perwaaz ka jigar chahiye....

Thursday, October 4, 2012

Haan maine maan liya.....






Chalo mubarak ho...ab maine jaan liya...Haan maine maan liya....ye tumhaari koshishon ka phal hai...yehi meri deewangi ka hul hai...ek umr sarf hogaii is tajrube ko rang laane may....koshishen musalsal....aakhir kamyaab ho hi gayeen....ek udta hua parinda aakhirkaar teher hi gaya.....shikaari tou bahut they....kyon ke ghafil ka shikar hona asaan jo tha...per usko ye manzur na tha...jaane us parinde ki konsi ada usey pasand aai....usne usey apne paron may chupa liya...yon usne usey shikaar hone say bacha liya....ye tera karam nahi tou kya hai...

mokhtasar ye ke paane aur khone ke ghumon say najaat paana  hi manzil-e-maqsud ka pehla padau hai...khahishon ki buland perwaz ko uski asliyet ki taraf raghib karna dusra padau...aur ehsaasaat ko unki haqeeqi shakal dena teesra padau...aur is guzarte waqt ke badhte qadmon ki chaap say ghaafil ko uski dhadkanon ki dheemi raftar say mila dena chauta padau....vo dil jo haqeeqat say nazar chura raha hai usey haqeeqaton ka jaam pila dena paanchwaan padau hai....is panchamrit ke honton say lagte hi aqal ke saare parde sarkne lagte hain....aur apni asal say mulaqat saare walwalon ko jo apni haden abur karne per kamarbasta they ,le dubne ko kaafi hoti hai....

Apni asal aakhir hai kya...ek mitti ke dher ke siwa....jisey khuda ne apne noor say arasta kiya...warna asal say nazar milana tou door samna karne ko bhi koi tayaar na hota...vo asal jo khuda ki zaat-o-siffat ka aaina hai uski milkiyet apni kahaan hai jis per insaan itna nazaan hai...itrana hi hai tou apne ummat-e-wast hone pe itra....khuda ne ye ezaaz bhi bakhsha insaan ko...uske aage apna noor mujasim rakh diya...uski itba ka faisla bhi us per choda....vo janna dekhna chahta tha ke insaan kiski dastagiri say khush hota hai...uska etmaad kub mutalzil hota hai....uska emaan kub dagmagaata hai....uske nafs per kis ka ghulba hosakta hai....uske zameer ki bedaari ka konsa sabab kargar hosakta hai....gharz uske imtihaan niraale....aur hum deewane bekhabar mahaz duniya say dil lagaane waale...

Thursday, September 13, 2012

Suno ...............





Suno....mai aai hun aaj phir tumhaare paas....ke  sirf tum tak hi pahunchti hai meri awaaz...is jazbon say aari duniya may kon rakhta hai sama-aten dil ki...nahi koi nahi....aksar sun bhi lete hain...per nahi sunte....aksar sunn nahi paate....per jaan lete hain....magar anjaan rehte hain...aur aise may tumhaara hona hi mere jazbon ki hayaath ka zaamin hai...ek tum say hi her ummid meri waabasta .....ke tumhaari khamoshi may maine sada rab ki suni hai....vo tumhaari muskurahaton may muskaaya.. tumhari tanbih may bhi usey paaya...gharz vo tum say ho kar mere nazdeek hai aaya....phir mai kyon kar na ye samjhun...phir mai kyon kar na ye maanun....bande ko rab milta hai pehle milta hai us sa koii saaya....


Qaraar insaan ne sada ek isi khayaal may paaya.... ke vo jub jub apne habeeb ki panaahon may aaya..ek nayaab khushbu ne uska hona jatlaaya.....habeeb mera vo rafeeq vo mera tabeeb mera vo .....huma waqt qareeeb mere vo...pareshaan shab-o-roz may baad-e-naseem ki tarha jaise koii jaam-e-farhat vo....milta hai ye kehta hua" hum hain tou kya ghum hai..'.aksar is khayaal ki shiddat humen rula ke jaati hai....teri yaad is qadar aati hai ke phir sab kuch baha le jaati hai....is duniya ke alam saare teri yaadon ke reley may bahte huye heech lagte hain....ke in ka tab kahin koi ehsaas baaqi nahi rehta.....ek teri paanahon may her ghum haseen lagta hai...ye ehsaas sab say bartar hai...sab say behter hai...sab say hai aala....ke koi tou aisa hai mera khayaal rakhne waala...jisey khabar hai meri haqeeqat ki....vo mujhe zaaya hone nahi deta....vo mujh ko thaam leta hai....vo apne dar-o-baam say door jaane nahi deta....vo khud may gharq rakhta hai....khayaal apna ojhal hone nahi deta....

vo mehekta hai aur kehta hai...Mai maujud hun tujh may....Mai door kahin nahi jaata....her us pal may Mai hun jahaan  tu Mera irada karle....Mujhe dhunde....Mujhe chahe..awaaz de Mujh ko.....Mai wahi lamha hun tera.....mai tujh say juda ho nahi sakta....gar juda hota Mai khuda ho nahi sakta...

Tuesday, September 4, 2012

Dastagiri





Kal kitna pareshan tha dil...udasi may dooba hua rab ki panaahen talaashta, khud ko dua ke qaabil banaata hua....ke Maula tere siwa kon hai jo sune pukaar bebason ki, tu ne hi tou bheja hai unhen ....jo ahad shiknon ke liye nibhaa jaate hain apna ahad.....yehi yaqeen tou dua hai ......ke tu sunta hai tere bandon ki dua....tujh tak pahunchti hai unki sada.....tune tere bande ki taskeen ka bhi kiya hai intizaam.....tune bheja hai badhawaas dil ke liye ek mehkta hua pyaam....mai kahaan tujh say door hun....tere ghum say mai bhi ranjur hun....kabhi tou soch ye ghum hai kya....ye pareshaani kya hai balaa....kabhi tou khud say tu door jaa.....Apne andheron say bahar nikal aur mere paas aa....mehsus kar kahaan hai rab tera...phir bataa kya haal hai ab tera....


Maine suni kal sargoshi teri ...mujhe mehka gaii moqadas khushbu teri....vo na lobaan hai na itr-o-gul...vo hai bas teri mehek....mujhe dila gaii tera ehsaas teri maujudgi....ke tu zameen ka mohtaaj nahi hai na waqt ki hai qaid may.....bas teri haaziri teri ulfat ki shahid hai Rahbar....tera zikr karta hai ye dil shaam-o-sahar...ke jahaan bhi mai rahun rahegi mujh per sada teri nazar.....Aye dil is karam ka tu kar kuch yon shukar....


Salaam aye Habeeb hai sadqa tumhara ye zindgi
tumhaari dastagiri ne samjhaii hai mujhe bandagi

Sunday, August 5, 2012

Rishta




Aksar log rishton may ulajh kar reh jaate hain....rishte jinhen naam mil jaaye wahi abadi nahi hote...kuch rishte ruhaani hote hain...jin say mohabbat insaani hoti hai...vo rishte jo ban jaate hain....milte nahi...milaaye jaate hain...asmaani hote hain....aap ne kabhi ehsaas kiya hai aisa...ehsaas jiya hai aisa.....hosakta hai...hissas dilon ka jazba khud ko manwaane ki koshish nahi karta...bulki vo bilghaib sohrat paa leta hai...vo yon ke aisa rishta zubaan ho na ho ayaan zarur hojaata hai....ke khushi ki lahar dabaaye nahi dabti...chupaaye nahi chupti....ye rishta aisa hi hota hai.....khud may khushi dene waala.....hazaron saubaton ko pal may pursakun karne waala....vo rishta kub kaise kahaan aur kis ko mil jaaye ye rab hi jaanta hai...

kisi ne kisi ko daras dene ki thaani...jaane baghair donon ne ek dusre ki kahaani....daras dhadkan ban gaye...aur ek naye baab may dhal gaye...ek aisa baab jiska koi unwaan nahi chuna gaya...na aghaaz na anjaam...ye darmyaani safha kub kaise lafz paa gaya wahi jaane jinhon ne usko rangeen kiya chasm-e-tar say...buund buund riste huye qalb-o-jigar say...vo kahaani jo donon ne sochi bhi nahi thi dono ke liye likhi gaii....ek ufaq tha tou duja asmaan....donon ka male kya...ufaq tou nazar ka dhoka hai...aur asmaan ek atal haqeeqat....phir bhi asmaan ko ufaq ki kaifiyet per taras aaya...usne bhi khud ko jhukaaya aur ufaq ke paas aaya...usey ye samjhaane ke tu mahaz ek ahalkar hai....yehaan tou roz yehi karobaar hai....yehaan her koi mera talabgaar hai...par sab ko mai mil nahi paata...mil nahi jaata....mai apni ahaliyet ka istemaal uske hukum per karta hun jis ne hum dono ko banaaya....aur mera ekhtiyaar sirf itna hai...

Ufaq ki mayus nigahon ki taab usko na huii....uska dil bhi paseeja....ek deewana apni deewangi ko hi khushi samjhe hai....kya bura hai gar mai usko uski nhanni si khushi dedun....deewane ki hasrath ko junun may badalte jub dekha usne......apni badalti rangat ko badal ka naam diya...baarish ko ilzaam diya....ke ab deewane ke hosh may aane ki baari thi....is daur say guzarte huye ye tou hona hi tha....kisi ne chaha ya na chaha ek rishta tou ban gaya unka...jo roohaani tha.....per us rishte ka her ehsaas...ji haan ehsaas insaani tha..

Sunday, July 29, 2012

Shor







Zindgi...........tune mujhe phir thaka diya...meri jaan nikaal li tu ne...ye kya kya manzar tu ne dikha diya....socha tha ke jo mushkilen theen khwaab theen..tune unhen haqeeqat bana diya.Aah ! ab her saans ek azaab hai.......her muskurahat hai saza...tune khaakh say utha kar khaak may mila diya....Arzoo ab ke kisi aur ke liye ki thi dil ney,,,tune usey bhi mita diya..hmmmm mushkilon may sabar...derd may bhi shukur.....yehi raah rahbar ka paighaam hai....samajh gai hun mai...per is dil ka kya karun jo derd may rota bhi hai.....kisi aur ki khushi chahna gunah tou nahi.....hmmmm tu jaanta hai wahi hai meri khushi...so ye arzu bhi hai meri...mujhe in ka matlab samjhana chahta hai tu....mai samajh gaii hun Maula.


Mai ab teri tarha khamosh nahi hosakti.....ke tu mere shor ka muntazar jo hai...maine awaaz uthaii hai haq ki ....maine jawaab talab kiye hain her us dil say....jisey sahi aur ghalath may koi tameez hi nahi....vo zubaan jo khalikh ko pukaarti ho ,gar wahi zubaan apni zubaan say phir jaaye, ye kaise gawara kiya jaa sakta hai...fehmaish zaruri hai..tanbih islaah ki khatir hoti hai..aur islaah bahbud ki nishaani hai..jo falah-o-bahbud ki khaatir kiya jaaye vo amal khuda ki ain marzi ke mutabiq hota hai....so vo jo chahega karwalega.....mai jo chahungi wahi hoga jo vo chahega.....ke jub husn-e-amal ke pas perda nek niyati karferma ho tab dua manzur hoti hai...Ameen.

Friday, July 13, 2012

Ek shab iqrar ki.....iztarar ki....






Maine us shab khuda say waada kiya, ke ab kabhi  koi shikaayet nahi karungi...zindgi ka her gila us pal heech laga jub vo derd ki intiha say guzar rahi thi....bardasht ki had dekhi maine....us lamha zindgi ka sangeen sach saamne tha....ufff....mere khuda muaf karna mujhe....inaayeten teri khataayen meri....sab yaad aagayeen...tune hamesha is dil ki pukaar suni maula....zindgi ke sabaq mile zarur....magar tera karam shaamil-e-haal raha...tune is dil ka jo mansab socha usi per us ko chala maalik...


Mujh ko taab nahi thi us manzar say nazar milaane ki...mai sherminda thi ke mai shareek-e-haal nahi thi tumhaari.....jo bhi guzri vo tum per guzri....aur meri aankh tamaashaai thi.....mahaz tamaashaai.....mera dil tadap kar dua ban gaya tha....aur meri iltija usko hamesha hi pasand thi..ke vo chahta tha mera iqrar-e-mohabbat..meri takraar usey marghub thi....vo muntazar tha ke kub mai apna taqaza pesh karun aur vo apna....maine manzur karliya.....ke tamaniyet-e-nafs say aham thi meri zindgi ki zindgi...meri zindgi mujhe bakhshi gaii....meri iltija manzur hogaii....


Musalsal chaar raaton ki bedaari ney daras ke kaii baab kholey...her pal ek naya ahad liye mila....maine khud say khuda say bahut saare waadey kiye..khuda kare mai inhen nibha bhi sakun.....


Monday, June 25, 2012

Mera Nishaan







Aye meri humnafs, aa shareek ho meri khushi....ye khushi hai sab say haseen...ke koii tujhsa nahi....maano naii zindgi hai meri...murjhaaye huye chaman ko mil jaaye jaisey naveed-e-bahaar....jaisey kali kali ko hojaaye is naii naii fiza ka khumaar....mujhe bhi is tarha sairaab kargaii teri khamosh ye nazar...abhi tujhe is rang ka patta hi nahi...jisey rab ne duniya kaha...adam ne zindgi....tujhe mili hai wahin apni zindgi.....


Aajaa meri jaan...khush-amadeed ke tujhe raas aajaaye ye jahaan...dono jahaan may hon surkhuru tere hum-nishaan...duaon may dhal gaii kal shab intizaar ki..aaj mai khuda say mil gaii sun kar jawaab mere pukaar ki....tere mere darmyaan koi nahi raha mere khuda....mai thi...thi meri dua......bande ki pukaar per uski rehmath ka lubbaik kehna is baat ka ishaara hai ke khuda ki rehmat ke aage bande ka sawaal kya maayene rakhta hai..uski bargaah-e-azmath say koi saayel khaali nahi aata.....


Daman tarbatar...dil chaman chaman....mai kahin nahi...kya asmaan kya zameen...mai bas rab say mil gaii...firt-e-josh may....bhala kahaan aati hosh may....uski atta ke bojh tale mera shukur dab gaya....maine kya kaha usne kya suna....mujhe koi hosh na raha....jub duaon may shaamil hojaaye eksaath.....kya dost kya aghyaar.....us dua may shaamil hojaata hai farishton ka vird baar baar...Maula tere karam ka yaqeen hi meri mohabbat ki zindgi.....rahe meri mohabbat sirf teri bandgi....ke aaj phir mujh ko mili hai ek aur zindgi....ke mujh say aa mili hai ek naye rang may mere rab ki bandgi....le tere jeene ka phir say ek naya samaan hogaya....uski ulfaton ka tu mehmaan hogaya....


chund roz hi sahi tere dastaras may julu rahega ye....phir usey yaad ho na ho koi tou kahega ye....dekh kahin dekhi huii tou hai ye naii naii shabeeh...haan vo keh rahi hai kabhi mujhe yaad kar tou sahee..

Wednesday, June 20, 2012

Naya Mod






Aye mere Dost, Aye meherbaan...Aaj phir tujhe karne chali hun mai pareshaan...kya karun...zindgi roz kuch na kuch le kar hi milti hai....aur mai tahidamani ka rona ro bhi tou nahi sakti...isliye baghair kisi etraaz ke us ke liye apni baahen waa karti hun....aur vo mere gale lag kar mujhe mujh say alag kar jaati hai....


Aaj her vo rishta jo rag-e-jaan say juda hai kyon ajnabi dikhaii de raha hai...aur mai inke aas paas hokar bhi khud ko tanha kyon mehsus kar rahi hun...konsi haqeeqat samjhaii jaa rahi hai...ab ye sitam dar sitam waali baat hogaii Maula....ye rishte jo khoon say seenche gaye they aaj unki raahen alag hosakti hain....manzil nahi....


Ye raaste naye mod say mil kar apni raah lenge...ye kahaan socha tha....ab agar yehi taqdeer ko manzur hai tou yehi sahi....mai tayyar hun Maula..ke mujhe faqat tera ishaara darkaar hai...ye rishte jo tere bakhshe huye hain, inhen her waqt mai darkaar hun...aur mujhe ? kya mai inki talabgaar nahi hosakti? kabhi koi kaandha mujhe bhi chahiye hota hai....vo bhi tab inhi say juda hua koi rishta nashtar ban jaata hai....vo zakhm bhala kaise mandmal hoga jo khud apnon ne kureda hoga...


Khuda apni mohabbat ko yon ashkaar karta hai....Mai her rishte say bartar hun....meri mohabbat kisi sabab ya gharz ki mohtaj nahi...meri beniyaazi may hi meri fayaazi poshida hai....mujhe her haal may apne bande ki sachi khushi maqsud hai...mai usey hirasaan nahi dekh sakta....isi liye mera banda jitna jald hosake apni haqeeqaton ka nazaara karle....taaki koi shikaayet baaqi na rah jaaye....jub vo mera ho tou haqeeqatan mera ho....


Aur usne yehi tou samjhaaya hai....uski is inayet ka koi niyam-ul-badal ho hi nahi sakta....ke usne apne adna ko ye ehsaas de kar khaas karliya....

Thursday, June 14, 2012

Aaiye Subah Manaayen....


Is pal zindgi khubsurat hai….jub farhath bakhsh ehsaas ek naii subah ke saath aapko khushamadeed kehta hai…aap khud may ek naii tawanaii mehsus karte hain….aaj vo sab kuch kar guzarne ka armaan jaag uth-ta hai jiski tamanna kabhi aap ne ki thi….ye walwala ye azam isi khubsurat shadab subah ki dain hai….jisne aapko aaj ki khushi di hai….vo khushi jo insaan ki buniyaadi zarurat hai….iske baghair her khushi adhuri hai..namukammal hai…..

Aaj ki ye subah may ajab gudgudahat hai…jaise ye subah wahi 16 saala alhad ladki may oodh kar aai ho aur kehti ho….tum aur mai ek rang hain…taazgi say bharpur roshan roshan jaisey koi noor ka sailaab ho….humaara husn us rabb-e-kareem ki tabaaniyon ki khairaath hai jisne duniya ka nizaam bade ghaur-o-fikr say banaaya hai…..aur humen raat aur din ka mafhum samjhaya hai…is gardish-e-waqt ke darmyaan ki karguzaari ko amal ka naam diya hai…..

Moqadar insaan ka amal taye karta hai….. Amal insaan ki qismat taye karta hai…aur qismat aane waale kal ki bisaath per chaal chalti hai…yon zindgi ka dar-o-madar soochi samjhi scheme per tika hua hai…Ab samajhne waali baat ye hai ke hum is khubsurat tohfe ka kis tarah isteqbal karte hain….Aaiye in ujli kirnon say hum apne liye ujaala chunen..Aaiye phir in ujaalon say apne liye ek noor ki chaadar bunen….Is chadar ki lappet may andheron ko samet len…..

Bas isi khubsurat ehsaas ka naam hai zindgi…jo her subah aapke liye inaam kar di gaii hai…Ab ye aapka zimma hai ke is inaam ki qadardaani ka kis tarah muzahera karte hain….vo sar jo wafor-e-shauq may jhuk jaaye khuda ko azeez hai…vo sajda jo khushi ban jaaye khuda ko pasand hai….tou phir aaiye hum aur aap ye Subah manaayen…..

Tuesday, June 12, 2012

jisey suragh samjha roshni ka.....






Ek naii haqeeqat vo samjha raha hai...door jaane ke liye paas aaraha hai...kaisa hai Dost mera, sata kar muskura raha hai...mai kaun hun, koii nahi hun...is duniya ki bheed may tanha khadi hun...andheron may koi kiran khojti hun...jisey suragh samjha roshni ka, vo andheron may khud ko chupa raha hai...mujhe ek naya matlab samjha raha hai....vo laakh khud ko chupa le, hazaar bahaanon say mujh ko sata le...magar mai ye kaise bhul jaaun....wahi mujh say mujh ko mila raha hai....


Mujh ko yaqeen hai, fale uska tayeen hai...vo her us dil ka muyeen hai...jis dil may kuch khuda sa raha hai...admi ki haqeeqat gar admi jaan leta, bada asaan tha samajhna, haqeeqat dono ki eksi hai...khuda ki mohabbat may na koi kumi hai...uski pursish may chupi huii hai rehmat, uski azmaish say hoti hai neki may barkat..dono jahaan may yehi danka baja hai...khuda ki hikmat say insaan mila hai...


Mere Dost tujh say koi shikaayet nahi hai...khataayen tou hum say huyeen hain...zindgi ko itna socha ,haqeeqat apni bhul baithey...zindgi say itna dil lagaaya ke khud apna dil bhul baithe...vo khushi jo ehsaas ban kar rab say mili thi ,besakuni ki nazar ki, khud ko hawaale kiya zindgi nay hawadison kay, ke zindgi bhul baithe...


Ye safar khahishon ka kahan khatam hota...jub tak kisi mod per vo na milta patta kaise chalta...ke hawaon ki zad per kashtion ki simten...manzilon ki khabar sirf usi ko....vo jaanta hai, isi liye vo sota nahi hai....na nind usko, na pyaas koi....na yaas koi na aas koi....vo sab ke ghum may ghumgeen hua hai..vo apna hona jata raha hai..vo asmaan sa zameen per raha hai...

Sunday, June 10, 2012

Derd Ashna







Is muammay say perda utha day yarab...jisey samjha tha hum nay inaam, vo kahin saza tou nahi hai yarab...ab saza-yafta ko is baat ka ehsaas tou hoga hi ke kis jurm ki padash may usey ye saza mili thi yarab...Mere Maula kareem ,teri kareemi hai ye ke ehsaas tou hua hai..inaam ka patta us waqt tak nahi chalta jub tak uska surur qayam rehta hai...isi madhoshi nay tou saarey kaam bigaadey hain....warna samajhne ke liye ek lamha hosh ka kaafi hota hai...wahi lamha inaam hota hai...


Awaz deta hai phir vo humen...apni raahon pe phir vo bulaata hai humen...humaari wapsi ki ab koi gunjaish kahaan bachi hai naseh...zara sun...teher,ruk, jaan le ke hum ney kya jaana hai...kya samjha hai...kitni mushkilon say ye kasafat door huii hai...uske mah-o-saal hum zaaya kaise hone detey....jo usne apne deewane per lagaaye hain...uski anthak koshish aaj ye rang laai hai....ke haqeeqat aaj hamaare haath aai hai...


Deewanon ka deewana hai vo...mastanon ka perwana hai vo....pyaasey dilon ka maye-khaana hai vo...tahi -damanon ka khazana hai vo....usney apne chahne waalon ko manzil-e-haqeeqi ki raahon per modne ke liye, khud ko un say door kiya hai...ye zabt ek talqeen hai ,,,,visaal ki luzzaton say dochaar hone ko beqarar nafs ke liye...zaruri nahi k mohabbat qurb ki chah ho, asal may hijr-o-visal say parey buland jazbe ka naam hai mohabbat...jahaan muhib ki falaah maqsud hoti hai...uska armaan nahi....uska emaan maqsud hota hai..mehbub hota hai...muhib ki asal dastgiri aise hoti hai ,,,,,jo  ashna-e-derd hota hai vo humdard hota hai...

Wednesday, May 30, 2012

Mauqa





Maang kar mila bhi magar dil shaad kyon na hosaka  ji...socho kyon....kyon ki bashar ki ye siffat fitri nahi hai...ye uske nafs ki ekhtera hai...khahishon ki saza hai...khuda ne apni takhlikh may koi kami nahi rakhi...bashar nay zyada ke laluch may khud ko bigad daala hai...ab bigdey huye bachon say pareshaan tou hota hai vo...phir bhi ek chahne waala apni chahath ko barbaad hote huye kaise dekh sakta hai....uski bahbudi ki khatir raahen tayeen ki jaati hain...unhen kathin safar say guzara jaata hai...taaki khahishon ka matlab samajh may aajaaye...


Kuch nadan aise hote hain jinhen daanavon ki sohbat bhi badal nahi paai...ek sunehri mauqa ganwa baith-te hain vo...phir kya....maangton ki jholi zaruri nahi ke sada bhari rahe...maangne waale ki niyat per munhasar hai...aksar mangtey ko pesh karne may deney waaley ka imtihaan bhi maqsud hota hai...jahad ektarfa hai...bhaari hai...per khuda ki khushnudi us dil ko pyaari hai...

Is rang badalti duniya may..............









Is rang badalti duniya may insaan ki niyyat thik nahi....waqi likhne waale ka tajziya hayaath aaj bhi saadiq araha hai..mosamon ki tarha badalte mizajon nay tamaashbeen bana rakha hai humen...ab karen tou kya karen...kaash hum itney pahunche huye hote ke kisi ke seene may apna dil rakhte aur kehte....suno ye tum say kitna nalaan hai...ye khud say tak nalaan hai, kyon ki ye bada bebas hai...chah kar bhi chahton ko pura nahi kar paata....bas dekhe jaata hai....aakhir ye raasta manzil paaye tou kaise.....


Khuda ne maangna seekhaaya, pasand kiya ke vo khalikh hai, do jahaan kay badshah nay apni hikmat poshida rakh kar bandey ke aagey pas-o-pesh ki gunjaish hi nahi rakhi...bas bandey ka kaam herkath karna hai...aur ye herkat uski zaat-o-siffat ka aaina hogi...ke aaya uski be-basi darperda mahkumiyet ki nishaani hai ...ye jo nafs taalib-e-duniya hai , uske aage her koi jhuka hai...jo bacha hai vo mehbub rab ka raha hai...

Sunday, May 13, 2012

Hukumat Tujhey Mubarak Ho...



Aaj mai kuch na kahungi...aaj mai tujh ko sunungi....kehde jo bhi tu ne suna hai...bata tune kya kya sahaa hai...waqt tou eksa hi aata hai apni raftaar samet aage badh jaata hai...rukna, teherna,mudna,guzar jaana, badh jaana ekhtiyaar hai tera....bata tu ne kya ekhtiyaar kiya hai....teri mansha kya hai....teri nabzazma raftar kya kehti hai....kya kabhi tune meri ghutan suni hai? kya zabt ka vo samandar kabhi paar kiya hai jiska koi kinaara na ho ? hmmmmm tujhe itni fursat kahaan? 


Dastoor  riwajon ka badla nahi karta.....hota wahi hai jo hota aaya hai...inqilaab ki ummid sirf naaron ko hai...haqeeqatan inqilaab aaya hi nahi.....kahin koi badlau ki jhalak bhi nahi...log wahi hain...unke chalan wahi...aur khayaalaath wahi....koi tabdili kahin dikhaai nahi de rahi hai...soch hai ke apne per hi tamaam hogaii hai...usey aagey dikhaii de bhi tou kaise....kyon ki usey dekhna hi nahi hai...Aah aye khuda tu ne adam ko azma kar is sisile ki jo buniyaad rakhi, us silsile ko badhaane ka zimma teri khalkh ne le liye hai...aur isey bakhubi sanbhala hai...daam-e-fareb may uljh kar....teri duniya kuch aur hi kar daali hai...


Meher tou meherbaan kiya karte hain...ye aam insaanon ke bas ki baat nahi...phir her nazar may karam ki talaash be-maani....her dil may gudaaz ki ummid be-sudh hai...ab ye raftaar insaan may  saraaiyet kar gaii hai...uske paas kisi ko sunne ki fursat hi nahi...vo khud apne andar ka shor tak nahi sun paata phir dusron ko kya sun paayega...ke usey apni manzil paani hai ....vo jo sirf palon ki kahaani hai...vo mahaz chund roza zindgaani hai....aye abadi na bhul ye jahaan, saraa-e-faani hai.............

Thursday, May 3, 2012

Zindgi Ki Shaam





Zindgi kahaan kisi ko sunti hai.....sab zindgi ki suntey hain...chahten kuch aur hain aur zindgi kuch aur chahti hai...faisle kuch aur hain ummiden kuch aur....sar tou her haal may jhukaana hai.....bahar haal is karb say guzar kar jaana hai...karb haqeeqaton ka karb...her zeerooh ne isko saha hai....talkhiyon ka maza sab ney hi chakha hai..zindgi sirf khushion ka ujaala hi nahi....dhalti shaam bhi hai...is mukhtasar say waqfe ko insaan kis tarha guzarna chahta hai, ye taye karna uska kaam hai....


Ghaflaton may waqt ganwa kar, haqeeqaton say nazar chura kar, khud say tak daman bacha kar, aakhir kis taraf safar ka irada hai....umhm....nahi bach paaoge...khud say bhi khuda say bhi.....dekha hai aalihimmat jawaan hausley waalon ko bhi pashemaan hotey huye,is khayaal say ke aye kaash ye waqt hum per say tal jaaye...humen kuch aur muhallat mil jaaye....nahi...nahi...nahi.....uski marzi key aage koi na ruka hai....atal bas uska faisla hai....


So kyon na hum apni kotahiyon per nazar saani karen.....phir say shuru naii zindgaani karen.....jahaan sab kuch uski pasand sa ho....asmaan vo aur banda kamand sa ho....apna masnawi chola utaar phenken....Rab-e-haqeeqi ka banda in masnuwiyaat say jub niklega tab hi kahin apna deedaar kar paayega....khuda bande ko azal say yehi tou samjhaana chahta hai...samjha raha hai....kitne mehbub muddaris tabligh-e-haq ki raah may jaan bahaq huye.....unki koshishon ka hi natija ye soch hai....unki kavishon ka haasil ye zeheni tarbiyet ka ujaala  hai....warna insaan baaqi kahaan rehta.....awaleen khilaafat tou iblis ke haathon may hi thi.....Adam ki amad ne is zameen ko gulzaar kiya.....warna naari ka maqsad tou khaakh karna,khaakh hojaana hai....


her zeerooh ko apna ahad nibhaana hai...jis tarha aaya tha usi tarha laut kar jaana hai....ayebon say kasaafaton say ghilazaton say paak....khuda ke ghar may gandagi daakhil kaise hosakti hai....so is mayel ko saaf karne ka wahed amal yehi hai....humawaqt maut ko yaad rakha jaaye.....aakhiri lamha bhi apna nahi hai...ye lamha jahaan ye soch ubhari hai bas yehi apna hai...so isey apnane may hi aafiyet hai....raah-e-falaah yehi hai khud ki bhi auron ki bhi falaah karte chalo...phir her qadam manzil hai.....mehbub ki.....

Sunday, April 29, 2012

Hurmaan Nasib







( 28th April ko meri behen Durdaana Nazeer key azeez shauhar B.S Nazeeruddin ka visaal hogaya .khuda unko maghfirat atta fermaaye aur unke ahal-o-ayaal ko sabar atta fermaaye...Ameen.).


Aah ! Zindgi tu ney ajab manzar dikhaaye hain..ab key ye kaisey ghum haath aaye hain...mere seene may Durdaana tera ghum phail raha hai...meelon door...ye faasla aur nazdeek la raha hai...mujhey teri tadap sunaii derahi hai...khudaya uski taskin ka ab samaan kaisey ho...gar tera karam ho....door uska ghum ho....per ye tou anmit kahaani hai...ye tou uski yaadon ki jawaani hai....insay faraar mumkin hi nahi...ye tou hafizey may sada ke liye mehfuz rahenge...paiwast rahenge....


Ye khel tou kub say jaari hai....aaj unki tou kal apni baari hai....koi na bach paaya is chot say....Amin yehi keh gaye hain....amanat lautaane may dair na karna....mohabbat ka haqdar vo bhi hai jisney bakhsha hai....is safar may saath do qadam ka hai....aur bas...isi per itna wavela hai....is mukhtasar say waqfe say itna pyaar kyon ...hojaata hai...ye tou khalikh ka hi takhilkh-kurda nizaam-e-hayaath hai..apni mohabbat ko pas-e-perda rakh kar apne abad ko aagey badha deta hai...aur banda ,bande ki mohabbat may giraftaar hokar apni asliyet say hut jaata hai....


Mohabbat ki azmat tou isi may hai....mehbub ki her ada per sar khum kardo....saayon say mohabbat laa haasil...ssaayon ka peecha karna besud hai..khaali ghum haath aata hai....aur is ghum ki koi wiqat hi nahi...phir ye be-maani tadap kaisi hai...kyon mere seene may tera dil dhadkta hai...tadapta hai....Allah tu apne bandon pe itna aur karam karna......jub un per ye uftaad padey tu itna raham karna.....unki tadap ko apni mohabbat say kum karna....

Thursday, April 26, 2012

Meraaj-e-Mohabbat





Pata nahi kya hua hai...arsa hua dil ne kuch nahi kaha hai...aur maine kuch nahi likha hai....isi liye aaj khud ko tatolne ki khaatir likh rahi hun...ke kahin inhi lafzon may apne liye koi paighaam mile...baarha maine dekha hai jub bhi maine kuch likha hai...khud ke liye hi paighaam mila hai...khuda ne bande ko isi liye kaha hai...mai tujh say juda nahi hun...na tujh say khafa hun mai....ye muhallat tujhe mili hai mujhe pehchaanne ko...mujhe paane ko....so Dosto kyon na phir khud ko samjha jaaye...zindgi kehti hai kya....khuda chahta hai kya....

Sab kehtey hain admi ki takhlikh ka maqsad sirf khuda ki ibadat hai...aapka dil kya kehta hai...

Dard-e-Dil Ke Waaste Paida Kiya Insaan Ko
Warna Taa’at Ke Liye Kuch Kam Ne The Karro-Biyan


Haq ko paane ke liye ek adad dil chahiye vo bhi pyaar karne waala....jahaan jis dil may mohabbat maujud ho wahin khuda sunaii deta hai...mujhe tou aisa hi lagta hai...isi jazbe may khuda namud hai...isi namud may adam ka wajud hai...vo khud tou ruposh hai,per uski siffat ka jalwa qayam hai..aur adam khuda ki siffat ka mazhar....mohabbat ek aisa jazba hai jahaan  koi sudebaazi mumkin hi nahi...be-dareegh lutane ki, lut jaane ki tayyari hoti hai...jahaan chah hoti hain wahaan raah hoti hai...isi liye chahna hi shert hai....

Derd-e-dil ki baat jub chali hai tou ab is derd ka bhi chalo patta karen...aakhir ye marz arzi hai kya....kyon derd uthaaye jaate hain..kyon zakhm khaaye jaate hain...ye marz la-ilmi ka hai...warna sach poochiye tou koi ahen bhi na bharta...koi yon ro ro key na marta...haqeeqaton ka perda uth-tey uth-tey hi uth-ta hai....tab tak admi khud say hi nalaan rehta hai...khuda say nalaan rehta hai...halaankey ye bhi la-ilmi ka hi natija hai...

Derd-e-dil baantna kis ko kehtey hain...dilasa jhuta dene say kya haasil....sach ka samna is marz say rihaii hai....aur sach yehi hai...mohabbat khud may ek mukammal jazba hai...raah bhi wahi manzil bhi....phir natijon may uljhne say kya haasil...jahaan derd dikhaii dey jahaan derd sunaii de.....tou samjho raahen faham ki mil rahi hain....bas musafer ko shauq-e-safar ho....phir zaad-e-safar ka khud bakhud intizaam hojaayega....so is derd ko giraan qadar nagina samjho...giran qadar khazeena jaano....isko seene may chupa lo...isko gale say laga lo....yehi mohabbat ki meraaj hai....

Monday, April 9, 2012

Mohabbat Martaba hai....





Mohabbat martaba hai...ye jisko bhi mila hai...wahi insaan hua hai...ghanimat jaan ke koi nazar teri jaanib uthi...tu is daayere-e-ulfat may aagaya....

Taayer tou bas udaan bharna chahta hai...par aur perwaaz say bhi pehle jazba-e-shauq bakhsha gaya....phir asmaan....tab kahin perwaaz buland huii...be-simt hi sahi safar tou raha....phir is safar ko simt bhi nasib huii...ke humsafar ko tou milna hi tha....usi raah per tujh ko chalna hi tha...le jaane waala tou baani-e-ulfat hai...jaane waala daam-e-ulfat ka giraftar....is marhale ko taye hona hi tha...baghair is ke pehchaan ki raah kaise nikalti....baghair pehchaan ke  baat kaise banti...

Phir sochna kaisa...mohabbat karne waale socha nahi karte...bas azam kartey hain...mohabbat karne waale aahen nahi bhartey...bas mohabbat ka dum bhartey hain...

Ehsaas jub khushi dene lage tou samajh ke tune raaz paaliya....baghair kisi talab-o-arzu ke dil raazi ba raza-e-mohabbat rahe, yehi mohabbat ki asal kamyaabi hai...jahaan ye jazba jalwa-numa hua wahin khuda ki ronumaii hai....jahaan vo ronuma hua samjho bande ki ban aai hai....

Saturday, March 24, 2012

Kuch aur zamaana kehta hai.....



Aye meri humraaz, ab tu raaz na rahi, jub ke tu zubaan hogaii...aye zindgi tu aam hogaii , dil jub lafzon may dhale , jub ehsaas sitron may badle, tab paighaam ban jaata hai...zindgi tajruba hai...insaan roz hi kuch na kuch seekhta hai, apni herkaton say, apni soch say, apne halaath say, apne aas paas bikhre logon say ,unsay mulaqaat say...ye mehefilen, ye mulaqaaten, phir ye baaten....yehaan pehchaan ka safar shuru hota hai...khud ka bhi auron ka bhi....khud ko bhi,logon ko bhi...

jub bhi mukhtalif dilon say mulaqat huii, yehi dil socha kiya ke khuda ne her dil khubsurat hi banaya, yeh tou hazrath-e-insaan ki karfermaii hai ke usne apne qudrati husn ki jazibiyet khoii hai..inme ammezish kar ke...ye tou taye hi tha...insaan ki jibbilat say...iski rang badalti fitrat say...iski khahishon say....in sab ke bawajud jo baaqi hai vo bhi haseen hai....

ye nazar kisi aur janib uthne say pehle khud ki taraf uthey...yehi behter hai...hota bhi yehi hai....jub bhi kisi ki soch rubaru huii khud say rubaru huye hum....kya hum ne apni dhulaii karli? I mean kya humare qalb ki mukammal safaii hogaii? abhi tak ye amal jaari hai...isey mukhtalif marhalon say aur guzarna hai...iski kasafaten kahaan itni jald azad hone waali hain....so her kisi ka maamla bhi kuch aisa hi hai....so mere dosto....jahaan bhi nazar daalo...jisey bhi samajhna chaho....samjho magar pyaar say....kuch haasil nahi takraar say....

Thursday, February 2, 2012

Aye Talkhi-e-Dauraan......




Aye zamaane teri talkhi nay chashni chata di....teri talkh zubaan ne apni zubaan ki sheereeni badha di...ab in tund-o-tez mukalmon per hansi aane lagi hai...haaye koi inhen samjhaye bhi...ye nahi jaante ke ye apna waqt ye kahaan ganwa rahe hain...us pathar per sar pohdne ka kya faayeda jo apni jagah say tas say mas nahi hota...patharon nay bhi ab thaan li hai....vo apne hone ka  thos  sabut denge...vo apni jagah say hilne ka naam nahi lenge....so jitna chahe zor lagalo waqt ke pehlwano...tumhaari zubaan hamara dil....donon mil kar bhi na milenge...hum tumhaari herkaton per ab kuch na kahenge.....

Kitna achuta ehsaas hai ye....jisey koi aaj tak chu bhi nahi paaya...vo ehsaas ke siwa kya hai....log tou toh may rehte hain...per kis ki....khud ki khabar lo jaan-e-mun...khud ko tatolo....doosre ka dil uska apna hai....uska suraagh koi aur kya laga paayega....waan kaun basa hai,kis ki hukumat hai ye siwa rab kay koi jaan nahi paayega....aur deewangi ke rang hazaar...koi bhi rang chuda lo doosra chadne ko tayaar....so ahal-e-nashtar....hosh may aao...lahu saara tou kub ka beh gaya hai..apni .rooh sairaab hai aur tumhara khanjar pyaasa....isey kahin aur azmaao....

Soz-o-gudaaz ke baghair tishna  hai zindgi....be-mohabbat kaise hogi bandgi...pehle yeh tou jaan jaao ke tumhaare wajud ka tilsim khojaaye is say pehle tum is tilsim say nikal jaao.......

Wednesday, January 4, 2012

Zabt ke zaabitey....





Khud say rubaru hona....koii mushkil kaam nahi...basharte ke nazar chura kar, khud say katra kar nikal jaane ka irada na ho...kaii martaba ye bhi kiya maine..baaz dafa dil ne us fale say inkaar kiya jo usko qati pasand na tha...is khayaal ne uski mazahimat ki ,pehle iradatan,phir amalan, ke aye nafs giran qadar, tu vo kar jo tujh per giraan guzre....koshish tou kar, pehal tou kar, mushkilon say guzarne ka naam hi hai zindgi....khud ko adaton say riha karne ka naam hi hai bandagi...

Aksar halaath aisey bhi pesh aaye jahaan tabiyet ki maang jaayez thi...uska inkaar haq tha...magar yehaan bhi khuda ki khushnudi ko pesh nazar rakhna maqsud rahe...ke vo bande ke amal may apni siffat ka nazara chahta hai...uski bekaraan rehmath uski bakhshish may hi tou chupi huii hai...pas bashar ko chahiye ke vo apne insaan hone ka sabut de...apne momin hone ki gawahi de...ke zulm ka badla pyaar bhi ho..kabhi kankar le kar heere tole....

Sabar-azama ghadiyon ne bada uksaya bhi...le ab apni taskeen kar...apne zabt ki girahen dheeli kar ke dekh...khatakaar ki ayaari kahin tujhe bhi apni fitrat ki lapet may na le le...hoshiyaar....khabardar....teri fitrat khuda ka tohfa hai...yaad rakh....tere ehsaas uski panaah may hain...tera ek ghalath qadam, teri ek behaki soch....bas tere randa-e-dargah hone ko kaafi hai...faqat apni mohabbat may uski mohabbat ko yaad rakh...usne apni amanat tujhe sonpi hai..koii khayanath na ho...yaad rakh...

ye khushi...ye sakun ke pal...sab aarzi hain...soch...samajh...ke tu siwa khushnudi-e-rab ke kya chahta hai....insaanon ko khush karna tere bas ki baat nahi...saari hukumat uski hai...saarey faisle uske hain...tera kaam bas itna hai...uski rehmath ka haq ada karna..uski niyamaton ki hifazat karna....apni fitrat ko mehfuz karna....bas phir vo kar jo tujh ko giraan guzre....