Tuesday, December 29, 2009

Dorii


Zindgi gar yon hi tamaam hona thi..
kahin maye-kash ka pyaala ,kahin pyaase ka jaam hona thi...
kabhi khudsar,kabhi mudabar ka kalaam hona thi...........
gar bata deti,ke hum kin rahon se guzrenge,
hamaare waaste agle mod per kya achanba hai..
raaz-e-do-aalam ka perda uthaa deti..
manzil tak ka safar ghata deti...
qadam ye kabhi na dagmagatey na kahin girtey..
umr apni be-basi ka shikwa nahi karti..
waqt ki her chaal se gar bakhabar hote...
na kahin koi derd hota ,na aansu apne hi peetey..
khair...hikmat ka diya,andheron ko roshan kar hi jaata hai..
dair se hi sahi samjh may aata hai..
ye jo hersu ulfat ki dori hai...
ye jo hersu rishton ki majburi hai..
raaz paane ko yeh duniya zaruri hai....

Friday, December 18, 2009

Soch


Ye dil ke mosam bhi waqi ajeeb hote hain,insaan ke mizaj ke saath saath badalte dikhai dete hain..khushion may bahaar ghumgeen hon tou chaarsu pathjhad,khizaan...koii mosam udaas dil ko nahi bhaata..koi nazara apni taraf mutawajah nahi kar paata...aakhir ye ghum hai kya...ye khushi hai kya....

khushiyaan khahishon ki takmil se phut-ti hain..khushiyaan duaon ki kamyaabi ki dane hoti hain..khushiyaan ummidon ka phal hain...inhi ki talaash may aam admi aam hi reh jaata hai...isi liye tou khuda ne kaha hai," aankho waalo,ibrath pakdo" yaane her shaye ki haqeeqat jub insaan ko malum hojaaye tou vo her khahish se dasbardaar hojaaye...khushion ka ek hi matlab reh jaaye...haqeeqat-e-raza se ashnaii zindgi ban jaaye....

Ghum ki taareef kuch yon hai..mayus zehnon ki shogal-e-bekaari unki khaali aankhon ko amal ke fawayed samjhane lagti hai...ye vo amal hai jo nakaami ke siley ki surat raah bhatka jaata hai...ghum us baat ka kaho kya karen jo apne ekhtiyaar may nahi...her aane waale kal ki khabar sirf usey...phir hum in guzarte huye palon ko zindgi maan kar unme khud ko talaash kyon karen...

ye bhi apna nahi ...sab usi ka hai...haan bas uski haqeeqat per ghaur karne ko ye waqt ye muhallat di gaii hai...ke ye duniya aakhir hai kya...yehaan insaanon ki sangat mukhtalif shaklon may mili kyon....kahin rishte,kahin dost, kahin saathi, kahin humsafar, kahin ajnabi...per sab paas paas hain saath saath kyon nahi...ye jo khayaal hai insaan ka..ye jo soch hai admi ki...ye zehn-o-dil ke faslon may sada bhatakti rahi....usey chahiye her taraf koi na koii kashish....vo her kisi may apni aarzu talaashta hua....her taraf khud ko hi khojta hua....

Zindgi jo rubaru hai vo ek daras ke siwa kuch bhi nahi...her qadam ek naii soch hai..ek naya paighaam hai...ke jaan le adam ke baad ab tera yehaan kya kaam hai...asli jaa-e-moqam se bhatkane waala bhi wahi...usi khubsurat watan jiska naam junnat hai,uski taraf bulaane waala bhi wahi...ab teri dosti ka imtihaan hai bashar...tujhe ye purfareb jahaan chahiye ya tera dost azli, mehbube-dojahaan ka ishq-e-khuda....................

Monday, December 7, 2009

Ghum Ki Shaam


ye shaam kabhi na dhali...vo khushi jiski hum they muntazar..humen aaj tak nahi mili....haan vo khushi jiske sang hum khush rahe...humen hamesha hi raaston may chod kar chali..humari khushi se her khushi ,khushi khushi mili...hum khushion ka matlab khushi se behter samjhte rahe aur her mehafil ki khamoshi ko hamari khushi gunj ban kar mili...pyaase se behter pyaas ko kaun jaanta bhala...ek pyaasa barasaath ban kar kitne sehraaon may baras gaya...saraab ko haqeeqaton ka rang de gaya...usi barsaath ka ek qatra hum huye....is se pehle badal ghabraye bahut...apni harmaan nasibi ki ote se koii bund bahne se katrati rahi...usey apni khushgumaanion per yaqeen na tha...magar ekdin chaand ne kaha....tu jaanta nahi tujh may kya kya nahi...tujh may jo hai nami vo karegi puri sab ki kami....

Hauslon ki ye mahaz dastaan nahi...inme chupa hai hikmaton ka silsila....ek rotey basortey dil ko kin kin raaston se guzar kar khuda mila...ye khuda hi tou tha jo khayaal ban kar paighaam deta raha..ye khuda hi tou tha jo mohabat mohabbat may sajta raha..ye khuda hi tou tha jo mutlaashi ki ankhon may samaa kar her surat may ek surat hota raha....warna ek shaam ghum ki kabhi na dhal sakti thi....kabhi usey haq ka sawera nasib ho nahi sakta tha....her taraf yaasiyet ke is daur may kuch hausle abhi jawaan hain...kahin naii umangon ki dastaan hai..

masghala chahiye koii ghum-o-raahat ke siwa
hasrath ab koii nahi sabar ki hasrath ke siwa

Thursday, December 3, 2009

Abhi azam jawan hai


abhi azam jawaan hai
hausla thama kahaan hai
lamha lamha keh raha hai
abhi kaatib meherbaan hai


Phir se ek ummid jagi hai..kuch kar guzarne ka armaan hai..jo rubaru hai vo nazara hai..jo ojhal hai wahi sab se pyaara hai..ke vo dikhaii nahi deta...khud may dhadakta hai..usi ki khaatir usiki khahish per..aaj phir kuch kar guzarne ka arman hai..jeene ki tamanna hai..khush rehne ko chaha hai..chalo ab jub ke ummid bakhshi hai tou sahaara bhi de dega...kyonki sab uski hi mansha hai...uski hi hikmat hai..dil bhi wahi arzu bhi wahi...vo chahta hai mujhe...apne karam ka hissa banana..mujhse vo kerwana jo vo chahta hai...maine bhi maanga hai...apne zabt ka daman wasee karne ki dua ki hai...her ek ki kami ko apni kamion may madghum karne ki sochi hai...khud ko tatola hai...kahaan kahaan zindgi raah bhuli hai...kub raah bhatki hai.kub khud ko haara hai..kahaan khud ko paaya hai....

Bas uski sangat may...uski be-zubaani may, uski aankhon may..ek ishaara hai...vo na ho kar bhi herdam hamaara hai..usi ke dam se kal ka guzara hai...

Galion galion bhatak kar koii raah paata hai..kisi ko nerm-o-gudaaz bister per apna hona samjh may aata hai...un khushnasibon may jub naam jud jaaye, phir bhi zindgi her raah per uljhaaye..daman zabt ka gar taar taar hojaaye..phir paakar bhi khone waali kahaani hai..do pal zindgaani hai..do pal jawaani hai...jo haq ki talaash may guzre wahi zindgaani hai...

Riyazaton mujahidon ibadaton ne zarur usko pukaara hai...vo ek deewane dil ka bhi maara hai..


Wednesday, December 2, 2009

Khayaal


Haan mujhe yaad hai tu udaas hai mere baghair...tu jaanna chahti hai meri daastaan...vo bhi mere kahe baghair..lo aagai hun mai aaj phir wahi dil le kar...vo aksar is lafz per kitna jhinjlaya karta tha...aji wahi aur kaun..mera khayaal...jub bi ye kehti khud se haye mera dil bechara...aaj sochti hun tou mera bachpan lagta hai kabhi gaya hi nahi..jawaani aai zarur...magar usey bachpan ki dahliz laangna manzur na hua...apni nadanion sameth vo bachpan jo aane waale waqt ko gumraah karde..khatarnaak bhi tou hosakta hai...

bas usi bachpane waali jawaan saali share karne aai hun...jahaan hazaron khubsurat rangon ke darmyaan her kami puri lagti thi....waqt adhura lagta tha...per chaand pura lagta tha...cchahe adha hi kyon na raha ho..ya nazaron may na bhi raha ho...barsaaten bhi geela nahi karti theen...mosam bheega karte they..umr taka karti thi...ye intizr bhi tou khoob hota hai..kisi na kisi ka intizaar..waqt ka,rishton ka...tabdili ka...kamyaabi ka....her intizar apne saath tadap,arzu,aur luzzat le kar milta hai...chahe kuch ekhtiyaar may ho na ho...khayaal tou apne hote hain...unhen tanhaii ke per jub nasib hojaate hain tab unki buland perwaazi per asmaan bhi rashk karne lagta hai...

saweron se ki hain baaten...shaam ke kitne derd samete they...bojhal raaton se lipat lipat kar baaten keen....andheron se tak pyaar kiya...ujalon may khud ko kabhi paaya hi nahi...ke wahaan hasti ka ehsaas kahaan hota hai...bas waqt ki rawani ne saansen bojhal kardeen...vo saare khwaab jo kal tak jawaan rahe..aaj saakt hogaye....ab bandh aankhon may bhi haqeqaton ki chaun hai...dhalte pahar may her lamha tez dhoop hai...ye mosam ruk gaye hain yehin...ye saaye shajar se juda hogaye hain kahin.....

ye asmaan per shafaq nahi meri arzuon ka rang hai...ye ret ka sehra nahi jalte huye khwaab hain...ye ghatayen ab na barsengi kabhi ke unhen in aankhon se pyaar hai...inhi khayalon may kahin ek khayaal hai...ke ho na ho ye mera khayaal hai....

Friday, November 20, 2009

Duniya






Banane waale ne duniya suna hai khoob soch samjh ker banai hai...aur ye bhi ke soch samjh kar hi duniya basaii hai..phir apni soch ka ek hissa adam ko bakhsh kar unki her aane waali nasal ko jhanami hone se bacha leta...aye kaash aisa hota..waqt rehte admi ko moqadar samjh may kyon nahi aata..apni taqdeer se zyaada aur waqt se pehle paane ke chakkar may gumrah tou nahi hota...Mere maula teri hikmaten tu hi jaane...tu jo waseele bakhshta hai unki sohabaten tujh tak pahunchne ka hi amal hoti hain...maine ye hote dekha hai..paaya hai..khud ko dhula dhula..kasmakash-e-zindgi se nikal kar halaath se jahad ki taraf rukh modte dekha hai...kahaan ghalath hojaati hai zindgi...kyon haqeeqaton se perda nahi uth-ta...kyon hasti ko paamal hona padhta hai....meraaj mohabbat ki kya maangti hai?

Duniya ko khud per taari karne ki himaqat her fard se sarzad hoti hai..kyonki vo nahi jaanta uski falaah kis may hai...ek musalmaan gar samjh jaaye kya hai imaan...phir saari guthi sulajh jaaye..ye roz roz ki aziyeten khatam hojaayen...khuda ne Nabi bheje..Wali bheje..yehi paighaam dene...ke tu sirf mera hai aye abad..tu ahad ka hai...tu laakh apni chahton may khud ko ruswa karle...phir bhi mai tera hun...tu mujhi se wajud may aaya hai..tujhe mere paas hi lautna hai...phir tu apni taqdeer badalne ke chakkar may ye bhul gaya ke hoga wahi jo meri chahat hai...teri koshishon may gar meri raza hogi tabhi tujhe teri chahat milegi...khuda ki zubaan samjhta nahi kyon aye nadaan insaan...

kabhi kabhi daana bhi thokar khaate hain..apni hikmat ka istimal karte waqt khuda ki hikmat bhul jaate hain...safar bulandiyon ka taye karne waale ek thokar may pastiyon ki taraf laut aate hain..ye unki khushfahmi hoti hai..ke unhen iqtedaar mil gaya hai...eqtedaar-e-aala apni dor jub khinch leta hai phir saari hakeemi dhari ki dhari reh jaati hai...kaash Aye Bani Adam tu apne pairon tale ki zameen hi bacha leta..asmaan ka khwaab dekhne se pehle zameen ke taqaze bhi purey karne padhte hain...zameen apna haq insaan se wasul karke hi rehti hai...ke insaan ki ek ek saans per zameen ka qarz hota hai....Asmaan waala de kar azmaata hai...Banda apni aarzu ki chot khaata hai....

Friday, November 13, 2009

Diary



Aye meri hamraaz..aa chal tujhe le chalun apni khilwatkhade may..jahaan tere aur mere siwa koi nahi..siwa rab ke...

maine apne shab-o-roz kasmakash ki nazar karke zindgi ke khubsurat manzar ganwa diye..maine chund dilon ki baghawat per khud ko baar baar qatal hote dekha..maine apni jaan ko halaath ki nazar hote dekha...maine mohabbaton ko khud se bekhabar hote dekha..Aah! zindgi, kaise kaise manzar dikhati hai tu..vo bharam haseen tha..jahaan mera apna koii na ghmugeen tha..magar kahaan jaante they nadaanon ki taqdeer ka faisla sangeen tha...

muddaton pyaase sehra ka her khwab saraab tha..Aarzu ne jub bhi asmaan ki jaanib dekha,ek udaas kaali raat nazar aai...ek timtaate sitaare se sada ankhmicoli rahi...kabhi aaina hojata,kabhi daman may jud jaata,kabhi ankhon may uter aata...ye khwab kab haqeeqat hoga...

Tuesday, November 3, 2009

Dairy


Safar taweel hai...musafaton ki thakan ka ehsaas is safar ko mazeed taweel bawar kara raha hai..vo ehsaas kya huye jo purkhumaar they..vo chaah kya huii jo zindgi ka ghumaaz thi...vo arzu kahan gaii jisey humse pyaar tha....vo khwaab kya huye jinhen khud se pyaar tha..

Acha hua ke subah se pehle aankh khul gai..Acha hua ke shab ko bedaari milgaii..Acha hua ke khud se beqarari nikal gaii...Acha hua ke dil, deewangi nigal gaii....Acha hua ab di mera nahi raha.....Acha hua mai sab ki hogaii...acha hua ke ab mai,mai na rahi....

In sab ke bawajud ab bhi zindgi tou hai..kya hua isme mai hokar bhi mai nahi...


Wednesday, September 23, 2009

Aaj Aur Mai.........




Kal ki baat karne waaley aaj jiya nahi karte...kal ko lekar chalne waale aaj ko mukammal karte hain..aur mai aaj ko jeena chahti hun kal ke her sabaq ke saath zindgi ki kitaab ko mukammal karna chahti hun.so ye mera Aaj hai us Kal ke naam jisne zindgi ko behter rifaqaten bakhsheen...jahaan zindgi ne khud ko sochne per majbur kiya...ek mulaqaat adhuri thi dusri mulaqat khud se puri thi.

Aaj behter mosam laaya hai.kal ki shaakh se tuta hua her patta aaj ke is mosam ne hara kar rakha hai..ye tute patte gar bikher jaate tou panno may mehfuz hojaate..phir panne shelfon may saj jaate...phir yaadon may shaamil hojaate..magar in harey mosamon ne is kal ke her pal ko khud may mehfuz karke laa-zawaal kar liya hai..ab vo kal kabhi na bichadne waala saathi hai..is Aaj ko zindgi ka ujala usi kal ki tareekion se mila hai..is Aaj ki saari raunaqen usi kal ke dam se lagi huii hain.

Khuda jaane hum insaan zindgi ke her pal ko usme shaamil her paighaam ko,her ishaare ko kaise nazar-andaz kar jaate hain.waqt tez raftar zarur hai..par kuch lamhon ki muhallat tou deta hai,zara tehro,zara tham kar ek baar mud kar is guzarte huye pal ko ghaur se dekho.isey samjho..isey suno...isey chaho..ke ye tumhara hai..sirf tumhara hai...jisme tumhara ehsaas shaamil hai...tumhari hiss ka dakhal hai..tumhari soch ki mehefil hai...jahan sirf tum aur tumhara dil hai..

Aaj mai ghani hun.aaj mai haatim hun..aaj mai apni niyamaton ke khazaane lutana chahi hun...ke ye bat kar babarkat hojaayen...bilkul us babarkat zaat ki tarha jiski arzu yehi hai..jiska karam yehi hai..ke uska sawaali kabhi khaali na jaaye...bulki uske dar se haasil khazaane dono haathon se lutaaye..khuda kare unki arzu meri arzu ho...meri justaju mere rubaru ho...Ameen.

Jub talak rahbar hai rahbari hai
Tab talak baaqi hasti meri hai
waqt ko gar suno ghaur se
her lamha ek paighambari hai