Wednesday, April 6, 2022

Adhure Loag.....


 

 Duniya ki ranga rangi is baat ki gawah hai khuda ne insan bhi mokhtalif mizaj ke banaaye...

uski takhlikh se peshter farishton ko ilm tha ke admi duniya may aa kar kya gul khilaane waala hai..

So dil tou ekse hi dhadakte hain per dimagh apni ekhtera ke hathon maar kha jaata hai...

kaha gaya hai khaali dimagh shaitan ka ghar hai...

iska matlab ye ke soghal-e-bekaari ke rasiya inhi fasid khayalo ki giraft may ajate hain...

aur apne aapko nuqsan pahunchaate hain...

khuda ko de kar azmana pasand to hai magar, bande ka ye fale sakth na pasand hai..

ke apni tafreeh ki khatir kisi dusre ki zindagi per asar andaz ho...

waise logon ko ye masghala itna marghub hai ke vo paas-e-wafa aur humnafas ki behbudi se nazar chura lete hain..

yehan tak ke khudfaramoshi ka shikar hojaate hain..

ye kaisi sitamzarefi hai ke apne rishton ku, unki mohabbaton ko bhula kar sirf apni taskin per amada rahte hain..

jhut vo hai jo haqeeqat per perda gira kar rishton per aari chalata hai...jadein etmaad ki kaat deta hai...yaqeen ka bharam tod deta hai...

Admi sab kuch kare , per umar bhar ki punji ko yon pal may na lootay...

vo dil jisne hamesha unki hifazat ki ho ,uska haasil ye anan fanan daketi hai ... 

us dil ko is shab-khoon ki tawaqo kahan thi..

akhir khahishon ki manzil kya hai...

arzu ka haasil kya hai...

dono jahan ganwa kar paaya bhi tou kya paaya...

ek dil jale ki aahon ka her waqt rahega unper saaya..

us dil ki kaifiyet wahed khuda hi jaanta hai , jisne apnon se is zarb kaari ki ummid na ki ho...

jinki ulfat may khud ko beshumar dhoke diye hon...

baarha unki kotahiyon ko nazar andaz kiya ho...

phir bhi kaafi na hua...

kaash vo dil bhi us mohabbat ke maare ki talab jaan lete...

vo tou sirf unki muskurahat,unki purkhulus mohabbat chahta raha..

unki qurbaton may khuda ka qurb paata raha...

mohabbat ek aisa giran qadar jazba hai jiski taab her dil ko nahi...

kamzor dil is asaase ko sanbhal hi nahi sakte..

kaash ye apne aise na hote....zaruraton ka shikar hona aam hai...

magar iski khatir rishton ka qatal-e-aam na-munasib hai...

tou mere dosto,jub bhi aap ye tajruba karein , apna daman-e-dil bacha kar chalein...

ye aise daagh hain jo asani se nahi dhulte...

ye aise zakham hain jo kabhi nahi silte...