Thursday, February 17, 2022

Intizaar ....

 


Zindagi ummid aur intizar ka darmyani waqfa hai dosto...so iski raftar aap pa hi nahi sakte..kub aai kub guzar gaii.

ibtida-e-ishq hai rota hai kya

dekh aage aage hota hai kya

wala mamla hai...so sab per se guzri hai hum per bhi guzar gai...ye zindagi...iske marhale..hadisath...sadmat...ghum aur khushi ke lamhath...dil kya cheez hai ye janne ka mauqa nasib walon ko milta hai...warna zindagi aksar sood-o-ziyan ke hisab-o-kitab may nikal jaati hai..ke kya behter hai kya khoob ter...aane waale kal ki fikir is aaj ke her suneheri pal ko kha jaati hai...kya waqi khushi itni mubaham hai ke pehchani nahi jaati...ye insani chehre ek perda hain jazbon ka...koi ankhon ka safar karna jaanta ho tou pehchan le ke waan kitne khamosh samandar hain maujzan hone ko...

khair zindagi ko baher-surat guzarna hai yon nahi tou yonhi sahi....rote dhote mayus hone se kya haasil....jo darpesh hai usey tou pesh aana hi hai...tou phir kyon na isey peshter hi maan liya jaaye...jo mil jaaye ghanimat hai..ke yehi hqeeqat hai...nazar churane se kya haasil...nazar milao tou koi baat hai...gharz zee faham apna kirdar bakhubi nibha lete hain...nadan matam kinaan dono jahan se jaate hain...

Taqdeer ke aage tadbeerien dhari ki dhari rah jaati hain...moqadar fareb nahi khaate...bulki fareb to insan khaate hain...khudfarebi ki adat jo hoti hai...haqeeqat se daman bacha kar us se muh moda nahi jasakta...vo tou peecha karti hai,tab tak jub tak is khudfarebi ka perda chaak nahi hojata...jub tak admi apni katib-e-taqdeer ki maan nahi jaata... 

her ek ko is imtihan se guzarna hi hai...tou phir kyon na khud ki tayari per tawajoh di jaaye..iske liye khud se mulaqat zaruri hai...honi ko koi taal nahi sakta..agar is waqfe ko jo hum ko mila hai is per ghaur-o-khaus kar liya jaaye to mumkin hai jo honi tul nahi sakti usme khuda ki inayet shamil hojaaye...yehi asal kamyabi hai...is imtihan ki...