Sunday, August 13, 2023

tere dil may aaj kya hai....




kaafi dinon se ye unwan zehen-o-dil ko awaz de raha tha...so aaj ruju karliya...najaane kitne fasaane hain jo sab ko sunaane hain...aur her dil ki baat mokhtalif hai...her soch alag hai...tou phir kyon na jaanne ki koshish ki jaaye ke "tere dil may aaj kya hai"...gar tu kahe tou mai sun lun aur samajhne ki koshish karun ke zindagi ne kub kahan aur kyon saath choda tha..aur hum waqt ke saath kyon chal nahi paaye...

In rishton naaton ki dore kis liye chut gaii..akhir apne apnon se kyon ruth gaye..is musalsal khamoshi ki wajah dhundta hua ye khayal aaj mujh se aa mila hai...jo mujh se aap sab se ye pooch raha hai.." akhir itna sunnatta kyon hai bhaaii"...

ek shaandaar puraana khandar is ki wajah ho nahi sakta...is mulbey may najaane kya kya raaz dafan honge..kitne bechain dilon ki chuban hogi...akhir ye bhara pura kunba muntashar ho kar bikher kyon gaya...

Panchiyon ki udaanen kon samajh paaya hai...koi wajah tou rahi hogi...bas unhi wajahuth ki khoj may ek pyaasa dil in sab se milne ki koi aas liye apne lafzon ke taane baane may apne khayaal piro raha hai...hoskta hai ek din unka aamna saamna bhi hojaaye...tab mai zarur poochungi...akhir "tere dil may aaj kya hai.."

Saturday, April 22, 2023

shahid!




Vo lamha , jo qalambandh hone ka lamha dhund raha hai bada hi siffak sa lamha hai...jisne maut-o-hayath ka darmyani pulsirat abur kara diya tha...kya waqi jis nazaare ki taab ankhon ko na thi ,khuli jaagti ankhein gawah hogaii theen us lamhe ki...

Aah! koi yon bhi jaata hai nazar ke saamne se...jaan se zyada azeez rakhne ka waada...majbur kar gaya tha usey efaa-e-ahad hone se...tumhein jaana hi tha...chahe dil maane ya na maane...yaqeen ki wahi akhri manzil thi...

tum ne tou munh mode liya jaate jaate...per apni yaas may doobi dubdubaai ankhein meri ankhon may chod gaye...vo dil bardashta dil mere dhadkanon may kahin rah gaya...kya kahun mai is hijr ki saubaton ko jahan ek sunnatta hai...ek unmit khamoshi hai...ek saakin sa dil hai...

Tumhare baad bhi zindagi rawan dwaan hai...magar ye khula sa kya hai...jo keh raha hai meri adhuri kahani...tumhara saath takmil ki alamat tha...tumhare baghair duniya kyon sooni sooni si lag rahi hai...

mujhe kyon yaqeen sa tha ke tum laut aaoge apni saubaton se..apni aziyeton ke safar se..tumhare zabt ki mai qaayel thi...tumne sabar ki intiha bhi abur karli jo her kisi ke bas ki baat nahi thi...per tumhein chale hi jaana tha...laakh chahne ke bawajud tayeshuda faisla pura hokar hi raha...

ek musalsal jahad ne ahista ahista tumse tumhi ko chin liya...tumne chaha tha ke judaii ke marhalon se mujhe na guzaro...tum keh bhi tou na paaye they...tum mukamal khamoshi they...jahan na lafz they na awaz...na ehtejaj....bas bechargi....jo mujh se  bhulaii na jasaki....

jo mujh may reh gayi thi vo thi tumhari kasmakash...tumhari khamosh i...

logon se suna tha waqt akhri qayamat se kum nahi hota...magar tumhare chehre ka sukun tou kuch aur keh raha tha...ke tum jaan gaye they..mujh se bichad kar tum apni asal se milne waale ho...ek itminan tha tum may...tum mukamall qarar ban gaye they...

aur ek sakta tha ke hum pe taari tha....haqeeqat se nazar churana bashar ki purani adat jo teheri...aaj bhi dil maan nahi raha tha...ankhon dekhi ko jhutlaane ki nakaam koshish may paraganda hosh se begaana hua jaraha tha...kya waqi tum yon bichad jaoge...

ek saans tumhare seene may atki...ek saans ki leher tumhare pate se uthi...phir sab saakt...hogaya...dil ko phir bhi yaqeen nahi aaya...kahin wapas aajaoge tum...jhutladoge is ankhon dekhi ko...per ye ho na saka...

tumhara jaana taye tha...adam se aaye huye adam ko chale...jo peeche chut gaya usey jaate jaate samjha gaye...saara nizaam bas is hawa mehel per tika hua hai...aa dam ne isi dum per khilfat ki buniyad rakhi apni nasal ki takhlikh isi dum per ki...yehi dum ne akhir dumsaadh liya...

ek bande ka aana duja bande ka jaana imaana-afroz nazara hai...jis se koi inkari nahi..

Tuesday, April 18, 2023

tareeq (history)

 




na tha kuch tou khuda tha,kuch na hota tou khuda hota

duboya hai mujh ko hone ne,na hota mai tou kya hota

lagta hai tareeq khud ko dohraane ke liye beqarar hai...kahin in beqarariyon may chupa koi israar hai...

kaash taareekh badal sakta waqt...phir safa-e-zindagi se kitni unchahi kahaniyan ghaayeb hosakti theen..

ghalathiyan tou vo hain jo agahi maangti hain...khatayen to vo hain jo majboor kar leti hain...halanke maazi tou pal pal agahi ka daur hai..wahin se banda zindagi ke haqeeqi jazbon ki agahi haasil karta hai..

aaj kal ki yaad hai ...aur aane wala kal patta nahi kya lekar mile...jo rab chahe...

waise zindagi pal pal tajruba hai aur ye pal her us pal ka tajziya hai....darasal is pal apni hi zaat ka mushahida hai..

Quran may khuda kehta hai ke ghur-o-fikir karne waale ke liye ye nishaniyaan hain...waqi her zarra ek dusre se juda hai...warna sab adhura hai...agar ye na hota vo bhi na hota...agar tu na hota hum bhi na hote...

ab raat din dil ki gardish yehi sawal karti hai

kya waqi tu isi gardish-e-dauraan may rahti hai

magar sach hai zindagi khwab lagti hai...vo khwab jo kabhi mukammal ho nahi paaya...

waqt hawa ka jhonka...kub guzar gaya patta hi nahi chala..

in aate jaate lamhon may jo bhi mila vo saaya sa lagta hai..kub mila kub bichad gaya patta hi nahi chala....azal se tanha they...aaj bhi tanha hain ...

kya in halaath ka koi sabab bhi hoga...hosakta hai...khuda ne bande ki qismat per apni hikmat ki mohar jo lagaii hai...

shaoor ki manzil milte milte hi milti hai...tab tak safar ekhtatam ke qareeb hota hai...raahi ke shull qadmon tale se jub zameen sarakne lagti hai....tab kahin uske hosh thikaane lagte hain....afsos sad afsos ek zindagi mili thi...usey bhi na paaya...haath kuch na aaya...bas ek lamha darkar hota hai...jahan khuda bande ka ahad istawar hota hai...

Wednesday, February 8, 2023

ilhaam

 

hai tere tasavvur se yahaan nuur kii baarish
ye jaan-e-haziin hai ki shabistaan-e-hiraa hai


Shayed vo germiyon ki dopeher thi ya phir serd si behis shaam ,jahan kisi ka hona na hona koi mayene nahi rakhta...

ilhaam aisa hi ek peher dhundta ho shaayed..ya ek aisa dil dhundta ho jis per duniya ki koi chaap na paa sake..jahan usey sirf apna aap nazar asakey...

Maine bhi ek aisa hi saaya dekha jisme khud ko madghum hota paaya , phir apna aap kitna saaf nazar aaya...

Aah ! beqarari may qaraar aaya..derd may bhi dulaar paaya..saari jama tafreeq ke baad jo bacha vo khumaar haath aaya...

Waqt ki gerdishon ke sang jismon ka mutahrik hona zindagi tou nahi hai...warna asudgi tou herkat se aari shaye hai jahan fursaton ka matlab faraghat hai...

Darasal sakun ka matlab niyamat hai...fursatein gar soch ki haamil hon tou adrak ka safar hain...haqeeqaton se mil kar hi sakun paati hain..warna musafer ka safar bemaqsad hojata hai...

Gharz apne raaston ka tayeen tou tayeshuda hai...mode kehte hain chun mujhe ehtiyaat se..gar manzil ki aas hai Rahbar ke qadam manzil ka hi suragh hain...

Tuesday, January 24, 2023

Adam aur Hawa

 




Insan ko khahishath dekar apni hikmat ka shikar banane waala koi aur na tha...Qadar mutlaq ne duniya basaane ka ajab khel rachaya...insan tou uski taqliq tha...bujhte bujhte hi usey bujh paaya...ke ye insan ke liye ek aisi paheli thi jiska sawal bhi vo jawab bhi vo tha...bulki, "vo tou mai hi mai tha aur banda tu hi tu"...

Rab-e-azeem bande may ayan ho kar bhi poshida hi raha..aur banda apni hasti ki haqeeqat ko kahan jaan paaya...warna her ishara khuda ka hi ishara tha...iblis ne khuda ki niyamaton ko rang badal badal kar pesh kiya.aur daam-e-fareb insan ki nazron se ojhal hi raha.. khahishon ki laghzishon ka aadi hona uski sarshat may tha..

Haqeeqat ko jaan lene se zyada maan lena mufeed tar hota hai...khud ki nafi us waqt ki jaaye jub saamne sarab ho aur dil dooba jaaye...haqeeqat se jo kare inkaar nafs ka hota hai shikaar ...phir ghalath bhi sahi lagta hai aur gunah bhi haseen ...

khata vo jo tazbazab ke saath ho...gunah vo jo jaan kar bhi kar guzre...ab ye ek lamhe agahi ki baat hai...khuda gar taufiq de to waqt rahte hosh mil jaata hai..warna humzad ke narghe my sada nafs rahta hai...jo surur ka pyaala hama waqt labrez rakhta hai...aur khahishon ka maara ...maara jaata hai..

pas ye janna zaruri hai ke khushiyon ki haqeeqat kya hai...dil ki zarurat kya hai...rooh ki kaifiyet kya hai...lamhati taskin hameshgi waala abadi sukun chin le is se bada khasara kya hosakta hai...

khuda ke noor ka haamil khuda ko challange karne waale ke daam may aa kaise sakta hai...basharte ke apni haqeeqat faramosh karde...apne daata se kiya waada bhul jaaye...

khata Baba adam ki kahan thi...iblis jaanta tha uska asan shikaar Amma hawwa hi hosakti hain...isliye hawwa ki neram-dili ka faida uthaya , yon hawa iblis ke jhaanse may aayeen apne shauhar ko bhi lapet may leliya...apne watan-e-azeez se nikaale gaye, is jilawatani ka wahed sabab ek laghzish hi thi...jo anjaane may unse sarzad hogaii...

Aur khuda ko unki azmaish maqsud thi...aur aaj ka insaan ye rudaad apni bhul gaya...ke uski zindagi ek imtihan hi hai...aur uski tayari may usey koshan rahna padega..