Thursday, May 5, 2022

Azmaish

 



Ye duniya dil ki kahan sunti hai...yehan tou zuban ki hukumat chalti hai...phir jub dil jub jaanta hai sab ,tou ye taklif kaisi...

Afsos sad afsos ke kitne khubsurat rishte iski zad may aajaate hain...jahan gharz ne par phailaaye aur munafiqat ne udaan bhari...tou ye jaa vo jaa...haathon se dil,rishte,sab nikle jaayen..

umar ki chakki may sab pees daala ...khud ko tak...phir bhi kaafi na hua...

kahan socha tha jo jaan se pyaare they wahi jaan leva saabit honge...konsa rang hai ye tera zindagi...kahan kasar rah gaii thi...ye mode kyon aaya aakhir...

ek aisa rishta jahan yaqeen buniyad hai...wahan mohabbat nakar di jaati hai..bharosa tod diya jaata hai..akhir is be sar pair ki tohamaton ne kis ko kya diya...kis ne qarar paaya...

kisi ka dil tod kar kabhi kisi ko aram na aaya...ek zara si ghalathi bhi aksar rubaru hojaati hai..be aram kar deti hai...nind uda le jaati hai...phir log itni badi badi badgumaniyan kaise paal lete hain...natijatan apne hi haathon apna nuqsan kar baith te hain..

kaash unhein patta hota...mohabbat karne waale badi mushkil se milte hain...unki zaat ko tamasha bana kar khud ko paamaal kar lete hain...vo dil jiski niyat ka patta khuda ke ilawa sirf in khooni rishton ko hona chahiye tha..jinhon ne najaane kis kamzor lamhe ki zad may akar ,khud apne batin ka apne zameer ka sauda kar liya ...

khair ye bhi azmaish hai bulki kadi azmaish hai bande ki, ke khuda un rishton se azmaata hai jahan ummid na ho...kabhi shikaar hone waala paspa hojata hai kabhi waar karne waala..

khudaya..hausla darkaar hai...