Sunday, April 29, 2012

Hurmaan Nasib







( 28th April ko meri behen Durdaana Nazeer key azeez shauhar B.S Nazeeruddin ka visaal hogaya .khuda unko maghfirat atta fermaaye aur unke ahal-o-ayaal ko sabar atta fermaaye...Ameen.).


Aah ! Zindgi tu ney ajab manzar dikhaaye hain..ab key ye kaisey ghum haath aaye hain...mere seene may Durdaana tera ghum phail raha hai...meelon door...ye faasla aur nazdeek la raha hai...mujhey teri tadap sunaii derahi hai...khudaya uski taskin ka ab samaan kaisey ho...gar tera karam ho....door uska ghum ho....per ye tou anmit kahaani hai...ye tou uski yaadon ki jawaani hai....insay faraar mumkin hi nahi...ye tou hafizey may sada ke liye mehfuz rahenge...paiwast rahenge....


Ye khel tou kub say jaari hai....aaj unki tou kal apni baari hai....koi na bach paaya is chot say....Amin yehi keh gaye hain....amanat lautaane may dair na karna....mohabbat ka haqdar vo bhi hai jisney bakhsha hai....is safar may saath do qadam ka hai....aur bas...isi per itna wavela hai....is mukhtasar say waqfe say itna pyaar kyon ...hojaata hai...ye tou khalikh ka hi takhilkh-kurda nizaam-e-hayaath hai..apni mohabbat ko pas-e-perda rakh kar apne abad ko aagey badha deta hai...aur banda ,bande ki mohabbat may giraftaar hokar apni asliyet say hut jaata hai....


Mohabbat ki azmat tou isi may hai....mehbub ki her ada per sar khum kardo....saayon say mohabbat laa haasil...ssaayon ka peecha karna besud hai..khaali ghum haath aata hai....aur is ghum ki koi wiqat hi nahi...phir ye be-maani tadap kaisi hai...kyon mere seene may tera dil dhadkta hai...tadapta hai....Allah tu apne bandon pe itna aur karam karna......jub un per ye uftaad padey tu itna raham karna.....unki tadap ko apni mohabbat say kum karna....

Thursday, April 26, 2012

Meraaj-e-Mohabbat





Pata nahi kya hua hai...arsa hua dil ne kuch nahi kaha hai...aur maine kuch nahi likha hai....isi liye aaj khud ko tatolne ki khaatir likh rahi hun...ke kahin inhi lafzon may apne liye koi paighaam mile...baarha maine dekha hai jub bhi maine kuch likha hai...khud ke liye hi paighaam mila hai...khuda ne bande ko isi liye kaha hai...mai tujh say juda nahi hun...na tujh say khafa hun mai....ye muhallat tujhe mili hai mujhe pehchaanne ko...mujhe paane ko....so Dosto kyon na phir khud ko samjha jaaye...zindgi kehti hai kya....khuda chahta hai kya....

Sab kehtey hain admi ki takhlikh ka maqsad sirf khuda ki ibadat hai...aapka dil kya kehta hai...

Dard-e-Dil Ke Waaste Paida Kiya Insaan Ko
Warna Taa’at Ke Liye Kuch Kam Ne The Karro-Biyan


Haq ko paane ke liye ek adad dil chahiye vo bhi pyaar karne waala....jahaan jis dil may mohabbat maujud ho wahin khuda sunaii deta hai...mujhe tou aisa hi lagta hai...isi jazbe may khuda namud hai...isi namud may adam ka wajud hai...vo khud tou ruposh hai,per uski siffat ka jalwa qayam hai..aur adam khuda ki siffat ka mazhar....mohabbat ek aisa jazba hai jahaan  koi sudebaazi mumkin hi nahi...be-dareegh lutane ki, lut jaane ki tayyari hoti hai...jahaan chah hoti hain wahaan raah hoti hai...isi liye chahna hi shert hai....

Derd-e-dil ki baat jub chali hai tou ab is derd ka bhi chalo patta karen...aakhir ye marz arzi hai kya....kyon derd uthaaye jaate hain..kyon zakhm khaaye jaate hain...ye marz la-ilmi ka hai...warna sach poochiye tou koi ahen bhi na bharta...koi yon ro ro key na marta...haqeeqaton ka perda uth-tey uth-tey hi uth-ta hai....tab tak admi khud say hi nalaan rehta hai...khuda say nalaan rehta hai...halaankey ye bhi la-ilmi ka hi natija hai...

Derd-e-dil baantna kis ko kehtey hain...dilasa jhuta dene say kya haasil....sach ka samna is marz say rihaii hai....aur sach yehi hai...mohabbat khud may ek mukammal jazba hai...raah bhi wahi manzil bhi....phir natijon may uljhne say kya haasil...jahaan derd dikhaii dey jahaan derd sunaii de.....tou samjho raahen faham ki mil rahi hain....bas musafer ko shauq-e-safar ho....phir zaad-e-safar ka khud bakhud intizaam hojaayega....so is derd ko giraan qadar nagina samjho...giran qadar khazeena jaano....isko seene may chupa lo...isko gale say laga lo....yehi mohabbat ki meraaj hai....

Monday, April 9, 2012

Mohabbat Martaba hai....





Mohabbat martaba hai...ye jisko bhi mila hai...wahi insaan hua hai...ghanimat jaan ke koi nazar teri jaanib uthi...tu is daayere-e-ulfat may aagaya....

Taayer tou bas udaan bharna chahta hai...par aur perwaaz say bhi pehle jazba-e-shauq bakhsha gaya....phir asmaan....tab kahin perwaaz buland huii...be-simt hi sahi safar tou raha....phir is safar ko simt bhi nasib huii...ke humsafar ko tou milna hi tha....usi raah per tujh ko chalna hi tha...le jaane waala tou baani-e-ulfat hai...jaane waala daam-e-ulfat ka giraftar....is marhale ko taye hona hi tha...baghair is ke pehchaan ki raah kaise nikalti....baghair pehchaan ke  baat kaise banti...

Phir sochna kaisa...mohabbat karne waale socha nahi karte...bas azam kartey hain...mohabbat karne waale aahen nahi bhartey...bas mohabbat ka dum bhartey hain...

Ehsaas jub khushi dene lage tou samajh ke tune raaz paaliya....baghair kisi talab-o-arzu ke dil raazi ba raza-e-mohabbat rahe, yehi mohabbat ki asal kamyaabi hai...jahaan ye jazba jalwa-numa hua wahin khuda ki ronumaii hai....jahaan vo ronuma hua samjho bande ki ban aai hai....