Wednesday, January 4, 2012

Zabt ke zaabitey....





Khud say rubaru hona....koii mushkil kaam nahi...basharte ke nazar chura kar, khud say katra kar nikal jaane ka irada na ho...kaii martaba ye bhi kiya maine..baaz dafa dil ne us fale say inkaar kiya jo usko qati pasand na tha...is khayaal ne uski mazahimat ki ,pehle iradatan,phir amalan, ke aye nafs giran qadar, tu vo kar jo tujh per giraan guzre....koshish tou kar, pehal tou kar, mushkilon say guzarne ka naam hi hai zindgi....khud ko adaton say riha karne ka naam hi hai bandagi...

Aksar halaath aisey bhi pesh aaye jahaan tabiyet ki maang jaayez thi...uska inkaar haq tha...magar yehaan bhi khuda ki khushnudi ko pesh nazar rakhna maqsud rahe...ke vo bande ke amal may apni siffat ka nazara chahta hai...uski bekaraan rehmath uski bakhshish may hi tou chupi huii hai...pas bashar ko chahiye ke vo apne insaan hone ka sabut de...apne momin hone ki gawahi de...ke zulm ka badla pyaar bhi ho..kabhi kankar le kar heere tole....

Sabar-azama ghadiyon ne bada uksaya bhi...le ab apni taskeen kar...apne zabt ki girahen dheeli kar ke dekh...khatakaar ki ayaari kahin tujhe bhi apni fitrat ki lapet may na le le...hoshiyaar....khabardar....teri fitrat khuda ka tohfa hai...yaad rakh....tere ehsaas uski panaah may hain...tera ek ghalath qadam, teri ek behaki soch....bas tere randa-e-dargah hone ko kaafi hai...faqat apni mohabbat may uski mohabbat ko yaad rakh...usne apni amanat tujhe sonpi hai..koii khayanath na ho...yaad rakh...

ye khushi...ye sakun ke pal...sab aarzi hain...soch...samajh...ke tu siwa khushnudi-e-rab ke kya chahta hai....insaanon ko khush karna tere bas ki baat nahi...saari hukumat uski hai...saarey faisle uske hain...tera kaam bas itna hai...uski rehmath ka haq ada karna..uski niyamaton ki hifazat karna....apni fitrat ko mehfuz karna....bas phir vo kar jo tujh ko giraan guzre....