Friday, December 13, 2019

ujaale rooh ke....








kaafi dinon baad, liye naii saughaat, apna dil sametne aai hun..ye saathi purana hai,humqadam bhi,roz mujhe dekha karti hai,aur socha karti hai..akhir ye panna mera kub kholegi...kub apna daman tatolegi....kitne shab-o-roz ruke pade hain..jo mujh se baantne hain usey....akhir vo shaam aa hi gaii....usne mujhe socha...usne mujh se poocha....kya maine ab tak jo likha vo mera tha.?..ya ab jo khila hai sawera mera hai..?..

ye ujle din ye ujli raatein...haan ji ab raatein bhi ujli hain...ke ankhon ko ek naya ujaala jo mil gaya hai....jis se darte they wahi baat hogaii....yaane ke na na karte kar hi liya..sar mearka...himmat-e-koshishaan...madad-e-khuda....


tou ji ab nazar ko nazare ki talab hai...jo bas milne hi waala hai....husn apni taab se bas mila hi chahta hai....asmaan apne aap bhi chala aata hai...badalon per sawar ye noor ka sailaab kidher jaata hai....shajar barf may lipte huye ujaalon ko mazeed roshan kiye jarahe hain...baharon ke mosam gale milne aarahe hain...