Friday, October 20, 2017

Gulabon ka Mosam





Waqt se kaho zara tumhara kya khayaal hai....tum chahe guzro kahin apna tou bas kal jo tha aaj bhi wahi haal hai...ghadi do ghadi gar mil bhi gaye wahi ek hi khayaal hai...kal se aaj tak ka ye faasla ek junbish per hi tamaam tha ,aaj bhi hai aas paas bikhra hua mosam gulaab ka...mehek hai ke khud may hai ghuli huii...mosam baatin ka hai dhula hua....soii huii yaad may koi jaagta raha hai umar bhar....ye bekhayaali keh rahi hai ke kahin koi khayaal hai jiski faseel may koi panahgazeen hai aaj tak....

Ek mosam sada bahaar hai maine dekha nahi kabhi usey badalte huye....Gulabon ka mosam....mehekta hua chahakta hua fizaon may racha basa rooh ko makhmur karta hua dilon dilon ko apni sair per le jaata hai...phir her dil ghum se door chala jaata hai......khayal is chaukhat per dil jhukaaye huye aur jub koi in gulabon ki saughat pesh karta hai tab koi darkhwast mustarad kaise hosakti hai bhala....her dil gulabon ki tarha mehek jaata hai...mehkaata jaata hai....

                                      ye dil ka mosam hai gulab ka mosam
                                      yehan nahi ab koi intizaar ka mosam