Thursday, September 13, 2012

Suno ...............





Suno....mai aai hun aaj phir tumhaare paas....ke  sirf tum tak hi pahunchti hai meri awaaz...is jazbon say aari duniya may kon rakhta hai sama-aten dil ki...nahi koi nahi....aksar sun bhi lete hain...per nahi sunte....aksar sunn nahi paate....per jaan lete hain....magar anjaan rehte hain...aur aise may tumhaara hona hi mere jazbon ki hayaath ka zaamin hai...ek tum say hi her ummid meri waabasta .....ke tumhaari khamoshi may maine sada rab ki suni hai....vo tumhaari muskurahaton may muskaaya.. tumhari tanbih may bhi usey paaya...gharz vo tum say ho kar mere nazdeek hai aaya....phir mai kyon kar na ye samjhun...phir mai kyon kar na ye maanun....bande ko rab milta hai pehle milta hai us sa koii saaya....


Qaraar insaan ne sada ek isi khayaal may paaya.... ke vo jub jub apne habeeb ki panaahon may aaya..ek nayaab khushbu ne uska hona jatlaaya.....habeeb mera vo rafeeq vo mera tabeeb mera vo .....huma waqt qareeeb mere vo...pareshaan shab-o-roz may baad-e-naseem ki tarha jaise koii jaam-e-farhat vo....milta hai ye kehta hua" hum hain tou kya ghum hai..'.aksar is khayaal ki shiddat humen rula ke jaati hai....teri yaad is qadar aati hai ke phir sab kuch baha le jaati hai....is duniya ke alam saare teri yaadon ke reley may bahte huye heech lagte hain....ke in ka tab kahin koi ehsaas baaqi nahi rehta.....ek teri paanahon may her ghum haseen lagta hai...ye ehsaas sab say bartar hai...sab say behter hai...sab say hai aala....ke koi tou aisa hai mera khayaal rakhne waala...jisey khabar hai meri haqeeqat ki....vo mujhe zaaya hone nahi deta....vo mujh ko thaam leta hai....vo apne dar-o-baam say door jaane nahi deta....vo khud may gharq rakhta hai....khayaal apna ojhal hone nahi deta....

vo mehekta hai aur kehta hai...Mai maujud hun tujh may....Mai door kahin nahi jaata....her us pal may Mai hun jahaan  tu Mera irada karle....Mujhe dhunde....Mujhe chahe..awaaz de Mujh ko.....Mai wahi lamha hun tera.....mai tujh say juda ho nahi sakta....gar juda hota Mai khuda ho nahi sakta...

Tuesday, September 4, 2012

Dastagiri





Kal kitna pareshan tha dil...udasi may dooba hua rab ki panaahen talaashta, khud ko dua ke qaabil banaata hua....ke Maula tere siwa kon hai jo sune pukaar bebason ki, tu ne hi tou bheja hai unhen ....jo ahad shiknon ke liye nibhaa jaate hain apna ahad.....yehi yaqeen tou dua hai ......ke tu sunta hai tere bandon ki dua....tujh tak pahunchti hai unki sada.....tune tere bande ki taskeen ka bhi kiya hai intizaam.....tune bheja hai badhawaas dil ke liye ek mehkta hua pyaam....mai kahaan tujh say door hun....tere ghum say mai bhi ranjur hun....kabhi tou soch ye ghum hai kya....ye pareshaani kya hai balaa....kabhi tou khud say tu door jaa.....Apne andheron say bahar nikal aur mere paas aa....mehsus kar kahaan hai rab tera...phir bataa kya haal hai ab tera....


Maine suni kal sargoshi teri ...mujhe mehka gaii moqadas khushbu teri....vo na lobaan hai na itr-o-gul...vo hai bas teri mehek....mujhe dila gaii tera ehsaas teri maujudgi....ke tu zameen ka mohtaaj nahi hai na waqt ki hai qaid may.....bas teri haaziri teri ulfat ki shahid hai Rahbar....tera zikr karta hai ye dil shaam-o-sahar...ke jahaan bhi mai rahun rahegi mujh per sada teri nazar.....Aye dil is karam ka tu kar kuch yon shukar....


Salaam aye Habeeb hai sadqa tumhara ye zindgi
tumhaari dastagiri ne samjhaii hai mujhe bandagi