Wednesday, February 8, 2023

ilhaam

 

hai tere tasavvur se yahaan nuur kii baarish
ye jaan-e-haziin hai ki shabistaan-e-hiraa hai


Shayed vo germiyon ki dopeher thi ya phir serd si behis shaam ,jahan kisi ka hona na hona koi mayene nahi rakhta...

ilhaam aisa hi ek peher dhundta ho shaayed..ya ek aisa dil dhundta ho jis per duniya ki koi chaap na paa sake..jahan usey sirf apna aap nazar asakey...

Maine bhi ek aisa hi saaya dekha jisme khud ko madghum hota paaya , phir apna aap kitna saaf nazar aaya...

Aah ! beqarari may qaraar aaya..derd may bhi dulaar paaya..saari jama tafreeq ke baad jo bacha vo khumaar haath aaya...

Waqt ki gerdishon ke sang jismon ka mutahrik hona zindagi tou nahi hai...warna asudgi tou herkat se aari shaye hai jahan fursaton ka matlab faraghat hai...

Darasal sakun ka matlab niyamat hai...fursatein gar soch ki haamil hon tou adrak ka safar hain...haqeeqaton se mil kar hi sakun paati hain..warna musafer ka safar bemaqsad hojata hai...

Gharz apne raaston ka tayeen tou tayeshuda hai...mode kehte hain chun mujhe ehtiyaat se..gar manzil ki aas hai Rahbar ke qadam manzil ka hi suragh hain...