Thursday, January 21, 2010

Chahta hai kya ?


Ek ajeeb sa khuula hai, jo kabhi purr hi nahi hota..aakhir soch kis khoj may hai ? usey apne na hone ka gumaan sa kyon hai ? ye baar baar khud ka ghair haazir hona usey kya samjha raha hai ? ke uski haaziri kahin aur hai ? uski aankhon se dhundlkey chatne lage hain...usey apne wajud ka maqsad sunaii dena laga hai..koii baatin se pukarta hai...kehta hai..uth...uth jaa....yehi waqt hai ....maang le parwardigaar se...aankhen mila apne dil-e-sharmsaar se....ke umr tune khud apni talaash may guzar di...jo do chaar pal bache hain....un per inayet hogaii hai...tabhi tou tera haath thaam kar,tere ladkhadaatey qadmon ko sahaara dekar tujhe abadi manzil ki ore le jaaya jaaraha hai.....

Apna sar uthaa...zamaane ko bhul jaa...faqat itna yaad rakh....jo tere saath hai wahi wahed hai khuda...junun gar kisi ka ho..khayaal gar kuch kahe...aarzu bhi herdam kahe.....visaal ki chah may bhi wahi rahe....jahaan se tujhe apni rooh mili...wahi tou hai teri awal-o-aakhir gali....bas moqadar ka peecha na kar...na kar qismaton ka gila...milega wahi jo chahega vo , tera khayaal jahaan na pahunch sake, utna buland hai tera martaba....tu apne sharf ko yaad rakh..baaqi sab bhul jaa...apna karam nibaah....

Friday, January 15, 2010

Derd


Ye derd bhi ajab ehsaas hai..kahaan kahaan safar karta hai..ek tees si uthti hai seene may dhuaan sa dil se nikalta hai..iski manzil aankhen hain…ansuon se lamhabhar pehle karb ki intiha se guzarta hai..per isko tou safar karna hai…ehsaas fana kub hote hain..in hi se tou hasti hai..inhi ke saath hikmat rehti hai..insaan ke liye ye raah-e-imtihaan hain…sab jaante huye bhi ke ye derd hi beemaar zindgi ki dawa hain apne kal ki baqa hain..is derd ki shiddat ko ankhon se zaaya hone na dena mushkil marhala hai..isi may chupa derd-e-karbala hai..un azeem qurbanion may dabi dabi aahon ne yehi kaha hai…Rab sab jaanta hai…usey jis bande ka dil marghub hota hai usi ka tamaasha khoob hota hai.....

Tuesday, January 5, 2010

Kashmakash








jub kisi kasmaksh ka koii hul na niklta ho...koii raah nikalti dikhaii nahi deti ho...un behungaam lamhon se berabt chund lafz nikalte hain..aakhir insaan ko kya kya chahiye...ek zindgaani hai..us se bhi kum jawani hai..ye sab yehin reh jaayega...jo baaaqi rahegi vo kahaani hai...phir bhi ye khahish hai kisi ki khahish radd na ho yarab...bandon ke seenon may armaan bhi hote hain...teri rehmat se hi jeene ke samaan hote hain..


Yarab tune mujhe khud ke rubaru karke ajab haal kar daala...ab her dil ke rubaru hun mai....saare derd sunaii dete hain...saare andruni manzar dikhaii dete hain..aur mere labon per unki duayen kaanp jaati hain...Aye khuda sun le tu meri iltija..mujh gunahgaar ke seene may tune vo dil rakha jo apni hasrathon ke gerdaab may bhi sab ki naiya paar karane ki arzu may dast-e-talab uthaaye huye hai....Mai ehsaanmand hun tere karam ki...ke tune meri bakhshish ki..meri dua sunli....