Tuesday, January 24, 2023

Adam aur Hawa

 




Insan ko khahishath dekar apni hikmat ka shikar banane waala koi aur na tha...Qadar mutlaq ne duniya basaane ka ajab khel rachaya...insan tou uski taqliq tha...bujhte bujhte hi usey bujh paaya...ke ye insan ke liye ek aisi paheli thi jiska sawal bhi vo jawab bhi vo tha...bulki, "vo tou mai hi mai tha aur banda tu hi tu"...

Rab-e-azeem bande may ayan ho kar bhi poshida hi raha..aur banda apni hasti ki haqeeqat ko kahan jaan paaya...warna her ishara khuda ka hi ishara tha...iblis ne khuda ki niyamaton ko rang badal badal kar pesh kiya.aur daam-e-fareb insan ki nazron se ojhal hi raha.. khahishon ki laghzishon ka aadi hona uski sarshat may tha..

Haqeeqat ko jaan lene se zyada maan lena mufeed tar hota hai...khud ki nafi us waqt ki jaaye jub saamne sarab ho aur dil dooba jaaye...haqeeqat se jo kare inkaar nafs ka hota hai shikaar ...phir ghalath bhi sahi lagta hai aur gunah bhi haseen ...

khata vo jo tazbazab ke saath ho...gunah vo jo jaan kar bhi kar guzre...ab ye ek lamhe agahi ki baat hai...khuda gar taufiq de to waqt rahte hosh mil jaata hai..warna humzad ke narghe my sada nafs rahta hai...jo surur ka pyaala hama waqt labrez rakhta hai...aur khahishon ka maara ...maara jaata hai..

pas ye janna zaruri hai ke khushiyon ki haqeeqat kya hai...dil ki zarurat kya hai...rooh ki kaifiyet kya hai...lamhati taskin hameshgi waala abadi sukun chin le is se bada khasara kya hosakta hai...

khuda ke noor ka haamil khuda ko challange karne waale ke daam may aa kaise sakta hai...basharte ke apni haqeeqat faramosh karde...apne daata se kiya waada bhul jaaye...

khata Baba adam ki kahan thi...iblis jaanta tha uska asan shikaar Amma hawwa hi hosakti hain...isliye hawwa ki neram-dili ka faida uthaya , yon hawa iblis ke jhaanse may aayeen apne shauhar ko bhi lapet may leliya...apne watan-e-azeez se nikaale gaye, is jilawatani ka wahed sabab ek laghzish hi thi...jo anjaane may unse sarzad hogaii...

Aur khuda ko unki azmaish maqsud thi...aur aaj ka insaan ye rudaad apni bhul gaya...ke uski zindagi ek imtihan hi hai...aur uski tayari may usey koshan rahna padega..