Friday, November 20, 2009

Duniya






Banane waale ne duniya suna hai khoob soch samjh ker banai hai...aur ye bhi ke soch samjh kar hi duniya basaii hai..phir apni soch ka ek hissa adam ko bakhsh kar unki her aane waali nasal ko jhanami hone se bacha leta...aye kaash aisa hota..waqt rehte admi ko moqadar samjh may kyon nahi aata..apni taqdeer se zyaada aur waqt se pehle paane ke chakkar may gumrah tou nahi hota...Mere maula teri hikmaten tu hi jaane...tu jo waseele bakhshta hai unki sohabaten tujh tak pahunchne ka hi amal hoti hain...maine ye hote dekha hai..paaya hai..khud ko dhula dhula..kasmakash-e-zindgi se nikal kar halaath se jahad ki taraf rukh modte dekha hai...kahaan ghalath hojaati hai zindgi...kyon haqeeqaton se perda nahi uth-ta...kyon hasti ko paamal hona padhta hai....meraaj mohabbat ki kya maangti hai?

Duniya ko khud per taari karne ki himaqat her fard se sarzad hoti hai..kyonki vo nahi jaanta uski falaah kis may hai...ek musalmaan gar samjh jaaye kya hai imaan...phir saari guthi sulajh jaaye..ye roz roz ki aziyeten khatam hojaayen...khuda ne Nabi bheje..Wali bheje..yehi paighaam dene...ke tu sirf mera hai aye abad..tu ahad ka hai...tu laakh apni chahton may khud ko ruswa karle...phir bhi mai tera hun...tu mujhi se wajud may aaya hai..tujhe mere paas hi lautna hai...phir tu apni taqdeer badalne ke chakkar may ye bhul gaya ke hoga wahi jo meri chahat hai...teri koshishon may gar meri raza hogi tabhi tujhe teri chahat milegi...khuda ki zubaan samjhta nahi kyon aye nadaan insaan...

kabhi kabhi daana bhi thokar khaate hain..apni hikmat ka istimal karte waqt khuda ki hikmat bhul jaate hain...safar bulandiyon ka taye karne waale ek thokar may pastiyon ki taraf laut aate hain..ye unki khushfahmi hoti hai..ke unhen iqtedaar mil gaya hai...eqtedaar-e-aala apni dor jub khinch leta hai phir saari hakeemi dhari ki dhari reh jaati hai...kaash Aye Bani Adam tu apne pairon tale ki zameen hi bacha leta..asmaan ka khwaab dekhne se pehle zameen ke taqaze bhi purey karne padhte hain...zameen apna haq insaan se wasul karke hi rehti hai...ke insaan ki ek ek saans per zameen ka qarz hota hai....Asmaan waala de kar azmaata hai...Banda apni aarzu ki chot khaata hai....

Friday, November 13, 2009

Diary



Aye meri hamraaz..aa chal tujhe le chalun apni khilwatkhade may..jahaan tere aur mere siwa koi nahi..siwa rab ke...

maine apne shab-o-roz kasmakash ki nazar karke zindgi ke khubsurat manzar ganwa diye..maine chund dilon ki baghawat per khud ko baar baar qatal hote dekha..maine apni jaan ko halaath ki nazar hote dekha...maine mohabbaton ko khud se bekhabar hote dekha..Aah! zindgi, kaise kaise manzar dikhati hai tu..vo bharam haseen tha..jahaan mera apna koii na ghmugeen tha..magar kahaan jaante they nadaanon ki taqdeer ka faisla sangeen tha...

muddaton pyaase sehra ka her khwab saraab tha..Aarzu ne jub bhi asmaan ki jaanib dekha,ek udaas kaali raat nazar aai...ek timtaate sitaare se sada ankhmicoli rahi...kabhi aaina hojata,kabhi daman may jud jaata,kabhi ankhon may uter aata...ye khwab kab haqeeqat hoga...

Tuesday, November 3, 2009

Dairy


Safar taweel hai...musafaton ki thakan ka ehsaas is safar ko mazeed taweel bawar kara raha hai..vo ehsaas kya huye jo purkhumaar they..vo chaah kya huii jo zindgi ka ghumaaz thi...vo arzu kahan gaii jisey humse pyaar tha....vo khwaab kya huye jinhen khud se pyaar tha..

Acha hua ke subah se pehle aankh khul gai..Acha hua ke shab ko bedaari milgaii..Acha hua ke khud se beqarari nikal gaii...Acha hua ke dil, deewangi nigal gaii....Acha hua ab di mera nahi raha.....Acha hua mai sab ki hogaii...acha hua ke ab mai,mai na rahi....

In sab ke bawajud ab bhi zindgi tou hai..kya hua isme mai hokar bhi mai nahi...