Monday, June 25, 2012

Mera Nishaan







Aye meri humnafs, aa shareek ho meri khushi....ye khushi hai sab say haseen...ke koii tujhsa nahi....maano naii zindgi hai meri...murjhaaye huye chaman ko mil jaaye jaisey naveed-e-bahaar....jaisey kali kali ko hojaaye is naii naii fiza ka khumaar....mujhe bhi is tarha sairaab kargaii teri khamosh ye nazar...abhi tujhe is rang ka patta hi nahi...jisey rab ne duniya kaha...adam ne zindgi....tujhe mili hai wahin apni zindgi.....


Aajaa meri jaan...khush-amadeed ke tujhe raas aajaaye ye jahaan...dono jahaan may hon surkhuru tere hum-nishaan...duaon may dhal gaii kal shab intizaar ki..aaj mai khuda say mil gaii sun kar jawaab mere pukaar ki....tere mere darmyaan koi nahi raha mere khuda....mai thi...thi meri dua......bande ki pukaar per uski rehmath ka lubbaik kehna is baat ka ishaara hai ke khuda ki rehmat ke aage bande ka sawaal kya maayene rakhta hai..uski bargaah-e-azmath say koi saayel khaali nahi aata.....


Daman tarbatar...dil chaman chaman....mai kahin nahi...kya asmaan kya zameen...mai bas rab say mil gaii...firt-e-josh may....bhala kahaan aati hosh may....uski atta ke bojh tale mera shukur dab gaya....maine kya kaha usne kya suna....mujhe koi hosh na raha....jub duaon may shaamil hojaaye eksaath.....kya dost kya aghyaar.....us dua may shaamil hojaata hai farishton ka vird baar baar...Maula tere karam ka yaqeen hi meri mohabbat ki zindgi.....rahe meri mohabbat sirf teri bandgi....ke aaj phir mujh ko mili hai ek aur zindgi....ke mujh say aa mili hai ek naye rang may mere rab ki bandgi....le tere jeene ka phir say ek naya samaan hogaya....uski ulfaton ka tu mehmaan hogaya....


chund roz hi sahi tere dastaras may julu rahega ye....phir usey yaad ho na ho koi tou kahega ye....dekh kahin dekhi huii tou hai ye naii naii shabeeh...haan vo keh rahi hai kabhi mujhe yaad kar tou sahee..

Wednesday, June 20, 2012

Naya Mod






Aye mere Dost, Aye meherbaan...Aaj phir tujhe karne chali hun mai pareshaan...kya karun...zindgi roz kuch na kuch le kar hi milti hai....aur mai tahidamani ka rona ro bhi tou nahi sakti...isliye baghair kisi etraaz ke us ke liye apni baahen waa karti hun....aur vo mere gale lag kar mujhe mujh say alag kar jaati hai....


Aaj her vo rishta jo rag-e-jaan say juda hai kyon ajnabi dikhaii de raha hai...aur mai inke aas paas hokar bhi khud ko tanha kyon mehsus kar rahi hun...konsi haqeeqat samjhaii jaa rahi hai...ab ye sitam dar sitam waali baat hogaii Maula....ye rishte jo khoon say seenche gaye they aaj unki raahen alag hosakti hain....manzil nahi....


Ye raaste naye mod say mil kar apni raah lenge...ye kahaan socha tha....ab agar yehi taqdeer ko manzur hai tou yehi sahi....mai tayyar hun Maula..ke mujhe faqat tera ishaara darkaar hai...ye rishte jo tere bakhshe huye hain, inhen her waqt mai darkaar hun...aur mujhe ? kya mai inki talabgaar nahi hosakti? kabhi koi kaandha mujhe bhi chahiye hota hai....vo bhi tab inhi say juda hua koi rishta nashtar ban jaata hai....vo zakhm bhala kaise mandmal hoga jo khud apnon ne kureda hoga...


Khuda apni mohabbat ko yon ashkaar karta hai....Mai her rishte say bartar hun....meri mohabbat kisi sabab ya gharz ki mohtaj nahi...meri beniyaazi may hi meri fayaazi poshida hai....mujhe her haal may apne bande ki sachi khushi maqsud hai...mai usey hirasaan nahi dekh sakta....isi liye mera banda jitna jald hosake apni haqeeqaton ka nazaara karle....taaki koi shikaayet baaqi na rah jaaye....jub vo mera ho tou haqeeqatan mera ho....


Aur usne yehi tou samjhaaya hai....uski is inayet ka koi niyam-ul-badal ho hi nahi sakta....ke usne apne adna ko ye ehsaas de kar khaas karliya....

Thursday, June 14, 2012

Aaiye Subah Manaayen....


Is pal zindgi khubsurat hai….jub farhath bakhsh ehsaas ek naii subah ke saath aapko khushamadeed kehta hai…aap khud may ek naii tawanaii mehsus karte hain….aaj vo sab kuch kar guzarne ka armaan jaag uth-ta hai jiski tamanna kabhi aap ne ki thi….ye walwala ye azam isi khubsurat shadab subah ki dain hai….jisne aapko aaj ki khushi di hai….vo khushi jo insaan ki buniyaadi zarurat hai….iske baghair her khushi adhuri hai..namukammal hai…..

Aaj ki ye subah may ajab gudgudahat hai…jaise ye subah wahi 16 saala alhad ladki may oodh kar aai ho aur kehti ho….tum aur mai ek rang hain…taazgi say bharpur roshan roshan jaisey koi noor ka sailaab ho….humaara husn us rabb-e-kareem ki tabaaniyon ki khairaath hai jisne duniya ka nizaam bade ghaur-o-fikr say banaaya hai…..aur humen raat aur din ka mafhum samjhaya hai…is gardish-e-waqt ke darmyaan ki karguzaari ko amal ka naam diya hai…..

Moqadar insaan ka amal taye karta hai….. Amal insaan ki qismat taye karta hai…aur qismat aane waale kal ki bisaath per chaal chalti hai…yon zindgi ka dar-o-madar soochi samjhi scheme per tika hua hai…Ab samajhne waali baat ye hai ke hum is khubsurat tohfe ka kis tarah isteqbal karte hain….Aaiye in ujli kirnon say hum apne liye ujaala chunen..Aaiye phir in ujaalon say apne liye ek noor ki chaadar bunen….Is chadar ki lappet may andheron ko samet len…..

Bas isi khubsurat ehsaas ka naam hai zindgi…jo her subah aapke liye inaam kar di gaii hai…Ab ye aapka zimma hai ke is inaam ki qadardaani ka kis tarah muzahera karte hain….vo sar jo wafor-e-shauq may jhuk jaaye khuda ko azeez hai…vo sajda jo khushi ban jaaye khuda ko pasand hai….tou phir aaiye hum aur aap ye Subah manaayen…..

Tuesday, June 12, 2012

jisey suragh samjha roshni ka.....






Ek naii haqeeqat vo samjha raha hai...door jaane ke liye paas aaraha hai...kaisa hai Dost mera, sata kar muskura raha hai...mai kaun hun, koii nahi hun...is duniya ki bheed may tanha khadi hun...andheron may koi kiran khojti hun...jisey suragh samjha roshni ka, vo andheron may khud ko chupa raha hai...mujhe ek naya matlab samjha raha hai....vo laakh khud ko chupa le, hazaar bahaanon say mujh ko sata le...magar mai ye kaise bhul jaaun....wahi mujh say mujh ko mila raha hai....


Mujh ko yaqeen hai, fale uska tayeen hai...vo her us dil ka muyeen hai...jis dil may kuch khuda sa raha hai...admi ki haqeeqat gar admi jaan leta, bada asaan tha samajhna, haqeeqat dono ki eksi hai...khuda ki mohabbat may na koi kumi hai...uski pursish may chupi huii hai rehmat, uski azmaish say hoti hai neki may barkat..dono jahaan may yehi danka baja hai...khuda ki hikmat say insaan mila hai...


Mere Dost tujh say koi shikaayet nahi hai...khataayen tou hum say huyeen hain...zindgi ko itna socha ,haqeeqat apni bhul baithey...zindgi say itna dil lagaaya ke khud apna dil bhul baithe...vo khushi jo ehsaas ban kar rab say mili thi ,besakuni ki nazar ki, khud ko hawaale kiya zindgi nay hawadison kay, ke zindgi bhul baithe...


Ye safar khahishon ka kahan khatam hota...jub tak kisi mod per vo na milta patta kaise chalta...ke hawaon ki zad per kashtion ki simten...manzilon ki khabar sirf usi ko....vo jaanta hai, isi liye vo sota nahi hai....na nind usko, na pyaas koi....na yaas koi na aas koi....vo sab ke ghum may ghumgeen hua hai..vo apna hona jata raha hai..vo asmaan sa zameen per raha hai...

Sunday, June 10, 2012

Derd Ashna







Is muammay say perda utha day yarab...jisey samjha tha hum nay inaam, vo kahin saza tou nahi hai yarab...ab saza-yafta ko is baat ka ehsaas tou hoga hi ke kis jurm ki padash may usey ye saza mili thi yarab...Mere Maula kareem ,teri kareemi hai ye ke ehsaas tou hua hai..inaam ka patta us waqt tak nahi chalta jub tak uska surur qayam rehta hai...isi madhoshi nay tou saarey kaam bigaadey hain....warna samajhne ke liye ek lamha hosh ka kaafi hota hai...wahi lamha inaam hota hai...


Awaz deta hai phir vo humen...apni raahon pe phir vo bulaata hai humen...humaari wapsi ki ab koi gunjaish kahaan bachi hai naseh...zara sun...teher,ruk, jaan le ke hum ney kya jaana hai...kya samjha hai...kitni mushkilon say ye kasafat door huii hai...uske mah-o-saal hum zaaya kaise hone detey....jo usne apne deewane per lagaaye hain...uski anthak koshish aaj ye rang laai hai....ke haqeeqat aaj hamaare haath aai hai...


Deewanon ka deewana hai vo...mastanon ka perwana hai vo....pyaasey dilon ka maye-khaana hai vo...tahi -damanon ka khazana hai vo....usney apne chahne waalon ko manzil-e-haqeeqi ki raahon per modne ke liye, khud ko un say door kiya hai...ye zabt ek talqeen hai ,,,,visaal ki luzzaton say dochaar hone ko beqarar nafs ke liye...zaruri nahi k mohabbat qurb ki chah ho, asal may hijr-o-visal say parey buland jazbe ka naam hai mohabbat...jahaan muhib ki falaah maqsud hoti hai...uska armaan nahi....uska emaan maqsud hota hai..mehbub hota hai...muhib ki asal dastgiri aise hoti hai ,,,,,jo  ashna-e-derd hota hai vo humdard hota hai...