Thursday, June 14, 2012

Aaiye Subah Manaayen....


Is pal zindgi khubsurat hai….jub farhath bakhsh ehsaas ek naii subah ke saath aapko khushamadeed kehta hai…aap khud may ek naii tawanaii mehsus karte hain….aaj vo sab kuch kar guzarne ka armaan jaag uth-ta hai jiski tamanna kabhi aap ne ki thi….ye walwala ye azam isi khubsurat shadab subah ki dain hai….jisne aapko aaj ki khushi di hai….vo khushi jo insaan ki buniyaadi zarurat hai….iske baghair her khushi adhuri hai..namukammal hai…..

Aaj ki ye subah may ajab gudgudahat hai…jaise ye subah wahi 16 saala alhad ladki may oodh kar aai ho aur kehti ho….tum aur mai ek rang hain…taazgi say bharpur roshan roshan jaisey koi noor ka sailaab ho….humaara husn us rabb-e-kareem ki tabaaniyon ki khairaath hai jisne duniya ka nizaam bade ghaur-o-fikr say banaaya hai…..aur humen raat aur din ka mafhum samjhaya hai…is gardish-e-waqt ke darmyaan ki karguzaari ko amal ka naam diya hai…..

Moqadar insaan ka amal taye karta hai….. Amal insaan ki qismat taye karta hai…aur qismat aane waale kal ki bisaath per chaal chalti hai…yon zindgi ka dar-o-madar soochi samjhi scheme per tika hua hai…Ab samajhne waali baat ye hai ke hum is khubsurat tohfe ka kis tarah isteqbal karte hain….Aaiye in ujli kirnon say hum apne liye ujaala chunen..Aaiye phir in ujaalon say apne liye ek noor ki chaadar bunen….Is chadar ki lappet may andheron ko samet len…..

Bas isi khubsurat ehsaas ka naam hai zindgi…jo her subah aapke liye inaam kar di gaii hai…Ab ye aapka zimma hai ke is inaam ki qadardaani ka kis tarah muzahera karte hain….vo sar jo wafor-e-shauq may jhuk jaaye khuda ko azeez hai…vo sajda jo khushi ban jaaye khuda ko pasand hai….tou phir aaiye hum aur aap ye Subah manaayen…..

No comments:

Post a Comment