Saturday, April 22, 2023

shahid!




Vo lamha , jo qalambandh hone ka lamha dhund raha hai bada hi siffak sa lamha hai...jisne maut-o-hayath ka darmyani pulsirat abur kara diya tha...kya waqi jis nazaare ki taab ankhon ko na thi ,khuli jaagti ankhein gawah hogaii theen us lamhe ki...

Aah! koi yon bhi jaata hai nazar ke saamne se...jaan se zyada azeez rakhne ka waada...majbur kar gaya tha usey efaa-e-ahad hone se...tumhein jaana hi tha...chahe dil maane ya na maane...yaqeen ki wahi akhri manzil thi...

tum ne tou munh mode liya jaate jaate...per apni yaas may doobi dubdubaai ankhein meri ankhon may chod gaye...vo dil bardashta dil mere dhadkanon may kahin rah gaya...kya kahun mai is hijr ki saubaton ko jahan ek sunnatta hai...ek unmit khamoshi hai...ek saakin sa dil hai...

Tumhare baad bhi zindagi rawan dwaan hai...magar ye khula sa kya hai...jo keh raha hai meri adhuri kahani...tumhara saath takmil ki alamat tha...tumhare baghair duniya kyon sooni sooni si lag rahi hai...

mujhe kyon yaqeen sa tha ke tum laut aaoge apni saubaton se..apni aziyeton ke safar se..tumhare zabt ki mai qaayel thi...tumne sabar ki intiha bhi abur karli jo her kisi ke bas ki baat nahi thi...per tumhein chale hi jaana tha...laakh chahne ke bawajud tayeshuda faisla pura hokar hi raha...

ek musalsal jahad ne ahista ahista tumse tumhi ko chin liya...tumne chaha tha ke judaii ke marhalon se mujhe na guzaro...tum keh bhi tou na paaye they...tum mukamal khamoshi they...jahan na lafz they na awaz...na ehtejaj....bas bechargi....jo mujh se  bhulaii na jasaki....

jo mujh may reh gayi thi vo thi tumhari kasmakash...tumhari khamosh i...

logon se suna tha waqt akhri qayamat se kum nahi hota...magar tumhare chehre ka sukun tou kuch aur keh raha tha...ke tum jaan gaye they..mujh se bichad kar tum apni asal se milne waale ho...ek itminan tha tum may...tum mukamall qarar ban gaye they...

aur ek sakta tha ke hum pe taari tha....haqeeqat se nazar churana bashar ki purani adat jo teheri...aaj bhi dil maan nahi raha tha...ankhon dekhi ko jhutlaane ki nakaam koshish may paraganda hosh se begaana hua jaraha tha...kya waqi tum yon bichad jaoge...

ek saans tumhare seene may atki...ek saans ki leher tumhare pate se uthi...phir sab saakt...hogaya...dil ko phir bhi yaqeen nahi aaya...kahin wapas aajaoge tum...jhutladoge is ankhon dekhi ko...per ye ho na saka...

tumhara jaana taye tha...adam se aaye huye adam ko chale...jo peeche chut gaya usey jaate jaate samjha gaye...saara nizaam bas is hawa mehel per tika hua hai...aa dam ne isi dum per khilfat ki buniyad rakhi apni nasal ki takhlikh isi dum per ki...yehi dum ne akhir dumsaadh liya...

ek bande ka aana duja bande ka jaana imaana-afroz nazara hai...jis se koi inkari nahi..

Tuesday, April 18, 2023

tareeq (history)

 




na tha kuch tou khuda tha,kuch na hota tou khuda hota

duboya hai mujh ko hone ne,na hota mai tou kya hota

lagta hai tareeq khud ko dohraane ke liye beqarar hai...kahin in beqarariyon may chupa koi israar hai...

kaash taareekh badal sakta waqt...phir safa-e-zindagi se kitni unchahi kahaniyan ghaayeb hosakti theen..

ghalathiyan tou vo hain jo agahi maangti hain...khatayen to vo hain jo majboor kar leti hain...halanke maazi tou pal pal agahi ka daur hai..wahin se banda zindagi ke haqeeqi jazbon ki agahi haasil karta hai..

aaj kal ki yaad hai ...aur aane wala kal patta nahi kya lekar mile...jo rab chahe...

waise zindagi pal pal tajruba hai aur ye pal her us pal ka tajziya hai....darasal is pal apni hi zaat ka mushahida hai..

Quran may khuda kehta hai ke ghur-o-fikir karne waale ke liye ye nishaniyaan hain...waqi her zarra ek dusre se juda hai...warna sab adhura hai...agar ye na hota vo bhi na hota...agar tu na hota hum bhi na hote...

ab raat din dil ki gardish yehi sawal karti hai

kya waqi tu isi gardish-e-dauraan may rahti hai

magar sach hai zindagi khwab lagti hai...vo khwab jo kabhi mukammal ho nahi paaya...

waqt hawa ka jhonka...kub guzar gaya patta hi nahi chala..

in aate jaate lamhon may jo bhi mila vo saaya sa lagta hai..kub mila kub bichad gaya patta hi nahi chala....azal se tanha they...aaj bhi tanha hain ...

kya in halaath ka koi sabab bhi hoga...hosakta hai...khuda ne bande ki qismat per apni hikmat ki mohar jo lagaii hai...

shaoor ki manzil milte milte hi milti hai...tab tak safar ekhtatam ke qareeb hota hai...raahi ke shull qadmon tale se jub zameen sarakne lagti hai....tab kahin uske hosh thikaane lagte hain....afsos sad afsos ek zindagi mili thi...usey bhi na paaya...haath kuch na aaya...bas ek lamha darkar hota hai...jahan khuda bande ka ahad istawar hota hai...