Tuesday, April 14, 2020

Agahi ka nazool....



Meri azeez,sun, tu aur mai saath saath chalenge, koi saath ho na ho koi ghum nahi...

na tujhe koi shikayet mujh se hogi,na tujh se koi shikayet hum karenge....

ke mai ne bhi jaan liye hain raaz qurbaton ke...

mohabbatein jahan ki hum se hum ko maangti hain...

sohbatein hamaara hum may kuch bhi baaqi rahne nahi deteen...

ab in mohabbaton ka, in sohbaton ka kya haasil....jub ke hum ,hum hi na rahenge....

khudi ka izhaar hi insaani fitrat ko numayaan karta hai...uski shaksiyet ki akaasi karta hai...

hum se jub apni zubaan chin li jaayegi,aisi mehefil may chiraghaan ki khaatir ,khud ko jalaana hoga....kya ye sahi hai....nahi.....

aaj tak in khud paraston ki bheed may hum gungon,beheron ki tarha shaamil hote rahe....apne dil-o-zubaan ko unki khushi per khamosh karte rahe.....

magar vo haqeeqaton ka laawa andar hi andar dahakta raha hai..phatne ko beqaraar hai....

ke ab seenon may is tamazath ko bardasht karne ka hausla choot raha hai....

Haqeeqat yehi hai ke jub admi ke paas raaston ki tayeen ka ekhtiyaar bhi hota hai, us waqt agar vo sahi mode per na mudey,sahi raaste per gaamzan ho, tab us bhatkan ka yehi anjaam hota hai....

faisla bhi apna....saza hi apni....ke ek ghalath faisla khud apni hi judein hila deta hai...


Bas ab sirf ek hul hai....naarawa se rawaadari nibhaana paagalpan hai...

ye vo sach hai jiska ilaaj sachaai se hi ho sakta hai....

haqeeqaton ka kadwa ghunt peena aur peelaana padhta hai...

khudavand tu dilon ka haal jaanta hai...tujh se kahan kuch bhi chupa hai...

meri yehi dua hai...tu dil ban jaa,dua ban jaa...is derd ki dawa ban jaa...