Thursday, October 10, 2013

Sawaal-o-jawab





Zindagi say humne sada sawaal kiye hain, ab ke zindagi hum say jawab talab kar rahi hai.. Akhir tere wajud ka maqsad kya hai.kya chahton ki takmil...unki hasrath may ghut ghut mar jaana...ya khwab arzoo ka safar karte huye apne aap say mukar jaana....teri chahaton ki intiha kya hai....soch aye nadan ....tu aur tera maqsad sab fanapazeer hain...ek tera karam rah jaayega baaqi sab tera bharam hai....

waqi usne thaam ke ungli raaston ko mukhtasar tou kardiya...per wahi raaste raahi ko dekh dekh muskura rahe hain ke tu ney jaisa socha tha ye safar utna asan nahi hai...sirf ungli pakad ker raah per qadam rakhwa dene say baat nahi banti...raah ke rodon per bhi nazar-e-inaayet darkaar hoti hai..ab ye karam unke siwa bhala kaun karega...Ab aap poochoge rodon say hamaari kya murad hai...Rode anginat aur mokhtalif shakalon may  aap ke hamrah subah shaam ka safar karte hain, taaki aap unhi may uljhe rahen...aur apni raah say nazar hata len..apne safar ko maltawi kar dein.vo kehte hain na padau bas wahi padau laate hain ye rodey...nigodey....

Per khuda gawah hai hain ye pyaare hamaare ....rodey tou insan ghad leta hai...faraayez ka darja sab say ooper hota hai...khuda ne her jazba ekhtiyaar diya aur khud dekha kiya....ab mera banda junnat ki konsi gali ekhtiyar karta hai...Meri khushi mere bande ki nazar may kya hai...asaan sa raasta hai mere 5 ahkamon per amal karte huye mujh tak rasaii haasil karna...mushkil tareen raasta hai apne faraayez ki takmeel karna jo maine unhen apne rishton ke hawaale say sonpi hain...Ab ye aap ka ekhtiyar hai....

Gar banda khuda ko samajh paata tou apni mushkilon say kabhi na door jaata...ke unhi ka rab rasiya hai....phir bhi ghabra jaana fitrat-e-insaani hai...ghabrahat fitri hai...raah say munharif hojaane may asaaishon ka dakhal hai...aram talab khahishen mushkilon say pareshan ho uth-ti hain...unhen musaafaten dobhar lagti hain...ek jasth may vo manzil paa lena chahti hain...gar waqi gauhar-e-maqsood ka haath aana itna hi asan hota tou phir dono jahaan junnat may tabdeel hojaate...aur her mod per bande ko khuda milta....

Raahbar ka tasawur jub sang-e-safar hai tou her qadam per wahi hamraahi hai...Raahbar ka karam taalib say karam ka taqaza nahi karta bulki uske karam may dhal jaata hai, vo yon ke akhlaas mehekte hain, haqparasti ki mashaal bante hain...aur safar sirf hawaon ke rukh per hi nahi hota....ye nishaan rahbar ka paate hain aur un ke humqadam ban jaate hain...