Wednesday, December 24, 2008

Idd-e-Baqar




Assalam walaikum Dosto....darasal aaj hum aap sab ko ye bataane aaye hain ke ye sawal-o-jawab ka dilchasp silsila humaare idd-e-baqar ke mauzu per hua tha...aur hum se hamaare khayaal maange Gaye they...taaki hamaari shaksiyet ka andaza lagaya jaa sake....😊 Aur hum us waqt waqi bade saada they ...apni ru ki leher may behte chale gaye....aur hum se ye mazahiya jawab mausul kar liye gaye....yaqeenan aap sab bhi hiz uthatenge...


jub ke aap ne poocha hai ke idd-e-baqar per hum kya kya karenge....lijiye hum ne bhi soch liya hum kya kya karenge....pesh-e-khidmat hai"hum kya karenge"

Hmmmm..jawab number ek…qurbaani ke waqt janwar ki merzi poochi nahi jaati aksar…magar hum pehle bakrekhaan se ijazat talab karte hain..miyaan aap ko esaar pasand hai k nahi…agar bakre miyaan confuse dikhaii diye tou unhen dalilon se samjhayenge…ke Allah ko pyari hai qurbani…aur rishton ko tou aur bhi pyaari hai qurbaani…khuda khuda karke jub bakre myan raazi honge tou phir daant singh waghaira bhi dekh lenge..bakre khan ki shikayet amez nazron ke jawab may kahenge..ke janwasaali aur qurbaani dono meraaj paati hain….agar dono baaten puri hoti nazar na ayeen tou dil ko ye keh kar tassali de lenge.” chund saal pehle apna bhi ye haal tha aaj bhi hai kal bhi rahega”

Arey waah..bade khush honge hum..ke ek tou bach gaya…jisey hum qurbaan hote dekh nahi paate…qurbaani ke waqt bakre jaan ki sarasmigi se waaqif hain hum…khaufzada si ankhen usper bezubaani ka alaam…marta kya na karta walaa mamla hota….rasi hum hi dheeli rakhenge.taaki miyaan bakre ka faraar asaan hojaye…qurbaani nafs ki de denge…

Aji aisa tou awal hog any…qasaii ki tou us din chaandi hai duam qasai ek dhundo hazaar milte hain jahaan may..ghar may hi ek adad nikal ayega…so fikar not jee…qurbaani tou zarur hogi jee…

Hmmmm bachpan may ek nhanni si iddi bhi khush kar jati …ab humen pata chal gaya

Aji khaana hi tou hai..agar kisi methe se khayal ne talkhiaan bhuladeen tou harj kya hai…haan jee tikhi si biriyani per meethi si kheer bilkul aise hogi jaise raanjha per heer…

Hum derwaza bandh karlenge apne kamre ka…jaldi jaldi khud ko saja lenge..tab kahin apni ronumaii hogi..umhm idd ka mauqa aur hum adaab-e-id ke khilaaf baghair ehtmaam ke idd Milan kaise karsakte hain…apni khusbuon may apne mehmanon ko basayenge…

Aji joda gar badan per ho aur kisi ko pasand aajaye tou ye dono ki beizzati hogi…so hum naya laa denge….ya dukaan ka patta bata denge….

Eddi gift sab khojayen magar dene waale tou yaadon may mehfuz rahenge..so un yaadon ka tohfa sada saath rakhenge.

Awal tou humen apni fayaazi se ye ummid hai ke hum fuqra ki duaon ke haqdar rahenge…duam koi azmaane peeche peeche aa bhi pahunche.hum unki dawat kara denge…dono tarha se..dast-e sawaal khuda ke siwa kisi kea age badhana uski kareem per tohmat hai…aur usey faqar azeez aur fuqra uske mehbub….duam agar hum unki sairi ke qaabil na nikle tou shermsaar rahenge…

Agar billion ka nasib itna shandaar hai tou bas yehi sochenge..ke miyan bakre ki yehi dua thi…tumne mujhe qurbaan kiya kya khud ki khahishon ko qurbaan karsake..khuda kare tumhen mujhe khana nasib na ho..taki tum mera derd samjh sako…

Pehle check karlenge idd is saal April may tou nahi aai hai..gar na huii tou yehi samjhenge saaheb-khana hum-mazakh nikle….

Aji bacha hi tou hai…ab agar hamaare haath may bhi ice-cream hoti tou hum apna yehi haal karte na…ice-cream zaalim hai hi aisi be-qaabu kar hi deti hai.yummmy jee yummy..so bache ki ice-cream per lalchaii nazar daalte huye usey muaf kardenge…

Gar batwa bhul aaye hum tou phir fikas ek pyaari si pyaar bhari chummi aur ek tight hug…sab ko nawazenge…haan sirf bachon ko…

Hmmm agar masrufiyet may idd ki koii rong number musalsal aaye tou jaan lena chahiye ke koi khaas rishta hai jo derperda idd Milan ki chah liye call kiye jaraha hai…hungamon may gar ye khayal dil se takraye tou fauran agli call per usey idd ki mubarkbaad pesh kar denge.

Hmmmm kya mushkil hai.mehmaan tou mehmaan hote hain..vo bin bulaye kabhi bhi asakte hain..idd per bhi..gar vo aa hi na paaye tou khuda ka shukur ada karenge ke usne is se bhi behter mauqa diya humen…saara khana yateem-khaane pahuncha aayenge…kuch tou sukun ka samaan Karen…hungamon raunaqon ki nazar huma waqt zindgi…bande kabhi is surat bhi ho teri bandgi….

Ummid hai mere halke phulke mazakh ko sanjdigi se na liya jayega….qurbaani apni jagah per nihayet aham hai….aur momino ki misaal hai hidaayet hai….
hai iddi na lene may hi bhalaii hai….kabhi aisa bhi ho ke sirf iddi per hi tarkha diya jaata hai…humen tou jee “chaand” chahiye…


Tuesday, December 23, 2008

Ek Interview


Salam  Dosto, muafi ki khwastgar hun ke maine aapko is interview ki tafseel nahi pesh ki...hua yon ke kuch saal pehle mujhe Pehchaan ki raahon per apni pehchaan ke liye khoj liya gaya...mujhe samajhne aur samjhaaane ki muhallat bakhshi gaii....ye usi safar ka interview hai.....yaane ke dauraan-e-safar meri pehchaan chahne waalon ne apni pehchaan per mujh nacheez ko madu kiya...aur ye interview bas usi dawat ka haasil hai...mujhe yaqeen hai ke haqeeqat khubsurat hoti hai aur lutf-andoz bhi...so aap bataaiye...ke aako kaisa laga padh kar....kya aap ne likhne waale ki shaksiyet ko samjha, uske tajrubon ki haqeeqat jaani....uske paighaam ko suna....hmmm, mai samjhungi ke ye paighaam but raha hai....nashar horaha hai.....shukriya Dosto....mujhe padhne ke liye...

phir zindgi ne khola ek naya baab hai
kabhi dekha na tha ye wahi khwaab hai

Haan tou Dosto….salaam...Aghaaz-e-safar karte hain….ye vo safar hai jise her koii baar baar karna chahta hai….ke gaya waqt dobara lafzon may simat aata hai….tou lijiye mera vo waqt jahaan yaadon ke siwa sab kuch haseen tha haazir hai…

Mai Rehana kamaal farooqi "SOUTH INDIA" se…Aap ko tajub hoga South India aur urdu…ye kyonkar mumkin hai…hai Dosto….wahaan bhi urududaan baste hain..urdu ke ashiqaan baste hain….mere khandaan may kaii likhne wale guzre hain..unme meri ek Daadi qabil e zikr hain..jinhon ne apni yateemi per ek afsana”Aah”likha tha…aur mere walid Aligarh Muslim University ke talib e ilm rahe hain…so unki urdu se mohabbat fitri thi…yon ye virasat hamare nasib may bhi aayi…unhon ne angrezi taleem ke rahjaani daur ke bawajud hamen urdu school may taleem dilwaii…so yon urdu se mohabbat farogh paati rahi…..

Haan Dosto…bachpan behad khubsurat tha…4 behnon may mai dusri ladki….walid mujhe "Gori Piddi" bulaya karte….ji haan Gori Piddi…aur waqi mai jitni shermili thi utni hi shareer bhi…shararat us waqt jub hum chaaron behnen tanha kamre may hotee theen…kya kahun…ghar ki sab se balaai chath takhta e masq hua karti….us oonchaii per aisa lagta goya asmaan haath aagaya ho…ghar kyat tha 100 saala purani haveli thi…18 kamron wala…buland sher ke saron waley satun….buzargon ki shaahana tabiyet ka ghumaaz tha…un wasee-o-areez dalanon may hamari hansi gunja karti…

Mere pehle ideal Huzur hi hain..bachpan may jub bhi unki sawaneh hayath padhti dil bhar sa jata..us kaifiyet ko kya naam dun…kyonki vo bachpan tha…Haan ab keh sakti hun..ek surur ka sarchasma hai unki zaat moqadas…ishq kise kehte hain unki mohabbat se jaana..unke her amal se ayaan tha Haq...unki adaab-e-zindgi ne hamesha mutassar kiya..aksar socha karti kitne khush-naseeb they vo hum-nasheen jinhen unki sohbat nasib huii….aur mere dusre ideal mere walid jinka naam bhi Mohammad Mustafa kamaal tha…aur vo bhi apni naam ki barkaten lekar aye they is duniya may…unki mai shaida thi…hun...rahungi.

Hmmmm…mere nazdeek dil ki baat aham hai…vo yon ke ye mohabbat karne walon ka shewa hai…ye dil-walon ka pesha hai..dimagh ko balaa-e-taaq rakh kar sada dil se faisla karte hain…kaha tou gaya hai aqal-e-saleem ka istemaal aksar suudmand hota hai..magar ye bhi kaha gaya hai ke dimagh per koii bhi qabiz ho sakta hai..dil per nahi..ke waan rab basta hai….so pyaare Dosto dil ke maaare dil ki sunte hain…samjhte hain…kehte hain…

Qalam us waqt kehne per aaya jub ekdin Newspaper may ek hadise ki report padhi…ek jawan bewa ki tadap uska derd kya hota hai ye likha maine…”dil hi tou hai” unwaan per ek afsane ki shakal may…us waqt mai 8th may thi…phir pehli nazm “mera munna “likhi..ek bigdte halaath may palte huye lakhte jigar ki bikherti shaksiyet per ek khwab dekha…mere munnne ko aisa na hone dungi…ye ahad kiya khud se…phir kya tha derd jub bhi mila harfon may dhala…..sach hai Dosto…shayeri khoon-e-jigar mangti hai…

Likhne se dil ka derd nikhar jaata hai…bojh nahi kahungi isko…kyonki ye daras hain zindgi ke….jinse bahut kuch mila hai…derd likhte likhte dawa ban gaya…acha laga sab ko padhna…khud ko likhna…sab ki sunna….sab ki likhna….ajab maza dene lage derd bhi…ajab kaifiyet qalam ki sangat may rehne lagi..mano sab se pyaara dost meri sun raha hai kah raha hai….is kaif ko jawaan kardiya is net ne…jahaan puri duniya samagaii hai….

Subha ka aghaaz …hmmm ek suhani subha jo kisi ummid ka phal hai haseen lagti hai…ke shayed aaj vo hojaye jo kal talak na hua….her subhah namaz e fajar se shuru hoti hai..aksar jub koii der raat tak jagata hai tab kabhi ankh der se khulti hai…maslan koi mehmaan…gharwale…koi khubsurat si movie…..koii kitab…ya phir koii pareshaaan khayaal….phir subha ki pehli chuski chaaye ki (Brook Bond Red Lebel)….bada lutf deti hai….phir kuch yoga ki jhalkian…..tanmun ki tandurusti…..ka khayal farhatbaksh hota hi hai…yog…aur santon ki vaani…maine unhen bhi ghaur se sunaa…wahaan bhi “Huzur” ka naam baar baar liya gaya aur vo bhi pure ehtraam ke saath….haqeeqat yehi mazhab wahi…soch badali gaii….dil wahi arzu badali gaii…gharz maine ghaur kya hai aksar….jub se mila mujhe rahbar….khuda tou her taraf maujud hai..bila-tafreeq….faraq tou nazriye ka hai….mano tou her kisi ki khoj wahed wahi hai…manzil ek raahen anek…jaise ke Ibn-e-Arbi ra ne kaha hai…”.hum sab usi se wajud may aaye hain usi may jazb ho jaayenge”…

Meri hobbies…..kitaaben….cooking….acha music…jiske saath aksar un wadion ki sair ko nikal padti hun jinki chah may umr cut rahi hai…zyadatar sufiana sangeet….waan us ke aur mere darmyaan koii nahi hota..yahaan tak ke gulokaar bhi ruposh ho jata hai….tou iska matlab ye hua ishq aur ashiq ke darmyan koii ho bhi nahi sakta…..rab ishq banda ashiq……

Aji mai badi friendly hun ji…dushman ko bhi dost karleti hun…maza tabhi hai ke nafraton may mohabbaten ghul jaayen…mayusion may arzu miljaaye….gharz her pal mohabbat ka jaam ho…her din mohabbat ke naam ho….aur apna kaam tou thode se chal hi nahi sakta..pure ki arzu hai…saara jahaan mera…sari zameen meri…ye asmaan mera…saare mere aur mai unki…..qisa ye hai ke jub bhi maine mohabbat ke qadam badhte dekhe.....wahin khas-o-khashak ki haden dekheen…per hadon may jo simat jaaye vo mohabbat nahi….so jee jise jo karna ho vo kiye jaaye…hum tou sab se mohabbat karenge…yehi ahad hai zindgi se……

Mai bahut saada si hun....haan aksar sochon may dubi huii…khud se sawal bahut karti hun….aakhir aisa kyon hai….ek behter analyst ki haisiyet se khud ka tanfidi jayeza leti hun…ke mai kya hun…meri khamion per nazar rakhti hun….meri shaksiyet….jise ek naya rukh mila hai…mere rehbar ki dane hai…ye qudrat ke israr hain…khuda bande ki pukaar per jub lubbaik kehta hai tou banda abadi sukun paa leta hai ke vo hama waqt uski nazar may hai..uski nigaah-e-karam ke andaz mokhtalif hain…..usne apna payam rahbar ki zubani hi bheja hai sada….so meri kaya-palat us waqt huii jub unki nigaah mujh per padi…

Teri ek nigaah kya padi
Sare jalwe huye paraaye

Bas zindgi marifat ki rahon per chal padi…her pal ek aagahi…her din ek naii zindgi….haqeeqaton se qareeb-ter…..aur hausle milne lage….kal talak jo mubaham they aaj vo saare daagh roshan huye…..ek naii nazar se duniya ko dekha…saare gile mit gaye…..mohabbat ka ek khubsurat andaz samne aaya jahaan bas kiye jaane ki tahreek thi….paane ki chah jo kal talak shadeed thi…unko bhi aram aagaya…haan derd hijr ka khayal e vassal se aram paagaya…shaksiyet anek rangon may dubi hai Dosto….so aapko jonsa rang pasand ho mujhe usme dhal lena…..

Hmmmmmmmm…pehli mulaqat may koi jayeza nahi..bas unko sunti hun….itna kaafi hota hai…dil vo mehsus karleta hai jo samne wale ne kaha nahi…lehja hi khulus ka aina hota hai…mai bas dil sunti hun.aur dil kehti hun….ekbaat bataun aapko…maine chehre kabhi ghaur se nahi dekhe….bas unhen suna…..vo kehte hain na.”.Beauty lies in the eyes of beholder”….bas jee jise bhi mohabbat se dekha behad acha laga….

Sharart ….hmmm bata dun….konsi wali bataun..bachpanwali…ya taaza taaza….hum behnen jub ikhatta hoti hain tou bas shararten hi hoti hain..aaj bhi…ab ek ho tou bataun bhi….

Jub koii meri baat samjh nahi paata..mere samjhane per bhi….tab dimaghi kofat sone nahi dti….ke kahaan kami rah gaii thi….khair ye dusre dil ka mamla hota hai ke vo kya samjhna chahta hai….phir bhi use clear kane ki baar baar koshish karti hun….per aksar ye hadisa baar bar hua hai….tab sochti hun….quran e shareef may likha gaya hai.ke admi ki fitrat may shak maujud hai…wahi insaan ko yaqeen tak pahunchne nahi deta….shar o khair may bas ek perda hai….mood tou in baton se bhi kharab ny hota…mai khud ko jald behla leti hun…ke mujhse is kaifiyet may raha nahi jata….mere andar jo khushi maujud hai use ye gawara nahi…

Waqt ki pabandi bahut pasand hai mujhe…mai waqt ke saare taqazon per khari uterne ki puri koshish karti hun….us waqt mai bijli hoti hun….koii rukawat mujhe rok nahi paati….bas ek khayal tezraftar hota hai…ke mujhe ye is waqt karna hai…aur wade ki paband hun mai…khuda ka karam hai…gar uski merzi na ho tou phir mai hi kya kahin bhi koi kmyaab nahi…..

Emergency may sab muaf hai…neend ab itni pyaari bhi nahi ke kisi ki zarurat per usey khudahafiz na keh sakun….waise neend us waqt pyaari hai jub dil mutmain hota hai…ijazat hai neend se jagane ki her us ferd ko jisey kabhi meri yaad aaye….ke ye nishani hai mohabbat ki….haan kabhi pareshanion ko bhi mujh se mohabbat hojati hai….

Control hi tou nahi hai…mohabbat per…izhar per…sach kehne per….sawalon per….qalam per…jub ye sab behne lagte hain tou inhen rokna acha nahi lagta…control jazbaat per bilkul nahi hai…ye jub ayaan hona chahte hain tou ho hi jaate hain….ye ankhen ..uff ye ankhen…..bol deti hain….saare raaz khol deti hain…waise meri sahelion ko meri ankhen pasand bhi hain….so mai kyon unka nazara chinun…bolne deti hun…kuch nahi chupati…control us waqt karti hun jub kisi ko mere izhaar se taklif pahunchne ka andesha hota hai…warna loose control….

Apne faislon ka saara ekhtiyaar rab se mansub rehta hai….aur jub baat haq ki hi hai tou mashwra dil ka hi acha…..aur ek khayaal e raza mere rahbar ka saath chalta hai..ke ander se ek awaaz aati hai…mere her fale se bakhabar hai vo…aur mera her qadam uski raza ke liye uthey…mai insaafpasand hun…chahe vo mamla dushman ka hi kyon na ho…uske saath bhi insaaf hi hoga….ye fitrat buzargon se mili hai…so faislon may agar kabhi koi jhol dikhaii bhi de tou ye bhi mohabbat ki khatir hota hai….ye apne dil ki baat hoti hai…jahaan gunjaish hi gunjaish hai…

chaandni raat ho dilbar saath ho…koii naghme si baat ho…jazbaat ka lutf do dilon ki humaahangi aur mahol may husn-o-sheerini gholne wali koii haseen baat ho….waise pyaari her chahat ko taabir nahi milti…aksar jazbat pyaase rehte hain….phir bhi zindgi khubsurat hai ke dil khubsurat hai….chaandni raaaten achi lagti hain..lambi drive ho madham mosiqi ho aur raston ka pata na chale….kabhi aisi raat achi lagti hai…..

Insaan mile hain bahut….kainaat ka husn inhi se tou qayam hai ....justaju taklif-dah hoti hai…aur aagahi us se bhi zyada aziyet-naak….insaan kaii qism ke hain…perde gira kar milte hain jo….unki babat kya kahun…haiwaan bhi darja rakhte hain saima…jub insaan girne pe aata hai tou phir donon may shumaar nahi hota..uski alag zaat ban jaati hai…phir sirf iblis kehlata hai…..

Haaye baarishen….mujhe behad pasand hain…bheegna acha lagta hai…waise aap jaanti hain ke barishen nikhar deti hain kainaat ki her shaye ko…so vo nazara bahut acha lagta hai…barishon may nadi ka kinara junnat ki sair karata hai…..thandi hawaon ke jhonke hon…aur saari ka aanchal ho…..badal sawan sajan ho….hmmmmmm….sab ache lagte hain..

Khaane ka shauq…her qisam ka vo khana pasand hai….aur moong ki daal marghub hai . dalia bhi…ke ye simple si ghiza mere rehbar ko pasand hai…lazaton ne hi tou mara hai admi ko…..mai aapko her vo khaana khila sakti hun jo aapko pasand hai…waise mera fav machli ka salan hai……pulao bhi banaleti hun…meethe pakwan sab pasand hain….hmmmm meetha han kuch meetha hojaye….

Bahut gehra sawal hai……zindgi hazaar neyamat hai jo insaan ko bas ekbaar milti hai….isey samjhte samjhte hi zindgi guzar jati hai…waise zindgi mohabbat ki amanat hai…ye mohabbaton may hi guzari jaaye …..khuda bande ke zariye apne hone ka elaan karta hai…kainaat ki her shaye uske karam ka natija hai….insaan bhi…zarre zarre may zindgi hai….insaan ko bhi zindgi mili….faraq sirf itna hai ke banda ka izhar-e-tashakur rab ko bahut pasand hai…..so shukur ada karte hain ke usne humen mukammal zindgi di…fahm-o-adrak bhi….zehn-o-dil bhi…zuban bhi bayaan bhi…..so iska amal aaqa ki huzuri ho…..aur rab ka haq e mohabbat banda mohabbaton se hi ada kare tou khoobter hai….zindgi ek dua rahe….aur jub tak rahe khush-ada rahe….

Maut ek atal haqeeqat….jis se koii inkaari nahi….maut ek nizaam ka ruk jaana…vo nizaam jo qadar-mutlaq ke qabze may….aksar bande ke liye sabaq-aamuz saneha….maut ko tou wahi samjh sakte hain….jinhen vassal-e-haq ka shauq maut ka taalib banaya karta hai….jub zindgi usne di…vo jub chahe talab kare…bas banda usi ke suprud hai…..maut ek khush-aaind mustaqbal hai…jiska khayal bande ko her khauf se azad rakhta hai….saima bande ke ekhtiyaraat mehdud hain…..vo sirf maang sakta hai..atta Rab ki meher hai….maut bhi ek atta hi hai…us waqt jub insaan ko duniya samjh may aajati hai…ke ye mokhtasar sa waqfa jo chund saanson per tika hai ye amal ki khatir hum ko mila hai…jub ye lub-e-baam per hoga tab ashiq ki idd hogi…maut chahne walon ki idd hoti hai….ek aur zindgi ki naveed hoti hai…..

Ek shararat yaad aagaii jo qahqaha ban kar aaj bhi phut padhti hai…per ….hmmmm….collage ke raste may jaisa ke aap jaanti hain deedar-e-bint-e-hawwa ki khatir jamghata rehta hai…roz ek ladka jub hum seheliaan guzara karteen tou khansa karta….hamari agli gali may ek jaan pehchan wali family rehti thi unhi ka ek ladka tha…dubla patla sa surkh safed…Naam tha shareef..ji shareef miyaan…shareef chund…..mujhe bahut ghussa aajata ke is ki khansi kub rukegi…per rukne ka naam hi ny le rahi thi…ye hadisa roz hota…ek din us ka ek chota sa bhaii kisi kaam se hamare ghar aaya…..maine usey paas bulaya aur dheeme se sargoshi ki….kyon bhai…tumhare bhaii ko TB tou ny hai…is ka ilaaj zaruri hai..bas kya tha usne ghar jaa kar meri baat dohradi…uski walida ne ro ro kar meri ammi se shikayet kardi….maa tou maa hai. .magar us khansi ka matlab unki samjh may na aaya..mai unse kya kehti…per unki taklif per dil bhar aaya…haan ek ifaqa hua…ke vo phir nazar na aaya…na uski khansi…. …..hmmmmmm aksar jub ye waqiya yaad aata tou behnen itna hansten ke ankhon may paani aajata…

Jub insaan kisi shaksiyet se mutasar hota hai tou az-khud uske andar vo tabdilian shuru hojati hain…koshishon ka dakhal kitna hai ye mai nahi jaanti…maine fitri taghaur hote dekhe hain….mujh may bhi…..walid aksar Huzur ki sawaneh Hayaath per mubni kitaben laakar diya karte…saima abhi jahad jaari hai…jahaan tak mumkin hua khud ko aludgion se bachaye rakha…haan ek mohabbat ke siwa her qila mazbut tha….mohabbat ke naam per rishton ne hamesha deewana kiya…..haan mujhe ehsaas hai ke kub kahaan kaise chot lagi….us waqt bhi Huzur ki zaat-e-moqadas ko samne rakh kar faisla karti…vo hote tou muaf karte…mai bhi kar deti….dushmanon ke haq may dua-e-khair un ke siwa kaun kar sakta hai…maine bhi ki….yehaan tak ke dushmanon se rishte jode..unhen dost kiya…..ye alag baat hai ke dilon ko badalna khuda ka kaam hai…per vo bandon ke amal per nazar rakhta hai..uske mehbub ko jo pasand hai mujhe bhi mehbub hai…..

Rahe mere walid tou unki zinda-dili mujh may ab tak baaqi hai…sar per musibaton ka pahad hi kyon na tut pade….vo hamesha mutmain rehte…aur hamen bhi rakhte ….aur itne saada they ke unki sadgi aur kushada dili hum ko bhi mili….gharz ye jo ansar hain ghul se gaye hain….inki koii koshish nahi..ye mohabbat ka atiya hain jo sama jaate hain…..haan koshish sirf zabt ki hoti hai..sabar ki hoti hai….bas wahi jaari hai…..

Music …raag pahadi….raag darbaari…hmmmmm…ghazlen khwabon ki duniya may le jati hain….romantic bhi…sad songs bhi….Rabbi ka geet bahut pasand hai…Bulla ki jaana mai kaun……Abida parveen ka” laal meri’ …Nusrat Fatah Ali Khan saheb be-had ache lagte hain…unka “mujh ko teri qasam tujhsa koii nahi..”bahut pasand hai…sonu nigam Atif Aslam..sunne may ache lagte hain…vo sur jo rooh se nikle mutasar karte hain…sufiana kalaam ajab safar per lejata hai….

Film puri dekhni pasand hai mujhe…us song per bhi producer ki,Director ki mehnath lagti hai jee….aur waise do bandon ka amne samne geet gana ajib sa lagta hai…mai unhen nahi…geeton ko sunti hun….vo jo kuch kehna chahte hain jazbaat hote hain…..mujhe sab se zyada konsa song pasand hai….konsa…konsa…..”chaandni raat may ek baar tumhen dekha hai khud pe itrate huye…khud se shermaate huye…chaandni raat may ek baar tumhen dekha hai”….ek purana geet hai….ek sad song mukesh ka bahut pasand hai gungunana…” suhani chaandni raaten humen sone nahi deteen…tumhare pyaar ki baaten humen sone nahi deteen…” aur sultan saheb ka…..”kate naahi raat mori piya tore karan karan…”aur lata ji ka” ye dil aur unki nigahon ke saaye…bahut khubsurat hain chahon ke saaye…”Aur fihrist lumbi hai……….

Mera pasandida libas shalwar khameez hi hai…sarian kabhi kabhi ….baaqi jonsa bhi libas ho….libaas aur kirdar dono mukhtalif hain…libas vo jo aram se…jisme banda khud ko comfortable feel kare….safed aur kaala rang behad pasand hai…..aur libaas gar sooti ho tou lagta hai ke dono jahan mil gaye…

khubsurat subahen…haseen shaamen…mujhe pighla deti hain….

Mohabbat tou nagahani hai…usey janchne ka koii aala hai hi nahi…ye jub hoti hai tou bas hoti hai…insaan ki bekhudi uski gawah hoti hai….attract tou her achi cheez karleti hai admi ko….koii acha sa writer…koi poet…koii painter…koi shakaar….koii libaas…koii shaksiyet….per ye sab mohabbat tou nahi hai…mohabbat gar samjhni ho tou apne din o raaton per ghaur karna…apne dilo dimagh ke badalte halath per ghaur karna…jahaan kuch bhi apna nahi rehta…sab uska hojata hai.....

Flirting un logon ka pasha hai jo apne waqt ke saath khilwad karte hain….mohabbat tou hissas logon ki baat hai…..

Dosti……haan bas wahi samjh rahi hun…ke yehaan bhi mohabbat hai…..mohabbat nahi tou kuch bhi nahi….ghumkhwari…charahgiri….Dosti ek aisi khushbu hai jo amawas si zindgi ko…sehraa se dil ko…veeraan se jazbon ko mehka de…..her derd baantle……derd ka dermaan hoti hai dosti…….

Aapki Dost jo hai aapko her rang may dekhna usey mehbub hoga..aapki her baat may dilchaspi hogi…zubaan chahe jonsi bhi ho dil jise chahe uski her shaye ka shaida rehta hai….aji huzur…south Indians jitni achi Hindi bolte hain aap nahi jaante…unka talafuz tak thik hota hai…

meri collagemates…aapki Dost jo hai aapko her rang may dekhna usey mehbub hoga..aapki her baat may dilchaspi hogi…zubaan chahe jonsi bhi ho dil jise chahe uski her shaye ka shaida rehta hai….aji huzur…south Indians jitni achi Hindi bolte hain aap nahi jaante…unka talafuz tak thik hota hai…meri collagemates Hindi songs ki dildada theen…aksar songs competitions may wahi awal number per hoten….vo bhi classical…..hmmm bahut maza aata tha unhen sunna…..vo Hindi tou kya Urdu taleem se bhi arasta hote hain aksar…meri ek school teacher theen..brahman aurat "Mrs Bhagwati"…itni achi urdu bolti theen ke bas….tou aapki jankaari ke liye….ye mamla shauq ka hai..behtreen linguists her jagah paaye jaate hain…aur haan jee aapke takhayul may hum saath saath hi Hill station per they…ke mujhe bhi gehri wadian oonche pahad…behte jharne…sarsabz nazare ache lagte hain…Arzu shadab rakhti hai…..aapko mujhe sunna acha laga ye jaan kar mujhe bhi acha laga Hindi songs ki dildada theen…aksar songs competitions may wahi awal number per hoten….vo bhi classical…..hmmm bahut maza aata tha unhen sunna…..vo Hindi tou kya Urdu taleem se bhi arasta hote hain aksar…meri ek school teacher theen..brahman aurat Mrs bhagwati…itni achi urdu bolti theen ke bas….tou aapki jankaari ke liye….ye mamla shauq ka hai..behtreen linguists her jagah paaye jaate hain…aur haan jee aapke takhayul may hum saath saath hi Hill station per they…ke mujhe bhi gehri wadian oonche pahad…behte jharne…sarsabz nazare ache lagte hain…Arzu shadab rakhti hai…..aapko mujhe sunna acha laga ye jaan kar mujhe bhi acha laga….

Mosam….jub ander ka mosam khushgawar ho tou mosam e germa may bhi bahar ka lutf aajata hai….so ander ka mosam sada bahar rahe acha hai..hai k ny….waise bearish ka mosam bahut pasand hai..halki barish ho..khusgawar hawa ke jhonke hon…aur dil kisi haseen lamhe ki yaad may duba ho…is se behtren pal aur kya hosakta hai….moderate mosam hamesha acha lagta hai…
Jee urdu adab may her sinf pasand hai..lafz lafz urdu mohabbat mohabbat hai….nasarnigari tou hadon ki mohtaj nahi hoti…so bedaregh dil behta chala jaata hai…haan shayeri jahaan qawanen aham hain kuch pasopesh ke haamil hain….khair wahaan bhi khayal ki hukmarani hai…vo khayal jo zehn o dil per qabiz hain..unhon ne kub kisi ki maaani hai…so her surat may bas likhna pasand hai…

Shora may tou Hazrath Iqbal saheb…ghaalib….insha ji….saahir saheb….bahazad lukhnawi…wasi shah….qatil shifaii jee…sadullah ji…bahut se hain jinhon ne mujhe kaha..mujhe aisa hi laga….Raah e khizar…..Iqbaal saheb ki her sawal ka jawab ban a mili…Ghaalib saheb tou dilshanas hain….gharz aur bhi kaii fihrist may hain…jo mujhe behad pasand hain…

Jee maine pasand per ghaur karne ka bahut kum mauqa mila Ramish… mai sab ki pasand may dhalti chali gii…ek jagah meri apni thi …mera qalam sirf mera tha….jahaan maine vo likha jo maine kabhi kisi se nahi share kiya….so mujhe qalamkaron ki duniya may vo insaan mile jo meri tarha apni soch ki gunj mehsus karna chahte they…..so mujhe acha laga sunna…likhna….her so sinf adab ki mujhe pasand hai jisme insaan apne sawal ke jawab pale…..
Aur ek baat kehna chahungi dosto….aapke sawalon may mujhe apne sawal justaju ki raah se agahi ki manzil tak ka safar karte huye mile…..so ye ek self exploring adventures bhi hai….

hmmm khuda ne tou insanon ko hi duniya ki khilafat bakhshi thi aur inko hi mokhtar kiya tha…haiwan tou insanon ki zaruraton ki khatir banaye gaye..hattta ke kainaath ki her shaye adam ki khatir zahur pazer huii thi….aur insaan nadan nikla….bas apni zaruraton ka shikaar hogaya…

Insanon ki tedad zyada hai vo istarha ki abhi tak uska sharf qayam hai…aur ye ashraf khuda ke mehbub bandon ki koshishon se farogh paate rahe…vo tabligh jo insanon ko mumtaz karne may maven o madadgar rahi aaj tak jaari hai….saadaat ki qurbanion ka phal aaj tak bat raha hai….so meri nazar may insaan us waqt tak fauqiyet rakhte hain jub tak insaaniyet ki baagdor sanbhale rakhenge…rahe haiwaan tou ye azal se hukumat ke khwab dekh rahe hain….insanon per…jo kamzor nikla unme shumaar hua….jo sahi aur ghalath may tameez karle vo insaan …aur haiwanon se is qism ki koi ummid nahi….waise haiwanon ko count karna waqi mushkil hai saima….aapne sahi kaha…..

hmmmmmmmm mohabbat ki meraaj jaan talab karti hai saima…mohabbat jub ehsaasath may simat jaaye….mohabbat jub arzu se bebehra hojaye…mohabbat bas maayel ba karam hojaye…mohabbat mohabbat her shaye hojaye…..tab mohabbat meraaj paaye…mohabbat samjhne ko ek umr kahaan kaafi hai….ye raaz bade nasib se milta hai…ye israr qismatwalon pe khulta hai…

Jo zaruraton per mustamil ho vo mohabbat kahaan…ye tou khudkaar jazba hai..isey rab ne kahaan sab ke seenon ko bakhsha hai…pehle saubaar jaancha hai abginon ko…tab kahin kisi seene ko ye moti ras aaya hai….ye anmol jjazba jis dil ka moqadar hua usne raaz e haq paaya….
Mujhe likhne per aksar koii derd uksata hai….kabhi koi acha sa khayal kisi ka kahin padhne ko miljaye tab qalam haath aata hai….kabhi koi khushi bhi ehsas tashakur ban kar lafzon may dhalti hai….. mauqa mehal kahaan dekh kar milti hai zindgi….ye jub milti hai tou bas apni sherton pe milti hai…magar mere lafz kisi bhi shert ke kahin paband nahi…vo bas milte hain …..

South India may urdu ki farogh ke liye bahut son ne koshish jari rakhi huii hai…usme ek qabil e zikr shaksiyet Nawab of Arcot bhi hain…jinhon ne urdu Academy ki buniyaad rakhi…jis se bahut se namwar shora adabi shaksiyeten khas o aam munsalik hain….aur bhi bahut si adabi shaksiyeten urdu ko zinda rakhne ki koshish may sergardan hain…mai south India ke jis shehar se talluq rakhti thi wahan urdu ki taraqi ke imkanath bahut kum hain…log bas zamane ke saath daud rahe hain…aaj ki nasal bhi….maine ab tak aisa koi qabil e zikr kamaal nahi kiya…

Haan kuch articles jo humanrights per likhe they publish huye unme se ek tha saare jahaan se acha….jo logon ki zehniyet per matam tha…jo jaante huye bhi khud apne ghar ujad lete hain….divide and rule wali policy apnane may aaj bhi siyastadanon ko koii aar nahi….aur logon ko shikaar hone may bhi…so bahut kum koshish ki khud ka charcha karne may…aisa koi qabil e zikr karnama ab tak nahi kiya…..bas aapsab se mil baithne ka jub bhi mauqa milta hai …yehi hai haasil e zindgi…

websites …hmmmm jee meri net per likhne ki shuruat kuch saal pehle Ebazm ke zariye huii thi….yon samjhiye us bazm ke zariye maine khud ko khoja…..vo meri darsgah thi…saari khamiaan apni rubaru huyeen..bahut ache log mile…jinhon ne mujhe saraha chaha yaad rakha…..jinme qabil e zikr Tourist ji hain….vo isi naam se likha karte….unse maine bahut kuch seekha…..aur bhi kaii ache log mile….bas wahin se meri net per likhne ki shuruat huii…..Aaj bhi “Ajmer ka safar” ka silsilawar safarnama jaari hai….vo safar jo zindgi ke mayne badal gaya…jahaan humko us tak pahunchne ki dagar ka pata chal gaya……

Mujh per shayeri ka nazul kisi bhi wat hosakta hai…khayal adhi raat ko qalam thama sakta hai..nightlamp ki madham roshni mujhe rok nahi paati….vo khayal jo mujhe beqarar karte hain qalam se milkar chai paate hain….

Chain mere dil ka ajmer gaya hai
Nind meri lekar mera peer gaya hai

Ye maine adhi raat ko nind se jag kar likha…ye us waqt ki baat thi jub meri mulaqat us hasti se huii jinki ek nazar meri hasti badal gaii….
So khayal waqi ghaib se aate hain zehen may….

Nahi Dosto…kabhi kisi ustad se mustafeez hone ka mauqa nahi mil saka.agar ab bhi miljaye tou khusnasibi hogi…..ye bas hota chala gayamaine apne lafzon ko benaam rakha…koi sinf nahi bakhshi…haan ye tou aap sab ki mohabbat hai jo mujhe padh lete hain…

Ji nahi…aaaj tak aisa koii ittifaq nahi hua….agar hua bhi tou zubaan gung …aur malaria ki kaifiyet hogi…janab qalam ki azadi nazar ko ab tak nahi mili….ye jub uthegi tou phir ek kohra hoga samne aur kuch nahi……..so imkaan kum hai.

Ji sahi hai Ebazm may ye class bhi chal rahi hai…magar shayed mai classes skip karne wali taliba hun…aur mujhe jiski tawaqa hai jahaan mai tehrun ghaur karun vo moqam nahi mila ab tak….na hi vo lamha….wahan Irfan Abid saheb ka beher per ek tafseeeli article bhi maujud hai….saima saima…us dil ka kaho kya karun jise apni khabar tak na mil saki….ye tou yon gum hua ke usey koii had koii qanun koii zabita kahin nazar nahi aaya….seekhne sikhane ka kaam waqt ke hathon raha…aur seekhne wale ne madhoshi may umr guzari hai….ye khudfaramoshi madhoshi hi tou hai……waise beher ki koshish jari hai….mil hi jayegi kisi din….

Mai aur mashwra…saima…..jisne mashwron ka matlab nahi samjha vo bhala mashwra kya dega…..ek awaz suni hai sada…jiske ahkaamon per dil tha fida….bas wahi kiya…wahi hua……haan ek bat keh sakti hun likhne walon ko…ke agar kahin sach mehkta hai tou vo bas likhne wale ke seene may…kahin koii dil jhalakta hai tou vo shayer ke seene may….gar likhne ki chah hai tou vo likho jo kisi ki tareek zindgi roshan karde…lamhebhar ke liye hi sahi…ek soch hojaye muyesar jo usko insaan karde……

khushion ki talash may bhatkte huye dilon ko chund pal araam aajaye…unke ehsaasath ko apni rooh ka jalwa dekar….unhen sharf e mohabbat bakhsho….tum apni mohabbat se unke dilon may charaghaan kardo…..mayus zehnon ko aas ka koii pal do….unki arzu ko zindgi kardo….

Walid saheb hayath nahi hain…walida se mohabbat hai…magar mai jinke behad qareeb hun…yaa jinko mai apne qareeb paati hun vo mere rahbar ke siwa koii nahi…sadion ki musafat ke bawajud sada sang jo rehta hai vo bas unka khayal hai….

Horror movies…hmmm dekh tou lungi par chadar may muh chupa kar…warna ek chikh jo niklegi vo bas meri hogi…..aji light shight bandh karke bhuton ke hawale hona kya…ny ji ny….waise bhut jo nazar aate nahi unse dar kaisa….ye dar tou sound effect ka hai…..

Ladkiyan bechaari bolti kyon hain….ab kya kahun unke josh machine hone se koii inkaar kar hi nahi sakta….aji tehlka khamosh ho bhi kaise sakta hai….tufaan tham jaaye tou phir tufaan nahi rehta….ye toghayaani jub baad cross karle phir rukti kahaan hai….aur ek aham wajha ye hai ke hawa ke ser per jo ilzaam lage hain unhen door karne ki koshish may lagi hain unki betiyaan…so bolne dijiye bhi…..shayed kisi din ye ilzaam iblis apne ser lele…..unki baton se ghabra kar hi sahi…..lambi lambi rattan hon aur uski (lambi,lambi) pyaari bataan hon…ashiqi ki sanad hai jee…aksar unki badbad ki wajha unki lachari bhi hoti hai….jahaan unki hasti khud ko numayaan karne ki koshish may zubaan se kaam leti hai….aksar adatan luntarani bhi dekhne ko milti hai….gharz jonsi bhi ho ye luntaraniaan bhi mehbub hoti hain ibn e adam ko…hai k ny….. 

Tanqeed aur baraye tanqeed islaah dono ki tayyari honi hi chahiye likhne wale may….jub tanqeed ki tayaari hai tou phir islaah ki kyon nahi…..farq sirf itna hai ke islaah dusron ki karne walon per apni islaah kabhi giraan bhi guzarti hai….tanqeed salahiyeton ki tarraqi ke liye zaruri hai…phir is se ghabrana kya….dono ki tayyari rahe…haan vo tanqeed jo khud ko mutmain na kare us se ejtinab acha…aur vo tanqeed chahe baraye islaah hi kyon na ho agar kisi per giraan guzre us se bhi bachna acha….

Tanqeed kehna ka mauqa hai…baraye tanqeed sunna ka …almia…..kyon jee…

Ek likhne wala apni tahreer ki tamamtar khamion aur khubion se waqif hota hai….aur vo wahi sunna pasand karta hai..mubaligha sherminda karta hai..haqeeqi daad mutasar karti hai…mujhe wahi mutassar karti hai vo bhi itna ke mai bilkul bachon ki tarha khush hojati hun apni family se meri khushi share karti hun….


khwaab khud ek sarab hai aur sarabon ke peeche bhagna hi azab hai…..vo khwaab jinhen tabir na mil sake…vo saraab jo haath aate nahi…azaab se hi tou guzarte hain…..ye shayeron ki virasat hai…ye trinity unhi ke haath aaii hai….

Meri sabse pasandeeda tahreer…..hmmmmmm….vo haseen safar…ek mukhtasar sa afsana tha…jo ebazm per likha …mano koii ankhon dekha haal…

Khubsurati ke lughwi mani meri nazar may….dilshaad ho tou her shaye haseen lagti hai…waise husn insaan ko mutassar zarur karta hai…mai bhi mutasar hoti hun…husn vo jo masum bhi ho….vo ankhen jinse mohabat jhalke mujhe haseen lagti hain…vo zubaan jo khamosh rahe…vo dil jo chup chaap kahe…..vo lub jo purisrar muskurahaton se saje….aur vo israr jinka pata bhi chale…phir bhi vo muskurate lub ache lagte hain…ke unse kisi ko mohabbat jo hai…gharz ye ke khubsurati sirf mohabbat may hai…mohabbat hi husn hai basher ka…..
waise ye masla bahastalab hai.....ab bahas yon ke falsafa kuch aur kehta hai....nizaam e zindgi kuch aur...ab dono suraton may aapka sawal tishna hai...jub ke uski sairabi aapke haath reh jaati hai...ab aur na satao bhi...keh bhi do...mere imtihaan kitne honge...kahaan kahaan honge.....mai muntazar hun........pura mahina agar is ek sawal per uljhungi tou baqiya interview ka kya hoga...socho socho.....


Urdu forums ne kaafi had tak adabi khidmaat saranjaam diye hain…ye un khubsurat dilon ka karnama hai jinhen urdu se mohabat hai..jo apne ustadon ke fun ko javidaan karne may kamyaab rahe hain….aur inki alami sohrat inki kamyabi ki gawah hai…mujhe ye dekh kar khushi hoti hai ke saari duniya simat kar ek dusre ke qareeb aagaii hai…vo kaam jo mulk na karsake vo fatah jo riyasaton ka naseeb na ban saki….vo haqeeqat ka roop lechuki hai yehaan…aur iska sehra unke sar jaata hai jinki lagan ekjahati ka paighaam ban kar hazaron seenon may samagaii vo mubarakbaad ke mustahaq hain.....

Jee kuch nahi chuta..ab chaand hona chaand sa hona ek hi baat hai…..khuda ne her surat may chaand rakha…matlab ye ke usne dil chaand khayal chaandni ankhen badal,raaten kaajal,wasaten dil ki asmaanon si……jo de rakhi hain……so ab chupana kya…..sach…..


Stars….hmmmm suna hai ye bolte hain taqderen inki roshni may wazah hoti hain….aksar inka muafiq hona saabit bhi hua hai…mai yaqeen rakhti hun ya nahi…kaha gaya hai ke kisi per bhi andha bharosa mat Karna….waise chaand sitaron ka choli daman ka saath hai…saathi tou saathi hote hain aur saathion ki peshengoii kaisi…..haan waqifiyet jatai jaati hai….mukhtasar ye ke insaan taqdeer per gar ghaur karta khuda ki merzi paaleta…aksar ghabra kar bhatak jaata hai…tab bhi aksar amwas bhi ho jub sitare raah dikhate hain…sitaron ka mujh se bas itna nata hai….unki gali se hokar hi chaand mujh tak aata hai….

Main sagittarius…ninth sign of the zodiac…an archer… as manifesting an interposition of the divine power for some special end; a miracle; a wonder. An outward and visible sign of an inward and spiritual grace….ye maine padha tha aur iska matlab kuch had tak sach ban kar samne aaya hai..baaqi rab jaane…inhen safar aur merkaaraii pasand hai…zindgi ke sawalath ka jawab khojna jaante hain….waise justaju khalish aur tapish dono se milwati hai….aur sagittarius ke tamam gun maujud hain mujh may…aksar…lugbhag….ye sign ki aksar alamat mili hain mujh may…mujhe bhi safar pasand hai… ye optimist hote hain….aapka kya khayal hai….hote hain na….hain na….

Mera naam mere Nana ji saheb ne rakha….Rehana…junnat ki khusbudar ghaas…junnat ka darbaan…ek khat likhne wala….baaqi ka pata nahi..khatlikhne wala tou mila hai….mere naam ka asar pada hai…maine aksar namon ka asar dekha hai…naam waqi may apna asar rakhte hain…chaand ye mere derd ke safar ka saathi hai…aur ye mujhe mila hai….aur s chaand ka asar bhi jhalka hai…mai andheron may roshan hogaii hun…mujhe vo suraj mila jisne mujhe apni roshni may mere roshan pehlu dikhaye…..mujhe ehsasath k eek aise safar per lejaya gaya jahaan sab kuch khubsurat tha…koii banawat nahi thi…her shaye qudrat ka ghumaz thi….so is naam se roshni bhi mili…..

Hmmmmmmmmmmm hum kanwal ki koi hasrath baaqi na rehne denge…usey apne swimminpool may rakh lenge…taaki jasusi may asani rahe…..lo jee ye kya….kanwal ne kya dekha ke…apno ke beech may hansti bolti Rehana ghayebdimagh si kyon lagti hai…uske bhatkte khayalath ka mahvir kya hai…uski behis bejaan hasti se zindgi kahan ghayeb hai…haan ye raaz pehle khulega…..ke vo lafz jo zindgi bikherte hain kisi veeran dil se nikle hain….jahaan sabke liye duayen hain…yakhuda kisi dil ko derd na mile…derd mile humderd bhi mile…kisi dil ko tanhaii na mile…tanhaii mile tou saath bhi mile….
Kainaath ki sabse haseen shaye …hmmmmmm vo khushi jo kisi ke nakeamal ka natija hai…vo khushi jo kisi ki kavishon ka sila ho…..vo phal jo kisi ke sabar ko mila ho….vo mohabbat jo kisi sooni zindgi ko chaman karde…..

Sabse haseen aur sabse qarebi rishta….ye mere rehbar ka hai….jinki sohbat ne khuda shanasi bakhshi…jinki sangat ne mohabbat ko darya bana diya…..jinka her lafz ishq e Rasul saw ke jalwon may dubo gaya….her rishte se barter hai vo rishta jo raah e mehbub e dojahaan ka musafir banade….jo raaz e zeest samjhade….nafs se begana karde…..tamam rishte nafs ko ghulam karte hain…ek wahed rishta jo ahad tak ka rasta hai jinse mere Mohammed ka wasta hai…sabse haseen hai…..

Mere nazdeek zindgi ka hasil musalsal agahi hai…zindgi jo mokhtalif tajrubon se guzarti hai…..zindgi jo mokhtalif dilon se milati hai….zindgi jo tamaam haqeeqaton ke bawajud bhi khubsurat hai ye bhi agahi ki badaulat hai…Dosti bahut khubsurat rishta hai saima….vo dost jo derd ki dawa hojaye…vo dost ki ankh banjaye…dost ka dil hojaye…dost ke karam ka phal hojaye…..vo dost jo dost ki khushi ko zindgi karle…..kisi khudaii tohfe se kum nahi….aur mera sab se qareebi dost bhi……mere rehbar hi hain….maine saare rishte unhi may paaye…unki khamoshi bhi mere liye payaam hai…unki dua mere liye rahat ka jam hai…unki atta mere liye mohabbat ka inaam hai….


Sinf e mukhalif …hmmmm inke baghair guzara jo nahi…so inke mutalaq kahe baghair koi chara bhi nahi…tou lijiye pesh hain janaab e mun merd badshah salamat…..ye hukumaton ke shauqeen nafs ke ghulaam…unko bas apni sinf e mukhalif ki kamzorion se hai kaam….unki kamzorian tou roz e awal se mashoor hain…jinka janaab merd …istimaal karte hain…ye tou un merdon ki baat huii jinhen satane may lutf aata hai….phir bhi inka humse nata hai….

Chaliye ab unki baat karte hain jinhen mohabbat ka ghurur bhata hai…mohabbaton ke naam per her dil aseeri ke liye pesh pesh jo hai…..so is qism ke merd saaheb e aalam type ke…ek taraf iltifat ke gul…khud sayad khud bulbul….ekbeperda hai…ek ki perdadari hai…her surat may ullu banne ki aji apni hi baari hai…..ek yaqeen ka chappu hi jeevan ki kashti kehta hai….warna saahil per maajhi dil ki kashti dubota hai….aajka daur kaafi suljhe huye zehnon ko sang laaya hai.jahan merdon ne sinf e mukhalif ko apne pehlu may bithaya hai…baghair vazeer ke badshahat kaisi…hum hosh ki dawa hain…vo madhosh nakhuda hain…oops…sorry gentlemen don’t mind pls…..basqalam bahak raha hai…

Aji aapke interview ke point of view ka jawab nahi jee….hmmm shareek e hayaath…..jo zindgi ke her pal ka barabar shareek ho….jo bhi mile mil baant kar apnaye..kyon thik hai na….ek aisa rishta jahaan bekhauf apna dil kehne ki azadi ho…do dil mokhtalif jazbe….inke samjhne may ek dusre ke madadgaar rahen….khuda ne Adam ke saath hawa ki taqliq ki….isme bhi hikmat rakhi….ek kufail kehlaya…ek dil bastgi ki khaatir aaya…..ek khubsurat rishta hain….

Hmmmmm….net waqi ek jaal hai..jahaan log perde gira kar milte hain…jahaan nafsiyat per teer chalet hain….jahaan search ke naam per searcher milte hain….ek kamzor lamha saza banjaata hai…net may jo phans jaata hai khud apne haath bhi nahi aata hai…..
Aksar daana mavin hote hain…daras zindgi ka dete hain..ilm zehni o aqlaqi qadron ki taraqi hai…..so mufeed jo hai faiz hai vo….mufsid jo hai bairi hai….so ache logon se bahut kuch paaya maine…aksar uljhi bhi hun…aakhir aisa kyon hai…ye samjhne ki koshish ki hai..
Apne jazbaat ka izhaar….jub dil aaina ho tou chere per chalak uthta hai….izhaar na ho paaye ye koshish bekaar rehti hai….khushi seene se uchal kar bahar aati hai..ghum chere per bikher jaate hain…ghusse ka talluq naak se hai….vo khatun e mashreeq ke kartoon ki yaad dilatahai…..bas jee ye izteraab bechara hi aksar kasmaksh se guzarta hai….chupaye na chupe….bataye na bane…..gharz her surat may ye mushkil hai…per baat jub kisi aur ke dil tak pahunchti ho…..kisi aur ki shermindgi ka sabab banti ho…tab saare jazbe seene may dafan hojate hain….khud ko tak nazar nahi aate hain…..
Takliq se aapki murad kya hai…khair mai ek taliq jo mere dil ke qareeb hai uske baare may kehti hun…..ye lafz jo sache jazbon ka izhaar hain…ye jo rooh ki pehchaan bane hain…ye jo mohabbaton ki dane hain…ek aisi takliq jo zindgi ko zindgi kargaii mere dil ke qareeb hai….jinhen likh kar sukun mila ha…vo hai Atta e Ghareeb Nawaz…..


Ek ache aur bure insaan may tameez kaise ho……
Buraii aur achaii ki parakh Khuda ki nazar may aur insaan ki nazar may alag alag hai…meri nazar may bura vo hai jo kisi nadan ke saath fareb kare…kisi ki bebasi ka najayez faida uthaye.... farebkari gunah hai…chal khata hai….jo muafi ke talabgar ko muaf karne may der kare vo bhi khatakar ki saf may shamil hojata hai…buraii aur achaii ka farq her dil ko pata hota hai…jo samjh kar nahi amal karta vo bura…jo samjh kar baaz rehta hai vo acha…..talqeen per bande ki jo koshish hogi vo rab ko pasand hai…acha insaaan vo hai jo kabhi kisi ka dil na tode…jahaan tak rasaii ho madadgaar rahe…khuda ki raah may vo amal kare jo uske nafs per giraan guzre…esaar sabar khuda ko pasand hain…..bade kum dilon ko ye johar haath aaya hai….gharz insaan awal jahad apne nafs se kare…


Haq khuda ka insaan ek surat may ada kar sakta hai…khud ko insaan rakh kar…apne wajud ka matlab paa kar…haq abad …haq Allah…Allah barhaq hai….uske maqluq may jitney bhi shamil hain sabki alahida duty hai…aur sab ko catageries may rakha gaya hai….aur sab se zyada jis se tauqat danishwari ki hain vo ashraf hai….aur insaan ko azmaishon may uljhaya bhi gaya hai..phir us se sahi faislon ki tawaqa bhi ki gaii hai….uski hazar kotahandeshion ke bawajud uski koshishon ko,uske kisi ek ache karam ko,uski khulus e niyyat ko darja diya gaya hai…..abad ka haq tou Allah ke haquq may hi poshida hai…jisne raah e junnat chuni khuda ki talab may…..jisne uske ahkamon ko zindgi banaii uski mohabbat may…haasil ye ke mohabbat hi insaan ke karam ka pehla qadam hai…baghair ishq ke vo junun haasil kaise ho…jahaan ishq ke siwa kuch na dikhaii de…baghair talab ke vo raah kaise mile jo haq per rahe….so janaba amal mokhtalif andaz rakhta hai…pehla vo jo farayez ki adayegi…dusra vo jo haq ki pehchaan per ho…teesra vo jahaan mohabbat khuda hojaye…khuda hi mohabbat….
Maine khud ko kya paaya hai is mamle may..saima..ab tak jo bhi mere samne aaya hai sab usi ka karam hai..mai us raah per chali jisper usne mujhe chalaya…maine uski mohabbat se mohabbat ki hai…uske mehbub ke mehbub se aqeedat hai mujhko….usk mehbub ke her rang se mohabbat hai mujh ko….is mohabbat ne ek baat samjhaii hai…vo dil chune jaate hain jinhen aagahi milti hai..haq ki pehchaan nasib hoti hai….raah e gumrahaan insaan ki saari quwaten salb karleti hai....insaan khud apni kamzoion ka shikaar hojata hai..arzu nafs ko kamzor karti hai…ek nadan ye kya samjhe…shaur ka milna uski hidayet hai.....hikmat se bekhabar banda nadanion ka shikar hojata hai…..aksar ye saare hadise peshkhima hote hain…haq ki raah inhi se guzar kar milti hai…insaan jahaan girta hai haat khuda ka wahin pe milta hai…insaan jub sanbhalata hai saath khuda ka tab milta hai……saima maine bhi barha khud ko bahut kamzor paaya hai…aksar baghi dil ne bade sawal kiye hain mujh se…tab jawab khuda se hi mila hai…meri kahaani may uski hi kahani ka silsila hai…jub derd ka matlab khud rab hai phir inkaar humen kub hai...uski raza may raazi….mera safar haququl Allah abhi shuru hua hai…in chund saalon may mere rehbar ki hi atta hai ek nai nazar mili hai….khudashanasi ,khuda se mohabbat…khuda ka ehsaas…..jub mila…tab laga uski chahat kya hai…bande ki zarurat kya hai…..vo beniyaz hai..her amal uske karam ki khatir …aur nasibwale hazar mushkilon may bhi sabitqadam rehte hain..vo karguzarte hain jo khuda ke qurb ka samaan hai…bas koshish hai…abhi manzil door hai…hosakta hai jistarha rasta e haq samne aaya hai manzil bhi aajaye…dhundle mujh ko…..
Mere nazdeek meyaari adam vo hai jo insaan ke shaur ke iye charaghaan ho..ek achi soch kamaal ka asar rakhti hai…kitne dilon ko apni raah per liye chalet hai…ache dilon ko mutasar karti hai…lafzon ki rangarangi may bhi haqeeqaton ka husn mumtaz hota hai….aaj ke daur ki maang yehi hai…..aajki nasal ke samne khatre bahut hain…aur gumrahi ke mauqe bhi…aaj humse hamari vo taqaten mangta hai jo in muhzor tufanon ke bandh baandh saken….agar chund zehen bhi roshan hojayen ye merka hoga….so koshish yehi rahe adab baadab kare…..
Lafzon se khilwad karna, ehsaasath ko zakhmi karna,jazbaat ko zalil karna…zehnon ko barbad karna,dilon ko daghdar karna.insabko bhi chund lafz hi darkaar hote hain…hain kuch karamferma jo naam mazhab ka lekar,wasta azmaishon ka dekar dusron ka meyaar test karke khud apne meyar se girte hain….khuda unhen nek taufiq atta fermaye…..bura fale vo hai jo kisi nadan ka dil tode…..ye khel nahi ke koi kisi ke puri zindgi ko badal kar rakhde…maine ye hote dekha hai…isko badhawa dena may bhi kamzorion ka hi dakhal hai….so inko roke ki bas ek hi koshish hosakti hai…aapke web per ek link is subject per ho…

Mere pasandeeda hazrath Iqbaal hain aur kyon hain …unki soch khuda ki samjh ka natija hai….aur aapki site per mai chund shayron ka zikr karna chahungi jinhon ne mujhe mutasar kiya….Tariq saheb aur Ramish je aur zaki bhi…..unme maine khud ko suna….

Zindgi tou rab ke haath hai… …humen uski hikmaton ka gar ilm hota koii tadbir na karte…magar banda tou kamzor hai apni pareshani may jod tod karne lag jaata hai….ye taqderen tayeshuda hain..looh o qalam per yaqeen imaan hai….so mere dosto…tadbir chahe lakh koii karle…hota wahi hai jo vo chahta hai…maine Paulo Coelho ki“Alchemist” may padha tha …jin taqdeeron ke badalne ki gunjaish hoti hai bas wahin tabdili hoti hai…Duayen mehbub bandon ki qabuliyet ka darja rakhti hain…yehaan bhi mohabbaton ka hi sila hai jo unke amal ko karam se mila hai…..aur maine ye hote dekha hai…peshingoii ko pura hote dekha hai….


24 ghante bhi kahaan apne hain .jo chund ghante zindgi lagte hain…..unme vo subha jub suraj niklta hai aur vo shaam jub suruaj ghurub hota hai…apni tamaater tamaazaten hamare gaallon ko bakhshta hua haule haule khuda hafeez kehta hai vo manzar vo shaamen jisey mussawar canvas per utaar kar maano un palon ko muqeed karleta hai,pasand hain mujhe….us waqt asman mano kisi mussawar ka canvas lagta hai…..

Mosam.....mujhe baarishen achi lagti hain….in baarishon may ankhen bhi bhig jaati hain…ye yaadon ka mosam lagta hai….ye arzuon ka mosam lagta hai…..sarsabz wadi ho…mosladhaar baarish ho…dil bheega ho…aur waa ho….thandi hawaon ke jhonkon may ehsaas milte hon….
Ji kisi shauq ki koi takmil huii nahi…her arzu adhuri hai…her khahish tishna hai…is pyaas o yaas may jeene ki ab tou adapt si hogaii hai…ab yehi surur ka pyaala hai…inhi ka ab dil matwala hai….ke ye mehfuz rakhte hain her vo lamha….jisne her jazbe ki buniyaad rakhi hai….mujhe mukamal gar hona ho ho hi jaungi…kabhi vo waqt aayega mai apne kaamil se milkar mukamaal ho hi jaungi…..

Vo kehte hain na kamyabi ke peeche koii khas musabab talluq hota hai…aji bas wahi nahi mila..sabne rishte nibhaye…dil nahi samjha…..mang kar jo miljaye us waqt per kub guzara hai…jo humari soch se peshter miljaye wahi lamha hamara hai..islahaath ka socha bahut…per kisi ne nazar-e-inayet nahi ki ab tak..gar aap se mumkin ho sake tou karlena….mujhe khushi hogi….


Computer ki duniya ne tehelka machaya hai hum insanon ki duniya may…ye asaaniyon ki khaatir wajud may aaya hai..per jub bhi insaan ko asaniyaan mili hain us ne inka ghalath fayeda uthaya hai….so computers ka bhi ghalath istimaal hua hai…..yehan bhi crime ne apne jalwe dikhaye hain….shararti zehnon ko naii raahen sujhaii hain…deewanon ki ye duniya nahi hai…..dono natije samne aaye hain…bhale bure…..ab khuda ka karam hai syber-crime detect karne ka samaan hai…


Hmmmm sawal ghaur talab hai aur gehri fikr ka haamil bhi..awal tou insaan mulkon may na bate acha…vo zamin jiski maang mazhab ke farogh ke liye huii,vo bhi matam-kinaan hai…log but kar bikher gaye…aur yehi butwara insaan ki paragandgi ka sabab hai…yehan bhi chain nahi mila hai…jisey sukun chahiye vo her sawal se azad rahe…..log hukumaton ke shauqeen hain…magar riyaya-perwar kahan hain…hukumat-e-islaam ke naqsh-e-qadam per qayam rahna hi islaam ki qidmat hai….Huzur ne aman ki jo raahen sujhayeen vo aaj kisi ko yaad nahi…bas mazhab ek naara hai…jo chaho karlo ye haq hamara hai…haan masaayel ke jo baani hain…..unke naam paighaam zaruri hai…khwab-e-ghaflat se jaagne ka ab bhi mauqa hai…ye jo bhi ho raha ,jis mazhab ne duniya di,uske saath dhoka hai…

Pakistaan….ki moqadas zameen ke naam ek paighaam…mere hum-mazhab logo…gar hosh ke nakhun lo…khud ko kuredo phir se..socho zara ye kya raahen hain…jin per chal kar tumne ab tak kya paaya hai…jo khwab buzargon ne dekha tha uski tabir utlti hai…gar samjh sako tou samjho,ye paak watan ki qismat may azaab kisne hain likhe…ye jo insaan insaan may faraq karte hain mazhab ki kya laaj rakhe….islaam ka matlab kitnon ne samjha hai….ye insaniyet ka paighaam hai…hum se ek wada liya gaya hai…hum insaaniyet ki hifazat karenge,insanon se mohabbat karenge,salamati ki raah chunenge…..kya aisa hua hai??

Des ka khana tou kharab hai..Pardes jahaan pakistaan ke logon ne islaam ki tabligh meyaari dhang se ki hai..jahan waqi nai nasal ki talim zaruri hai…mahol ki aludgion se bachaye rakhna farz banaya hai…maine yehaan Islamic research centers ki kargardigion ka husn e amal dekha hai..un mehefilon may khud ko khoya hai….aam musalmaanon ne musalmanon ki falah ka jo beda uthaya hai unki himmaton ki unke jazbe ki daad dungi…khuda unhen mazeed sarfaraz kare…masum zehnon may aqlaqi qadron ka bona ek daur ka insaan hona hai….pakistanion ne yehan bhi jamaton ki numaindgi ki hai..in jamaton ko bhi ek baat per ghaur karna chahiye…jubki her jud Huzur se milti hai….phir kyat era kya mera hai…Awliya Akram ki ye chah nahi…naam unka lekar tafreeq ke beej boye jaayen….ek hi ilm…ek amal….milta hai niyet-o-karam ka phal…..

Mujhe afsos hai ke aapne ek mulk ki baqa-o-salamati ki baat ki…meri khahish ye hai ke baat jub salamati ki ho saare jahaan ki ho…jahaan islaam ne apna tiranga phailaya hai…her zehen ko ek justaju bakhshi hai…Islaam ka wiqaar insaniyet per qayam hai…aur jub ke pakistaan ki buniyaad hi islaam ki khatir musalmaanon ki khatir rakhi gaii ….phir tou pakistanion ka farz awaleen apni qadron ko qayam rakhna hai…sirf zubaan se nahi amal se bhi…amal sirf farayez aur ahkaam per hi khatam nahi…khuda niyeton ko nekion may shumaar karta hai….zaahir aur baatin donon ek saath amal per hon…isi may falah-e- islaam hai..bahbud e musalmaan hai….

Pakistan ki baqa aur salamati ke liye Pakistani jo bairuni mulk may hain vo ye karsakte hain…appasi malejole qayam rakhen..bhaichare per waaz Karen….siyasati harbon se khud ko mehfuz rakhen…aur jub faisle ki ghadi ho tou hikmat se kaam len…zehn o dil ka asli matlab pehchaanen….awaam-un-naas ki kahan sunte hain mutlaq-ul-inaan….so shor machine se behter bund bund darya hona seekhen…barish ka pehla khatra gar himmat na karta tou phir jhadi sawan ki kaise lagti…bas sochen….apne haquq ka sahi istimaal Karen…soye zehnon ko bedaar Karen…..aur hukumaton ki buniyaad haq-o-insaaf ki zameen per kaise qayam hosakti hai sochen…..ye siyasati maley……ye siyasatdaan albeley…kaash us zalzale ko yaad rakhte jisne ek soch ka mauqa diya…haath kuch nahi aane wala…bas sang amal hai jaane wala….


Pehchaan per nazul kaise…mujhe pehchaan se invitation ka mail mila tha….bas …phir hum they tum they…hone lagi baat…samjh gaye na….

Pehchaan ne pehchaan ka mauqa diya…her raah her safar ka ek hi usul hai…mohabbat Dosti ki buniyad hai…pehchaan ki dosti ne soch ko naii raahen deen…nitnaye unwan mile…jasper qalam ne kuch yon lubbaik kaha mano dil ko bas is pukar ka intizar raha ho…izhaar aaina chahe…bas vo aaina yahaan bhi mila…...falsafa pehchaan ka bas itna…hum tumhare hain humse paao mango jitna…..

Hmmm kaafi kathin sawal hai…mujhe waqt kum milta hai…..isliye kaafi likh nahi paati..waise saare thread hi ache hain…aur ye jo contest ka thread shuru hua ye likhne walon ke liye karamad saabit hua hai….unki soch ko unke qalam ko mokhtalif zaviye mile hain…

Pehchaan se pehchaan seekhi…shaur ko chiraghaan karna seekha…..ek talaash musalsal ko do ghadi aram dena seekha…jo paighaam mujhe milte rahe unhen sab tak pahunchaana seekha….jo seekho kisi se sabhi ko seekhate chalo…diye se diye ko jalate chalo…..ye kiya..
Meri Dosti her us dil se hai jiske derd ne mere derd ko awaz di…ye rishta mushtarika hai….derd ka rishta…..waise Dost pure Pehchaan se hai…gupshup do logon se huii…Ek Tariq Azeez saaheb…Dusre Ramish jee…muhazib logon se mutasar hone ka mauqa mila…ek do ne filert ki koshish ki jinhen shert pehchaan ki samjha di gaii…her musafir ka safar alag maqsad liye hota hai….mai vo nahi hun jiski gali sab ko mile…..kyon sahi kiya na….gupshup ka silsila mokhtasar hi raha…unka kalaam hi unkipehchaan tha…..aur mujhe vo lafz mutasar karte hain jahaan haqeeqat milti hai…..

jee baataan tou huyen kuch hum ne kuch sabne suneen….ye kya kum hai….bat vo hui jahaan jaan pehchaan ko mauqe mile….

Aji paayon ka soghal kuch yon hua ke sadion melon ki musafat ne pairon tale zameen khiska di…aur waise bhi aajkal paun zameen per nahi padte mere….so paaye tika boti murgh bater kabab wababa jo chahen aapke samne pesh hojayenge..aap kahen hum na khiayen ab aise bhi halaath nahi….

Hmmmm her derd ka mara beshaq arzi bhej bhi sakta hai, sunwaii ki ummid bhi rakh sakta hai..per ek baat unhen bhi yaad rahe hum baatin ka safar karte hain....
Saima ji koi bat nahi… na ji kaan bakhsh dijiye ramish ji..waise bhi bade nazuk hain kaan apne…laikin hum unhen mayus na karenge...haan bheja haazir hai shogal fermaiye…yon hi dhara reh gaya hai…

Dosto bas hum hitleri hi tou na karsake..jahan kahin koii ansu tapka rumal pesh kiya…so saaheb e Jamaal ko ghalathfahmi hohi jaati hai….duniya ko pata chal gaya hai kahaan derd bhi kargar hosakta hai…


Waqi sawal halke phulke hain..hmmmm….awal tou writer ki umid ko daad denge..dusre uske self confidence ko sarahenge…teesre uski arzu pe royenge….kaash un lafzon ko koii apna dil de pata…hasrath ki shakal per mat jaana …vo tou berang hokar bhi moqam rakhti hai…phir yon hoga ke writer ka mudda samjhne ki koshish karungi …aur jub uski rooh samjh may aajaye uski nok palak sanwar kar uski mayusi ko arasta kardungi…phir writer bhi khush aur hum bhi…..ke is kaar e khair ka usi ne tou mauqa bakhsha…humse is merke ki ummid bhi rakhi…islaah ke liye pesh hona koii mamuli baat nahi…ek fankaar ka etmaad hai ye….

Dosto afsos ke maine nasar-nigaron ko zyada nahi padha..insha Allah tawajha dungi…haal hi may ek tahreer nazar se guzri jo achi lagi…Ali jee sweet friend ki tahreer thi…..Tariq Aziz saheb ko jub pehli martaba padha tou yon laga koii purana shanasa derd mil raha hai….humzubaan humkhayal….aur kamal saheb raamish jee Zaki jee…ke kalaam ne mutasar kiya bahut…..hmmmmmmm rukne per tou aapki tahreer ne hi majbur kiya…hum kis gali jarahe hain….saima…mujhe hamesha yehi lagta hai mokhtalif naam hain aur ek saaya hai….jo saath hokar bhi haath nahi aaya hai…..bas mera markaz mera mahaver wahi khayal hai humkhayal usi se milate hain….

2009 bas aaya hi chahta hai aur meri khahish ….ye hai ke pehchaan se door door talak, mulkon mulkon, sabki jaan pehchaan ho…log aapki nagri may khusbash Doston se milen.aur vo paighaam len jiski daur ko zarurat hai….vo paighaam den jiski her dil ko zarurat hai…aur maujuda daur ke naii nasal ke mokhtalif masayel per thread shaamil hon…

Aji bada sangen sawal hai…shaadi…bada moqadas rishta hai mere nazdeek…basharte ke shareek e safar zefaham nikle….waqi mayher ehsaas may shareek rahe….aksar tabir ulti bhi hoti hai…khwab koi aur buna…ankh khuli daman khaali….dil arzu ka chaman…her dam sawali….ek umr ka safar hai ye…jahaan arzu paye takmil ki maang karti hai….

Duayen moqadar apni jagah….haan khwab iska kuch aur kehta hai jisey kabhi zubaan nahi milti..na ye ayaan hota hai….humsafar humkhayal ho tou kya kehne…saima…aksar khwab tut jaate hain…khuda ne isi liye is rishte ki pakizgi may ek anmol ansar kiya shaamil…nikaah ke chund lafz puri zindgi,soch, her khwab badal kar rakh dete hain…vo dil jo kal talak khahishon ki perwaz per tha…aaj uski tamamter tawjoh ka mustahaq ek ajnabi….mohabbat ka ek naya rang samne aata hai…..aur do dilon ka maan ban jaata hai…kaisa hona chahiye…is sawal se hut kar kya hona chahiye ye khayal acha hai….hone ko tou misalen kaii hain……ke aisa ho waisa ho….han ek aam si chahat ye hai…dil o jazbaat ki qadar karsake….shareek e safar se masawi saluki qayam rakhe…bartari ya hukumat ke liye apne humsafar ko na chune….ek dusre ko zarurat ka rishta na samjhen….buniyaad mohabbat per ho…..shadi shaadmani ho na ke saudebaazi ho…..Islaam ne is talluq per merd o zan ko bharpur azadi di hai…pasand ka ekhtiyar diya hai..magar aaj bhi aisi shadiyan hoti hain jahaan ladki ke bajaye uski koii budhi khala ya phuppi han karti hai….perde ke peeche…aisa na ho..do dilon ki raza shert rahe….

Meri nazar may muslim umma ka almia ye hai ke unhon ne mohabbat nahi samjhi…ishq nahi jana….humne musalmaan hokar kya paaya…paakar nasamjhi may kya kya khoya…..kaash hum Huzur ki zindgi se sabaq lete..unki sadgi ko apnate…unki kushadadili khud may muntaqal karte…unki sulahrehemi ka maqsad samjhte….unke aqlaq o adab ko misaal banate…sirf iqrar shert nahi hai….takrar bhi nahi….her vo fale unka jo humko pyaara hai..khuda ne unke seene may hamare liye hi utara hai…unhen misaal banakar pesh kiya gaya…aur hum sada ke murakh…bas ishq ishq ishq kiye jaate hain….unko apnane se katrate hain..ke waan ayeshkoshi jo nahi hai…waaan araish e zeest ki charajoii jo nahi hai…..khuda hum sabko qinaatpasand banaye….aur Apne mehbub ke sadqe humen unki mohabbat atta hojaye….vo mohabbat jo amal se jhalke…vo mohabbat jo dil dil may mehke….jo zindgi ka maqsad rahe….jokhuda ki khusnudi ka sabab hai….

Gar chahen…gar apne nafs ke hurbe pehchanen…bahane bahane arzu ke suna kar fasane…..her qadam per shaitaan milta hai satane…gar usey pehchaanen phir jahad ki bhi zarurat nahi hai…ye tou asaan hai…ke humen jis se mohabbat hai us sa hojana shert e mohabbat hai..khuda ke ahkamath ki misaal banker mila uska noor…aur humne dhunda jabaja apne dil ka surur…..abadi sukun o farhat Mohammad Mustafa saw……….gar humen unse mohabbat ho hone ko kya ho nahi sakta…kamzorion per ghalib aajana…raah buzaron ki apnana….amal ka behtreen tareeqa hai….ummation ke liye sunehra mauqa hai..aakhirat..azab o sawab..junnat dozakh…gar sirf chahon per hi mohabbat ki tou phir kya mohabbat ki…..sud o zyaan se pare bas ek khayal rahe..ye raah hamare liye konain ki daulat hai…..
Acha sawal hai…aur haaliya daur safar ka isi ka jawab hai…..derd jub simat jaaye aur jub agahi bande ko miljaye…mushkilon may hausla paajana inayet hai…..bande ki tamam beqararion ko qarar aajaata hai..besukuniyan tou duniya ki dane hain Aziz..ye tou humqadam hain….saaath chalti hain…inhen bhi gar azmana aajaye phir inki auqat kya…..shaur ka her pal daras hai…aur jisne is per ghaur kiya..samjha…jana pursakun hua…..sau baton ki ek baat bande ka raazi ba raza hojana sukun ki alamat hai….khuda per kaamil bharosa ke her waqt uski nazar apne bande per…vo apni taqliq ki taklif se khush kaise hosakta hai…us mushkil ka matlab bhi rushanasi hai…derd bhi meethe lagte hain…sabar qayam hojata hai..qarar dil paajata hai…bas ek khayal ke sab apnon se badh kar vo apna hai….beqararion ka qarar aajata hai….


unko fursat hi nahi aur hum ko hosh nahi
Aise halath may ab kaun kise yaad kare

Aapne padha tou sahi…aapke khulus ka jawab dosti se kum kya hosakta hai…dost yon ke jo rishta her rishte se azad hokar bhi rishta rehta hai dosti hi kehlata hai….chaliye ab sawalath ki taraf rukh karte hain…
Flasafa e Hayath….mere nazdik…kuch salon pehle tak jitni bhi zindgi guzari wahan koii falsafa kahin door door talak na tha…ke wahan bas zindgi thi….falsafa tou khud se rubaru hokar jana…ke aakhir is hayath ka falsafa chund jismaani farayez per hi kyon khatam hojata hai…

vo dil jo hazaar perdon may chupa hai kitni haqeeqaten khud may dabaye huye muh tak raha hai…koii zara chede tou, mai ashkaar hojaun….falsafa…kahin qunutiyet ki misalen qayem karta hai tou kahin soch ki raahen faraham karta hai….falsafa vo rahe jo amal per mayel kare….shogal e bekari ya apni kamzorion ka jawaz na ho….mere nazdeek zindgi ka falsafa ye kehta hai…qudrat ko ghaur se dekho isime saare falsafe poshida hain….her shaye kainath ki adam ki khushi ki khatir zahurpazer huii hai…so zindgi ke her pal se,her atta e rabbi se….her karam e mehbubi se khushi kasheed karo…khushi jo khuda ne mohabbat ko bakhshi…mohabbat ne adam ko…..mere nazdeek zindgi ka falsafa yehi hai….jub talak vo tumhen na talaash karle apni justaju ko zindgi karlo….

Jee mere nazdeek nazam ne vo moqam haasil kiya hai jahaan shayer azadana apni puri baat keh sake.apne khayal ko uski lamehdud zameen desake…aur ghazalen apne waqton ki amanat hain aur arzu ka aks hain…jubki nazam kisi bhi jazbe ko chupke se chu kar nikal jaati hai….aur likhne wale ki sermasti ka ehsaas contagious hai…baaqi aap saheb e fun bhter jaante hain….

Aji janab bairun ya andrun baat ek hi hai…jis dil ne urdu adab ka shauq paala vo kahin ka nahi raha…na indo na pak….bas khaakh….aahon ke siwa shayer ke seene may kya hai…na koii moqam baaqi na hasti ka ehsaas baaqi….biruni mulkon may sach much ek naye adab ki tahreek janam lerahi hai….jo ke haqeeqaton se nazar milana chahti hai….kisi rishte se munsalik hokar khud ko tafreeq ki zameen may dafan karna nahi chahti….khubsurat baadab mehafilon may dil sune jaate hain..mulk nahi…insaan chune jaate hain…qismen nahi….vo qalam jo sirf firqawarana tahreek ki dane ho uski koii manzil nahi…bhatake huye jazbon ko jo raah koii dejaye aise qalamkaar ko her koii saraahe….


Mai kya samjhti hun..is se hut kar aap khud dekh lijiye ghazal kya kehti hai…naye jiddat pasand shora ko tanfid ki chadi se hanka jaata hai…aur ghazal ko qadeem riwayeton se pyaar hai…waise her daur apne waqt ka koii munafard andaz apne saath zarur laata hai…aur aaj ka daur tou masha Allah….mujhe nazmen isliye achi lagti hain ke yahaan shayer puri tarha se na sahi kahin kahin azad hota zarur hai…waise derd e mohabbat ka haasil hi hain sher…qism jonsi bhi ho…derd apna ho ke paraya….donon suraton may shayer ko raas aaya…..

Mai bhi pal do pal ka hi khissa hun…go aaj aap sab ka hissa hun…chaliye in saa-aton ko haseen karlen…phir kal ye hon na on…..jaisa ke ramish ji ke aakhiri khat ne kaha..kahin koii mujh se apne wade ke wafa hone ka gar iqrar ya takrar kare..aur mujhe lage kya hua gar mai na likhun…mujh se behter kehne wale mujh se behter sunne wale mil jayenge…..waise saalon ki musafat ne safar ko maqsad faraham kardiya…aur mere qalam ko ek naii raah bhi bakhshi….so dekhiye mustaqbal kya kehta hai…aur ye aaj sirf aap ke naam….

Mujhe ghussa aata hai us waqt jub meri her safaii yaane samjhaish bekaar jaati hai….aur koii mujhe samjh nahi paata…meri khahish yehi hoti hai ke samne wala badgumaan na ho…uska dil aur apni jagah mujhe chahiye hoti hai..tab mujhe bahut ghum hota hai ghum ghusse may tabdil hojata hai…ek tanau sa rehta hai..magar mai tab uski vo baaten yaad karti hun jo mujhe marghub hoti hain…yon mai khud ko serd karti hun….aur kuch nahi karti…baaz waqt ansu bhi mujhe serd karte hain..khud mere apne ansu…maine is machine daur may bahut kum insanon ko dusron ke liye ansu bahate dekha hai…so khud per hi taras aata hai ….

Hasad ek aisi bemaari hai jo haasid ko kha jaati hai….hasad aakhir ho bhi kyon..ye khuda ki merzi hai kisko kya mila….gar mohabbat ka dil ko sahara nahi phir aapke dil ko koii jazba gawara nahi..hasad se bachna chahiye…dusron ki khushi se khush hona insaniyet ka sabut hai….waise bhi jisne lawazimaat-e-zindgi ko nasb-ul-ayin banaliya usey kahan khush hona raas aaya…
Hmmmmmmmmmm haan khatakar se zyada kon waqif hoga….ghalathi karne ke fauran baad ehsaas nadamat aur pachtawe ke ansu ye donon tayyar milte hain…aura had ye karti hun…yakhudaya aainda is ghalathi se mujh ko bacha lena….aur meri tauba practical hoti hai…dono kaan pakadti hun aur gaal on per chapat bhi lagati hun..aji apne ….dusron ke ny…..rade amal fauran ye hota hai ke ander sunnata taari hojata hai…aur apni ghalathi rubaru hojati hai….aur ansu tezraftar….hmmmmm phir khuda tauba ka mauqa dedeta hai….ghalathiyan unki qismen unka radd e amal juda juda hai…..per haasil ek…..

Tareef vo hoti hai jo sache dil se kijaaye aur mausuf waqi may iska haqdar ho…aur waise tifl tak tareef se khush hojata hai…agar kahin koii phul khilta hai tou phir khilne dena chahiye…ke khushi anmol hoti hai…meethe do bol insaan keg hum bhela jaate hain….koii harj nahi..bulki amal may daakhil hai….

Khushamad…ye tou saudagaron ka pesha hai…..chaplusi unhen hi raas aati hai jo zindgi ko numaish samjhte hain.…jinhen haqeeqaton se dar lagta hai…jinhen apne aap se tak se jhut bolna gawara hai…gharz jinhon ne jhut per etbaar kiya unhen khushamd hi khush karsakti hai…
Maazi ka her guzra hua pal aaj ke liye sabaq hai….vo waqt jub hum anjaan they…humen faham o idrak bakhshne wale pal wahin per milte hain…aaaj ,ki nashonuma ke liye behad zaruri sabaq aur tajrubaat ,zindgi ke maslon ka hul… maazi her aaj ka mauras hai…aur mustaqbal Aaj ka phal….so maazi se liye huye tohfe hum apne aane wale kal ko dete hain…vo sanjeedgi jo mustaqbal ka asasa hai maazi ki nadanion ka hi haasil hai…dermyaan jo aaj maujud hai yehi asal hai ….yehin ek kirdar ki takmil hoti hai…so is aaj ke her pal se milta hua her sabaq aagahi ka tohfa hai zindgi ko….isey jisne samjha,paaya,usnne apne behtreen waqt ka ehtraam kiya….usi ne zindgi paai…

Maazi ki shakal dhundli hojaati hai…aur aaj sada jawaan rehta hai..mustqabal yaadon ki jawaani hai….aur khwabon ki nishaani hai…


Aap sab ke saath maine apna maazi ,haal, mustaqabal bhi guzar liya…aur aapne dekha ke ye lafz qalamkaar ke nahi…halaath ki dane hote hain…jazbaath ka silsila tou awal se aakhir tak juda hai…derd saanjha hai…so naya ye tha k ek paagal deewana dil aap sab ke rubaru hua…..deewangi ko shaur se kya wasta….deewanon ko hosh se kya kaam….tou dosto…ye waqi ek ibtida aur ekhtetaam bhi hai…