Tuesday, December 6, 2011

Aa pehchaan le....



ye kaisi saazish hai...ye kaisi azmaish hai...vo saraab ki haqeeqat samjha raha hai ya haqeeqat may vo ek saraab hai.. aakhir usne mera hi dil kyon chuna? koi tou wajah hogi...kya kahin mai bhi raah bhuli thi...kya kabhi mai khud ko bhuli thi..hosakta hai...hua bhi hoga...haan hua bhi...kya insaanon ko apni laghzishon ke paadash may ye karb jhelne padhte hain? akhir derd ki dawa derd kyon hai? sitamgar say humen itna pyaar kyon hai?

silsila wahi hai puraana..derd bhi wahi hai jaana maana...magar saza ab ke naii hai..zulm ab ke sawa hai...ke usne farayezz sonp kar rukawaten khadi kardi hain...kamyaabi ki jhalak dikha kar mushkilon may daala hai...bardasht ki hadon ko azma kar muskuraya hai...mai samajh rahi hun uski shararten...mai jaanti hun uski herkaten...ke mai khud ko pehchaanti hun....

ye andaz jaana pehchaana hai....her waar say vo jhalak utha hai ke mai tujh tak mukhtalif raaston say pahunchunga....teri pareshaaniyaan badha kar teri wafa dekhunga...ke kahin tu apne qarar say mukar tou nahi jaayegi....gar nahi tou tu inhi mushkilon may qarar paayegi...nadaan mai door nahi tujh say...nadan shor na kar sun chupke say...ke in libadon ke andar sirf ek sada hai....chehra na dhund , mai her chehre may maujud hun...nazar bhi aaunga, ojhal bhi rahunga...mujhe faqat intizaar hai us lamhe ka jub tu meri pehchaan paa legi....aur apni manzil say aa milegi...

Wednesday, November 30, 2011

Kal ki Soch...





Koii zindgi say ghabra gaya...koi zindgi ban gaya...koi zindgi say kinara kar gaya...zindgi zindgi chahti hai..yehaan murdadilon ka kaam kya...yehaan khamoshion ko sunega kaun....yehaan luntaranion ka shauq  hai kise...yehaan zubaan ka hai kaam kya...yehaan samaaton ko aram kahaan....sargoshion may bhi hain tabsarey...jidher mudo wahin hain paintre...

Aqal ke ghodey daudaane waalo..zara thaam lo lagaamen....aage bhi khaai hai..peeche kunwan tou tha hi...ye jo raasta tum jahaan say guzar rahe ho isey pulsiraat tassavur karo....zara sanbhal kar qadam rakho....roz-e-jaza say pehle bhi hoga hisaab-o-kitaab.....sawaal karne waalo tum say vo talab karega jawaab...

Mohabbat ki fasal aisey hi nahi ugti...khushaind kal ke tamanaai, ye sauda muft nahi hoga...yehaan daam dil ke bhi lagte hain..ye mauqe chahne waalon ko hi milte hain...beej boyega ulfaton ka fasal paayega  remhaton ki...

Monday, November 28, 2011

Rang




Aye meri hunafas mai sunaun aa phir gardish-e-dauraan ke wahi tazkare...khuda ki chahat taley kis tarha chahten insaan ki khud apni zad may aagayeen, apni chahton ki shiddaton say mil kar ghabra gayeen.

Ye dhoke itne haseen kyon hote hain aakhir? inme kho kar admi apni asliyet faramosh karne lagta hai...inhi dhokon ko zindgi maan kar jeene lagta hai...zindgi ka chehra badal deta hai, phir apna chehra bhul jaata hai...

Ek khayaal khalikh ka apni asal say mulaqat ka sabab ban sakta hai...ke usne apni hikmat ko insaan ke amal may poshida rakha hai...gar ek lamha ghaur-o-fikr ka mil jaaye, phir insaan waqt rahte hi sanbhal jaaye...

Kaash aisa ho paata....mumkinaath  ko laghzishon ke hawaale hote dekhta reh jaata hai banda...ke khair-o-shar ke darmyaan ek namalum sa perda khahishon ne hi tou buna hai...aur inhi khahishon ne insaan say uska asal maqsad chin liya hai...usey apni asal say mahroom kiya hai...


Rang vo chade jo mehbub sa lage...mehbub vo rahe jo mehbub ko masrur karta rahe....surur vo rahe sirf uska khayaal  jaam, saaqi ,maye, mayekhaana hojaaye...

Sunday, November 27, 2011

Haan sun...



Aye dost tere dar per phir aagaii hai deewani...apna wahi qalam lekar ,apne wahi zakham puraane lekar..

Maine jub bhi auron ke sitam dekhe, apne bhi zulam dekhe...kahaan maine suni dil ki, sada zamaane ki suni hai maine...jo sab ko sahi lagta hai wahi karna hi meri baqa hai..kyon ki gar kehne pe aaungi mai phir her rishte ki fana hai...ye mai ne jaana hai zubaan ho ke...

kal sadion purana ek derd mila ,samjha gaya mujh ko....dekh mai tera kal hun,mai bhi jawan tha kal...ab tu hi mera kal hai aur mai tera aane waala kal...

ab bhi sanbhal ja dil....waqt bada daana...aur tu sab say bada nadan...daman kyon chudata hai...nazren kyon churaata hai...apne aane waaale kal say...tujh ko her haal may milna hai...

Friday, November 18, 2011

Nain Pyaala






Meri pyaari..tu naraaz na hona dairi...mujhe kabhi kabhi mai khud yaad nahi rehti..phir tu bhala kaise naraz hosakti hai....mere lafz saakt hain...mera dil munjamid....likhun tou kya likhun...zamaane ke pathraye huye tewer? zamaane ke thukraaye huye lamhe?

Tanhaii jub phut phut kar rona chahti hai tab hum usey shikayet amez nazar say dekhte hain aur vo apna rona bhul jaati hai...aakhir ye ansu shikaayet ka hi tou ishaara hain...shikaayet aakhir kis say hai? log tou bhaant bhaant ke hain mizaj bhi mukhtalif hi tou honge...phir unme kya talaashta hai dil...kuch apna sa...sab agar apna hota tou phir khalikh ka kaam asaan hojaata...

ye numi chupa ke rakh aye dil..kahin kisi banjar dil ke kaam aayegi...isey zaaya na kar...ye shabnum ibadat ka haasil hain...ye ose ki bund mohabbat ka samar hai...jo seedhe sehen-e-dil say nikal kar nain pyaalon say mil kar..her lamhe ko gul aur gulshan kar jaayegi....

Thursday, November 10, 2011

Ek Nigaah...





Aye Dost mubarak ho tujhe phir zindgi mil gaii....tere page ko rangeen karne ki mohallat mil gaii...phir hosh aaya hai najaane is hosh ki umr kya hogi...kisey patta....saaqi ka ek ghunt inaayet tha barson ki madhoshi ney derd say araam diya tha laikin....ab ke hosh ke jalwe bhi niraaley hain...kitne arsey baad hum hosh may aaye hain....kahin ye koii tahalka na macha daaley....kahin ye sab ke hosh na uda daaley.

Aisa na ho ke Saaqi phir ek nigaah daale......

Friday, November 4, 2011

Aa tujh pe kuch naya likhun....




Haan meri azeez...tujhe maine arse say chua nahi...tujh say kuch kaha nahi...kahun bhi tou kya kahun...zindgi ne naya kuch likha nahi...log tere pannon ko sunehri keh saken aisa maine kuch kiya nahi...wahi aam say hain silsiley...wahi roz ke hain masghale....wahi log wahi khayaal diljale....ab inme kuch rakha nahi...

Aa aaj tujh say mai kuch aisa kahun...aaj tujh pe mai kuch aisa likhun...ke sadion baad bhi mai aur tuu kahin kisi gumnaam say haath ki betaabion taley, koi khush-numa khwaab say jagmagaa uthen...dil aur daman jal gaye tou kya hua, rooh ko jhal rahi hai baad-e-saba..kisi kohstaan ki makeen si, kisi husn-o-jamaal ki jabeen si, kahin sitaara bani, kahin chaand bhi,aa bun len phir say koii khwaab,saahir ke khwaab ko mil jaaye jawaab...

Wednesday, October 12, 2011

Ek aur Naya daur....





Ye najaane kaunsa daur hai...kya patta..jo ehsaasaath say aari karta jaaraha hai..jo kuch mehsus karaana chahti thi zindgi karwa chuki..ab kaunsa sabaq baaqi hai? najaane kaunsa derd baaqi hai...ghumon ko jo jhel jaayen aur unsay khel jaayen...hum kya ab bhi aali himmat ka muzahaara karte rahenge? shaayed haan...per ye kya...ye khamoshi kyon taari hai? ye sunnata kyon moqadar hamaara hai? kal talak jis raaste ke hum raahi they vo kyon ojhal hua jaaraha hai...ek kohra sa aagey peeche kyon nazar aaraha hai...ab aisa bhi kya hogaya..kitne ghum pehle bhi humne jheley they...pehle bhi kitni baar hum is aag say kheley they...per dost kehte they her haal may hamaari khusdili qaayem thi...baaqi thi..ab usi ko kahin khaa na jaaye ye derd ....

Tuesday, January 18, 2011

Lamha-e-Fikr


Jub bhi is duniya ko ghaur say dekha ye kabhi apni lagi hi nahi…mukhtalif zehen, mukhtalif khayaal..jub bhi unhen padha apni nadaanion ka raha malaal…Haaye ri Duniya tuu vo chaand hai jisne khud may Daagh sajaa rakhe hain….Is duniya ne gharz ke asbaab banaa rakhe hain….Aakhir ye samajh kyon nahi jaate….ke baat sirf itni hai…..zindgi ek khayaal ke siwa kuch bhi nahi…..zindgi ek sawaal ke siwa kuch bhi nahi..jisne isey hul kar liya usne khud ko paaliya...jo khud ko mil gaya,usey khuda mil gaya...

Haan ab khud per ek nazar….jub bhi daali rona aaya…humen bhi tou isi khayaali safar ne baarha gumraah kiya hai…usi ke gardaab taley hum dubtey ubharte rahe….isi dauraan ek lamha aisa nasib hua jo inaam tha….jahaan na-aaqibat-andeshi ke liye pyaam tha…fitrat niyaat ka ghumaaz hai…tabiyet inhi ki damsaaz hai…ye qudrat ka tohfa hai..gharz is duniya say kisi taur hum bhi juda na they…kahin na kahin daam-e-fareb ke aseer hum bhi rahe….

Jub bhi khud per nazr daali rona aaya…Na jaane kyon…Na jaane kyon…kahin koi chor chupa baitha tha waan bhi…usey bhi kuch paane ki chah ne sada sangsar kiya…ye sangsaari karam ka natija thi..warna kahaan kisi ko muyessar hai..log khahishon ke peeche puri umr ganwa dete hain..phir bhi haath kuch nahi aata…khaali daman..khaali dil..tishna rooh…kasmakash ke dauraan koii lamha aisa bhi nasib hua jub koi lamhaati jung hum bhi jeet gaye…ye ehsaas usi ka inaam hain…Aur humne yon paaya apni pehchaan ka safar……