Wednesday, May 30, 2012

Mauqa





Maang kar mila bhi magar dil shaad kyon na hosaka  ji...socho kyon....kyon ki bashar ki ye siffat fitri nahi hai...ye uske nafs ki ekhtera hai...khahishon ki saza hai...khuda ne apni takhlikh may koi kami nahi rakhi...bashar nay zyada ke laluch may khud ko bigad daala hai...ab bigdey huye bachon say pareshaan tou hota hai vo...phir bhi ek chahne waala apni chahath ko barbaad hote huye kaise dekh sakta hai....uski bahbudi ki khatir raahen tayeen ki jaati hain...unhen kathin safar say guzara jaata hai...taaki khahishon ka matlab samajh may aajaaye...


Kuch nadan aise hote hain jinhen daanavon ki sohbat bhi badal nahi paai...ek sunehri mauqa ganwa baith-te hain vo...phir kya....maangton ki jholi zaruri nahi ke sada bhari rahe...maangne waale ki niyat per munhasar hai...aksar mangtey ko pesh karne may deney waaley ka imtihaan bhi maqsud hota hai...jahad ektarfa hai...bhaari hai...per khuda ki khushnudi us dil ko pyaari hai...

Is rang badalti duniya may..............









Is rang badalti duniya may insaan ki niyyat thik nahi....waqi likhne waale ka tajziya hayaath aaj bhi saadiq araha hai..mosamon ki tarha badalte mizajon nay tamaashbeen bana rakha hai humen...ab karen tou kya karen...kaash hum itney pahunche huye hote ke kisi ke seene may apna dil rakhte aur kehte....suno ye tum say kitna nalaan hai...ye khud say tak nalaan hai, kyon ki ye bada bebas hai...chah kar bhi chahton ko pura nahi kar paata....bas dekhe jaata hai....aakhir ye raasta manzil paaye tou kaise.....


Khuda ne maangna seekhaaya, pasand kiya ke vo khalikh hai, do jahaan kay badshah nay apni hikmat poshida rakh kar bandey ke aagey pas-o-pesh ki gunjaish hi nahi rakhi...bas bandey ka kaam herkath karna hai...aur ye herkat uski zaat-o-siffat ka aaina hogi...ke aaya uski be-basi darperda mahkumiyet ki nishaani hai ...ye jo nafs taalib-e-duniya hai , uske aage her koi jhuka hai...jo bacha hai vo mehbub rab ka raha hai...

Sunday, May 13, 2012

Hukumat Tujhey Mubarak Ho...



Aaj mai kuch na kahungi...aaj mai tujh ko sunungi....kehde jo bhi tu ne suna hai...bata tune kya kya sahaa hai...waqt tou eksa hi aata hai apni raftaar samet aage badh jaata hai...rukna, teherna,mudna,guzar jaana, badh jaana ekhtiyaar hai tera....bata tu ne kya ekhtiyaar kiya hai....teri mansha kya hai....teri nabzazma raftar kya kehti hai....kya kabhi tune meri ghutan suni hai? kya zabt ka vo samandar kabhi paar kiya hai jiska koi kinaara na ho ? hmmmmm tujhe itni fursat kahaan? 


Dastoor  riwajon ka badla nahi karta.....hota wahi hai jo hota aaya hai...inqilaab ki ummid sirf naaron ko hai...haqeeqatan inqilaab aaya hi nahi.....kahin koi badlau ki jhalak bhi nahi...log wahi hain...unke chalan wahi...aur khayaalaath wahi....koi tabdili kahin dikhaai nahi de rahi hai...soch hai ke apne per hi tamaam hogaii hai...usey aagey dikhaii de bhi tou kaise....kyon ki usey dekhna hi nahi hai...Aah aye khuda tu ne adam ko azma kar is sisile ki jo buniyaad rakhi, us silsile ko badhaane ka zimma teri khalkh ne le liye hai...aur isey bakhubi sanbhala hai...daam-e-fareb may uljh kar....teri duniya kuch aur hi kar daali hai...


Meher tou meherbaan kiya karte hain...ye aam insaanon ke bas ki baat nahi...phir her nazar may karam ki talaash be-maani....her dil may gudaaz ki ummid be-sudh hai...ab ye raftaar insaan may  saraaiyet kar gaii hai...uske paas kisi ko sunne ki fursat hi nahi...vo khud apne andar ka shor tak nahi sun paata phir dusron ko kya sun paayega...ke usey apni manzil paani hai ....vo jo sirf palon ki kahaani hai...vo mahaz chund roza zindgaani hai....aye abadi na bhul ye jahaan, saraa-e-faani hai.............

Thursday, May 3, 2012

Zindgi Ki Shaam





Zindgi kahaan kisi ko sunti hai.....sab zindgi ki suntey hain...chahten kuch aur hain aur zindgi kuch aur chahti hai...faisle kuch aur hain ummiden kuch aur....sar tou her haal may jhukaana hai.....bahar haal is karb say guzar kar jaana hai...karb haqeeqaton ka karb...her zeerooh ne isko saha hai....talkhiyon ka maza sab ney hi chakha hai..zindgi sirf khushion ka ujaala hi nahi....dhalti shaam bhi hai...is mukhtasar say waqfe ko insaan kis tarha guzarna chahta hai, ye taye karna uska kaam hai....


Ghaflaton may waqt ganwa kar, haqeeqaton say nazar chura kar, khud say tak daman bacha kar, aakhir kis taraf safar ka irada hai....umhm....nahi bach paaoge...khud say bhi khuda say bhi.....dekha hai aalihimmat jawaan hausley waalon ko bhi pashemaan hotey huye,is khayaal say ke aye kaash ye waqt hum per say tal jaaye...humen kuch aur muhallat mil jaaye....nahi...nahi...nahi.....uski marzi key aage koi na ruka hai....atal bas uska faisla hai....


So kyon na hum apni kotahiyon per nazar saani karen.....phir say shuru naii zindgaani karen.....jahaan sab kuch uski pasand sa ho....asmaan vo aur banda kamand sa ho....apna masnawi chola utaar phenken....Rab-e-haqeeqi ka banda in masnuwiyaat say jub niklega tab hi kahin apna deedaar kar paayega....khuda bande ko azal say yehi tou samjhaana chahta hai...samjha raha hai....kitne mehbub muddaris tabligh-e-haq ki raah may jaan bahaq huye.....unki koshishon ka hi natija ye soch hai....unki kavishon ka haasil ye zeheni tarbiyet ka ujaala  hai....warna insaan baaqi kahaan rehta.....awaleen khilaafat tou iblis ke haathon may hi thi.....Adam ki amad ne is zameen ko gulzaar kiya.....warna naari ka maqsad tou khaakh karna,khaakh hojaana hai....


her zeerooh ko apna ahad nibhaana hai...jis tarha aaya tha usi tarha laut kar jaana hai....ayebon say kasaafaton say ghilazaton say paak....khuda ke ghar may gandagi daakhil kaise hosakti hai....so is mayel ko saaf karne ka wahed amal yehi hai....humawaqt maut ko yaad rakha jaaye.....aakhiri lamha bhi apna nahi hai...ye lamha jahaan ye soch ubhari hai bas yehi apna hai...so isey apnane may hi aafiyet hai....raah-e-falaah yehi hai khud ki bhi auron ki bhi falaah karte chalo...phir her qadam manzil hai.....mehbub ki.....