Wednesday, June 20, 2012

Naya Mod






Aye mere Dost, Aye meherbaan...Aaj phir tujhe karne chali hun mai pareshaan...kya karun...zindgi roz kuch na kuch le kar hi milti hai....aur mai tahidamani ka rona ro bhi tou nahi sakti...isliye baghair kisi etraaz ke us ke liye apni baahen waa karti hun....aur vo mere gale lag kar mujhe mujh say alag kar jaati hai....


Aaj her vo rishta jo rag-e-jaan say juda hai kyon ajnabi dikhaii de raha hai...aur mai inke aas paas hokar bhi khud ko tanha kyon mehsus kar rahi hun...konsi haqeeqat samjhaii jaa rahi hai...ab ye sitam dar sitam waali baat hogaii Maula....ye rishte jo khoon say seenche gaye they aaj unki raahen alag hosakti hain....manzil nahi....


Ye raaste naye mod say mil kar apni raah lenge...ye kahaan socha tha....ab agar yehi taqdeer ko manzur hai tou yehi sahi....mai tayyar hun Maula..ke mujhe faqat tera ishaara darkaar hai...ye rishte jo tere bakhshe huye hain, inhen her waqt mai darkaar hun...aur mujhe ? kya mai inki talabgaar nahi hosakti? kabhi koi kaandha mujhe bhi chahiye hota hai....vo bhi tab inhi say juda hua koi rishta nashtar ban jaata hai....vo zakhm bhala kaise mandmal hoga jo khud apnon ne kureda hoga...


Khuda apni mohabbat ko yon ashkaar karta hai....Mai her rishte say bartar hun....meri mohabbat kisi sabab ya gharz ki mohtaj nahi...meri beniyaazi may hi meri fayaazi poshida hai....mujhe her haal may apne bande ki sachi khushi maqsud hai...mai usey hirasaan nahi dekh sakta....isi liye mera banda jitna jald hosake apni haqeeqaton ka nazaara karle....taaki koi shikaayet baaqi na rah jaaye....jub vo mera ho tou haqeeqatan mera ho....


Aur usne yehi tou samjhaaya hai....uski is inayet ka koi niyam-ul-badal ho hi nahi sakta....ke usne apne adna ko ye ehsaas de kar khaas karliya....

No comments:

Post a Comment