Friday, July 16, 2010

Tuu Jaanta Hai.....


Baghawaton per na kabhi yaqeen tha jisey, uske jism ne baghawaton ki thaan li..aaj ek khush-gawar mizaaj ne chupke se apni badalti tabiyet ki baat maan li...yon bhi tou ekdin hota hai..yon bhi ek daur aata hai..kal talak jis niyamat ka na ehsaas tha,aaj vo lagne lagti hai qeemati...uski rehmaton ke tale kitni zindagiyaan panap utheen..kitne dil sakun paa gaye..kahin ye niyamaten chin gayeen...kahin rehmaton ne kaha,tuu ne haq na ada kiya...yeh hai uski saza...nahi nahi...maula abhi nahi....abhi tou kuch kaha nahi...abhi tou kuch suna nahi...


tere ilzaam sab bajaa...hum khaakhi khatavon ka dher hain...per tujhse hai yehi iltija....jiske qaabil samjha tune humen,us ke liye kuch muhallath tou miley...zara taaqaten juta tou lun...zara tawanaii ko awaaz dun...mere hauslon ki jo jaan hain,un mohabbaton ka mai naam lun..kitne firqon may hai bati..kitne hadison may ghati..phir bhi mehak rahi hai her kahin...tujhey bas unhi mohabbaton ka waasta...mujhe miljaaye mera raasta....manzilon ki nahi chah hai...ke her raasta khaas hai...jo tujh tak aa mile..ke tu shah-e-rag se bhi paas hai..tu jaanta hai zaruraten meri..tu jaanta hai meri Dua....

No comments:

Post a Comment