Friday, July 12, 2013

Pehchaan Azmaton ko..........





Vo lafz jo azmaton ka shahid hai aksar heech lagne lagta hai...kya koi rutba hone say hi haasil hojaata hai...us rutbe ka ahal hona bhi shert hai...ab misal ke taur per koi promotion kisi ko isliye milta hai ke vo is taraqi ka ahal hai...warna vo jahaan tha wahin ka rehta...is rutbe ki ahaliyet hi usey is rutbe ke qaabil karti hai...warna vo apne moqam say aage nahi badh paata...

Khuda ne soch samajh kar hi rishte banaaye aur insaanon ko insaanon ke hawaale kiya..taaki vo ye dekh sake ke khilafaton ko paane waale kub uske khilaaf jaate hain...kahan vo uski sherton say mukar jaate hain...kub apni hirees bhare nafs ki shaitaan tabiyet ka shikaar hokar apne hi gosht post ko noch khasot daal-te hain....yehi wahashat hai...yehi nafsaani khahishon ki ghulaami humen hum say door kar deti hai....Kash her azeem rishta apni azmat ko samajhta aur usey barqaraar rakhta phir kahin bad-amani na hoti...na hi koi apnon ke hote huye unki adam maujudgi ka gila karta...

Ek aisa rishta jo kisi dore ki tarha sare rishton ke kal purzey jode rakhta hai, agar wahi dor cutni shuru hojaaye phir kal purzon ka kya, vo bhi bikherne lagte hain...phir koi saancha uski asli haieeat may nahi milta..."pehchaani huii surat bhi tab waqi pehchaani nahi jaati."Ek us rishte ki beraah rawi sab ko le doobti hai...khuda ki hidaayet jin badnasibon ko nahi milti unka rona her vo dil rota hai jo uski zad may aagaya ho...

Dil her ek ka eksaan hi dhala....insaan ko baqaul khuda ke sada uski fitrat ne hi chala..aur ye rangarangi fitrat insaan ko azmaane ke liye hi bakhshi gaii...aur insan apne rutbon ka najaayez fayeda uthaate huye ye bhul gaya ke vo asmaan waala her ek per nazar rakhe huye hai...yehaan zikr rishton ke rutbon ka hai...log aksar lebel lage product say dhoke kha jaate hain...aksar vo nahi milta jo dikhta hai...patta nahi dil waqt aur halaath ke saath kyon kar badal jaate hain..

Eksi mohabbat lutaane waali hasti bhi tafreeq aur niffaq may ulajh kar apni haqeeqat say cut jaati hai...kaash kum say kum is rishte may tou azmaish na milti...phir kis rishte per yaqeen kare koi...jub panah-gah hi mehfuz na ho tou phir konsi jaa-e-panaah dhunde admi...jub vo daman jisey nichodte tou farishte wazu karte us daman ki rangat badal jaaye tou konsa daman thaamega admi...per ye tou honi hai hokar rehti hai...Aina rubaru ho aur manzar ojhal hojaaye tou phir tareekiyon ke siwa kuch nazar nahi aata...Ujalon ki aas may andheron may satpataate hua admi kisi andekhe haath ki tawaqa kahaan karta hai...vo tou wahi maanus lams chahta hai jahan sakun mila karta tha...vo haath badhta bhi hai tou taalib ki tarha....aur khuda ka fermaan hai uski talab puri kar...chahe tere nafs per giraan guzre...kinaare kinaare kuch haasil nahi hota....doob kar hi safeena haath aata hai...

aksar hum ko doobaya hai apne hone ne
warna kinaron ko hum say shikaayet hoti

No comments:

Post a Comment