Wednesday, July 17, 2013

Chaand si zameen aur vo asmaan sa...







Vo zindgi jo kabhi ji hi nahi…kahin door khadi raah tak rahi hai..kya kabhi vo raah milegi bhi…ya phir yon hi cut jaayegi jaise abhi tak cuti hai…khud say be-perwah…khud say nalaan…khud say naraz….khud say khush….khud say shikayet….hmmmmmmmmm…..zindgi tu ne kahan diya mauqa…do lamhe teherne ka….mud kar dekhne ka….ke kya kya chod aai hun mai…khud ko bhi….mai kahaan mili in dinon….sab ko lagta hai ke mai mili hun…umhm….nahi tou…ye mai nahi hun…mai kahin rah gaii hun…jahan ki arzoo thi..usi jahaan may….wahin mile they mujhe dono jahaan…jahaan mai khud say mili thi….phir kisi ka hosh nahi tha……khud ko daryaft karlena kisi mearke say kum nahi hota…..aur maine khud ko daryaft karliya…us ek lamhe ne us jahan ki sair kara di….jo sirf khwab tha…hawason ne pehli baar uska maza chakha…maine pehli baar chaand ki zameen per qadam rakha…

Aaj jub bhi zara hosh ke lamhe milte hain tab khud say poocha karti hun...ye kya kar rahi hun mai...kahin is qeemti waqt ki naqadri tou nahi...jo ek baar nikal gaya tou phir haath nahi aata...hmmm waqt ko kahan gina maine...khud ko kahan suna maine...jub talak khwab they madhoshi thi, jub khud say mili tou bekhudi mili...aur sairi ne aseeri ka matlab samjha diya.....ke sairi ek aisa surur hai jiska moqabla koi nasha nahi kar sakta...Koi sada rahe kisi ke saamne , koi kahin kisi khayal ki giraft may rahe....koi talab bhi nahi rahe, magar talab-ju ki talaash-o-justaju kahe...ho na ho baaqi hai abhi ye adhuri daastaan..Anjaam say pehle kaii marhale aayenge...jo mujhe jaane kahaan kahaan le jaayenge...

Daur chahe jonsa bhi ho , rooh perwaz paaleti hai....soch ka daayera kabhi nahi simat-ta...jism waqt ki zad may asakta hai...dil nahi...uska her kona apni tamamtar failen(files) mehfuz rakhta hai...ab tak kya kya ghata...zindgi ne kitne mauqe ganwaye, hauslon ki chah ne khahishon ki rassiyaan kub kub kaat deen...waise bhi jahan khahishon ka guzar ho wahan manzilen gum hojaaya karti hain....hosh per perde jo pad jaate hain..

"Sochne aur samajhne ki muddat ka naam hi Zindagi hai"..

Waqt ek muhallat hai daryaft ki...jism ek zarurat hai bazyaabi ke liye...rooh pehchaan hai apne asal ki...isi murakab nay haqeeqat ko ashkaar kiya hai..gar samjho ...aur mai samajh samajh kar bhi jo na samjhe aisi nasamajh hun..bahut say honge...mujh jaise...jinhen mauqa milta hai...luta dete hain...kyonki aise jazbaati log kache saudagar hote hain...khuda ne barha apne bandon say kaha....her rishte say bartar tera mera rishta hai...khuda bande ka....abad-o-ahad ka....aur banda is ek puryaqeen aur hameshgi waale rishte ke siwa anginnat rishton ko nibhaane may ulajh kar khud ko ganwa baith-ta hai...per haqeeqat yehi hai ....is jahaan ya us jahan ek apna wahi hai..

No comments:

Post a Comment