Monday, October 26, 2015

Qismat




phool kya kaanton may bhi khushbu jaage
tum apne khayaal badal kar to dekho


jaane ye daur kaisa hai, soch tak kahin teherti nahi, khayal kabhi haasil ho bhi gaya tou pareshan hojaata hai..aakhir in insanon ne insanon ko unki asal se juda kar hi daala...".qul-awzu-birabil-falaq ' ka vird muh tak raha hai...aakhir kis kis ko rokun..log asaniyon ke dildada....asaan nuskhe azmaate hain...koi teer jub chalta hai tab us teer ki pusht per jo nishan reh jaata hai teer kabhi nahi bhulta....ke kaman per dastaras chahe insan ka sahi per shikaar per nahi hoti..ho bhi jaaye tou zakhmi ke her zakhm ka hisab liya jaata hai...aur uska hisab bilkul seedha hai...zakhm ka badla zakhm...teer ka badla teer....taaki us teer ki taseer se chalane waala bhi waqif ho...na ye ke chala kar bhul jaaye...ektarfa itminaan thik nahi hota....dusre taraf ki kaifiyet se waqif hona bhi hota hai...so mere dosto...jahan bhi is qisam ki koi wardath dekhne ko mile....naseha zarur banen...waayez banen....daana dost banen...


Baat sirf itni hai ke koi dil kisi aur ki targheeb per herkat nahi karta, ye tou raza-e-ilaahi ki hukumat hai...siwa uske koi uski dhadkanon per qabza nahi kar sakta...haan albatta koshishein zarur karta rehta hai ke koi lamha uski giraft may aajaaye, koi lamha uski kisi kamzori ko paa jaaye....bas us kamzor lamhe per ek waqti hamla hi muyassar aajaaye....aur basa awqaat aisa hota bhi hai...aur khuda ki zara si dheel ko apni kamyaabi samajhne waale muzar asraath ye bhul jaate hain ke hum us waqt tak maujud rahenge jub talak ki ijazat hai....agar koi nekdil aah bhi karde tou phir giraft hakim ki aisi hogi ke phir banaaye na banegi....


Ulti hojaayengi sab tadbeerein na dawa kaam karegi na dua....so meri maano mere nadan dosto, in asaan tarkibon se bacho jahan sarasar tumhara ghaata hai....khuda ne socho kis liye achaii aur buraii ko do hisson may baanta hai...her surat may jeet tou achaii ki hai sachaii ki hai....so samjho ke chund roza zindgaani may kya kya paana hai...ya khaali haate aaye they khaali haath jaana hai?

Chund  rupon ke iwaz khudaii fermaan badalne ka koi daawa nahi kar sakta....ektarfa rudaad se koi kisi ke saath insaaf nahi kar sakta...aur fareeqain ki ghalath bayaani ka andaza bhi nahi lagaaya jasakta...so aisi asan tarkibon se daulath to haasil karloge...qismat nahi, hikmat nahi, ke waan kisi ka zor nahi chalta....ulta be-imaan hojaaoge....duniya se to jaaoge hi jaaoge, khuda se bhi door hojaaoge...

Agar waqi kisi ke kaam aana hai tou pehle dilon ko tatolo, phir unki niyaton ko tolo, phir khuda ki raah per holo, aur jub bolo tou haq ki khaatir bolo...Yon nahaq  khuda ke kisi bande ki zindagi se na khelo...


No comments:

Post a Comment