Monday, October 26, 2015

Mohabbat ke vusul




Mohabat maani-o-alfaaz may laai nahi jaati
ye vo nazuk haqeeqat hai jo samjhaii nahi jaati

Najaane kitne dilon ka ye armaan hai ke, aye kaash mujh per bhi kabhi ye inaayet hoti, aye kaash mujh se bhi kisi ko mohabbat hoti...ke mohabbat ka nazaara hi jub itna haseen aur surur bakhsh hai to phir mohabbat paa lene waala ehsaas kitna khubsurat hoga...per aye hasrath-e-junun , tu ghum na kar....ke khuda ne kuch soch kar hi ye mehroomi un dilon ke hisse may likhi, taaki vo mohabbat kisi ek ke liye mehdud hokar na reh jaaye, us mohabbat ko wussat bakhshi jaaye, aur waan ek duniya simat aaye....aur ek alam is azmat ka maza paaye...mohabbat waqi pehchan ki raahen tayeen karti hai...mohabbat jub but-ti hai tab kahin jaa kar phal phul kar jawan hoti hai, aur yaqeen maanein vo ehsaas junnat ke khwab se zyaada khubsurat hai jahaan anginnat dilon ki raahath pesh-e-nazar ho....


Aksar pyaala lubon tak aate aate khinch liya jaata hai, aur pyaasa apni pyaas ki shiddat ka ehsaas karne se bhi pehle mayusi ki daldal may phansta chala jaata hai, phir uska mauf -o-maghlub zehen kuch sochne samajhne ke qaabil nahi rehta...bas shikwa vird ban jaata hai...ghum khaana ansu peena adat ban jaati hai....ek umr ganwa kar mohabbat ko samajh aati hai....ke khuda ne apni hikmat ki kasoti mohabbat hi rakhi hai...."dilon ko tod kar ek naya jazba bedaar karna aur us jazbe may khud aap jhalak uthna.....ke ye khudaii jazba hai apne derd se bekhabar hokar dusron ke derd se bakhabar rehna..aur ye mohabbat ka hi kamaal hota hai jo ishq may mashuq ki jagah mehbub le le....her taraf apne mehbub ka nazara kar le...ke jahaan her nazar mohabbat ho, jahan her dil ishq ki surat ho, phir kya zaruri hai ke tujhe ab bhi mohabbat se shikayet ho..".


Loag to mitti ke hain....magar unki rooh noorani, unki siffat asmaani...magar apni pehchan se pehle khud ko mitti kar lena haq-e-mohabbat nahi hai na hi efa-e-ahad hai...so jub bhi dil mayus hone lage, hasratein behkaane lagein ek lamhe ka tavafuq zaruri hai, "wahi ghaur-o-fikir ka ek lamha mohabbat ko ibaadat kar dega, mohabbat ko sakhawat kar lega."..


Mohabbat sirf apne dil ki farhath nahi hai...mohabbat sirf ek dil ki daulath nahi hai...mohabbat samjho tou jog hai warna roag hai....duniya-o-mafiha se bekhabri mohabbat nahi hai..."bulki aqal-o-faham ki binaii ko jila bakhshne waali, aur dilon ko manzil kar lene waali raah hai mohabbat "...

Ek umar ganwa kar, apni hasti ko qiston may bhula kar, apne sisakte huye armaanon ko ek naii raah dikha kar, Duniya se apna boseeda ,berang ,malgaja daman bacha bacha kar, Aah ! aye mohabbat tujh ko kitne rangon say sajaaya humne...her rang may aks rangrez ka paaya humne....

No comments:

Post a Comment