Thursday, November 14, 2013

Yaqeen ka martaba



na pooch mujh say surat mere yaqeen ki
wahi surat hai sajdon may meri jabeen ki

Basa awqaat aisa bhi hota hai ke insaan apni zindgi may pesh aane waale nagawar waqiyaat aur taklif deh haalaath ka saamna karte huye khud ko tutne say bachaane ki jad-o-jahad may unhi halaath ka pehlu aur apna zaviya-e-nazar badal kar rakh deta hai taaki zindgi ki mushkil ghadiyon ko jhelne may asaani ho...aur dusre apni tawaqaat ki haar na ho...yaqeen ka tutna ek pyaasa muntazar dil sahaar kaise sakta hai...koi na koi ummid kisi na kisi shakal may insaan ka jeena asaan kiye rakhti hai...aur sab say badi aur afzal baat ye hoti hai ke usko is baat ka sau feesad yaqeen hota hai ke Rab-ul-Alamin apne bandon ke ahwal say bekhabar ho nahi sakta...gar mushkilen aai hain tou asaan bhi hojaayengi...aur in mushkilon say guzarne ka safar taye karne ke liye jo darkaar hota hai vo anokhe andaz may jub pesh hota hai tab waqi banda bekhabar hota hai ke ye nazar-e-iltifaat rab ki bande say mohabbat ki dalil hai...ke vo zakham ba marham pesh karta hai...aur insaan marham paa kar zakhm bhul jaata hai ...ye karigiri hikmat-e-ilaahi ki sab say kargar saabit hoti hai...

So yaqeen ki kaii suraten hoti hain aur kaii shaklen...aur is yaqeen ka beej mokhtalif andaz may boya jaata hai...phir laakh manzar uske yaqeen ko jhutlaayen vo apni jagah say tas say mas nahi hota...vo gunj ban jaata hai...uski baazgasht sakun ka samaan hoti hai...so yaqeen ki koi had nahi hoti..ke koi kis had tak kis per yaqeen karta hai...ya kar sakta hai...bas hota hai khuda daad yaqeen...haq shanaas yaqeen...nafs sarbuland ho hi nahi sakta jub tak imaan salamat hai..ye waswase ye badgumaniyaan ye shak-o-shubahaath ye tamam apni jagah per durust bhi hosakte hain kyonki jub tak ankhon ko mukamal nazara na mile usey sab kuch nazar ka dhoka hi lagta hai..".Fareb khana tou dil ki purani aur azli adat hai.". so her shaye ki haqeeqat khojte waqt inhi shubahaath ki wajah say usey paa nahi paata....aur apni zindgi ka behtreen aur karamad waqt isi beyaqeeni aur shash-o-panch ki nazar kar baith-ta hai..Jo wazah tasweer pesh hochuki hoti hai us say  nazar mehroom rah jati hai....pachtawe say behter hai yaqeen ki surat....

Raha Mera yaqeen jiski sab say yaqeeni shahid khud meri hiss-e-jamaali hai...ke usne mujh per ye meher kuch soch kar hi ki hogi...taaki mai gawah rahun apne tamamtar sawalon ke jawabaath ke saath....

na unke lub hile na koi junbish-e-chasm-e-khamoshan
mai hairaan hun vo bayaan tha darkhashan darkhashan


justaju jinke mizaj ka khaasa hoti hai unki justaju ka haasil aksar mujasim hojaata hai....aur unka jawab paheli ban kar rubaru hojaata hai..jo manzar may kho gaya bas vo kuch na samajh paaya...jisne is amal ke maghaz ko paaliya bas usne phir sab kuch paa liya....Rab-e-kareem ki rahmat ka ehsaas paa lena bande ki mukamal najaat ka samaan hai..

No comments:

Post a Comment