Sunday, July 29, 2012

Shor







Zindgi...........tune mujhe phir thaka diya...meri jaan nikaal li tu ne...ye kya kya manzar tu ne dikha diya....socha tha ke jo mushkilen theen khwaab theen..tune unhen haqeeqat bana diya.Aah ! ab her saans ek azaab hai.......her muskurahat hai saza...tune khaakh say utha kar khaak may mila diya....Arzoo ab ke kisi aur ke liye ki thi dil ney,,,tune usey bhi mita diya..hmmmm mushkilon may sabar...derd may bhi shukur.....yehi raah rahbar ka paighaam hai....samajh gai hun mai...per is dil ka kya karun jo derd may rota bhi hai.....kisi aur ki khushi chahna gunah tou nahi.....hmmmm tu jaanta hai wahi hai meri khushi...so ye arzu bhi hai meri...mujhe in ka matlab samjhana chahta hai tu....mai samajh gaii hun Maula.


Mai ab teri tarha khamosh nahi hosakti.....ke tu mere shor ka muntazar jo hai...maine awaaz uthaii hai haq ki ....maine jawaab talab kiye hain her us dil say....jisey sahi aur ghalath may koi tameez hi nahi....vo zubaan jo khalikh ko pukaarti ho ,gar wahi zubaan apni zubaan say phir jaaye, ye kaise gawara kiya jaa sakta hai...fehmaish zaruri hai..tanbih islaah ki khatir hoti hai..aur islaah bahbud ki nishaani hai..jo falah-o-bahbud ki khaatir kiya jaaye vo amal khuda ki ain marzi ke mutabiq hota hai....so vo jo chahega karwalega.....mai jo chahungi wahi hoga jo vo chahega.....ke jub husn-e-amal ke pas perda nek niyati karferma ho tab dua manzur hoti hai...Ameen.

2 comments:

  1. Dear Ms. Rehana,
    mein shayar wayer nahin huen, ek insaan hun or insaniyat to pujta huen, badhana chahta huen. Aapke kalam (ya jo bhi kehen) padhe, dil ko chu gaye, chahta hue ki hindi akhbaro me ya magzino me pesh karu taki jo log net per nahin ja sakte, bhi padhe, ijjat chahta huen, jahan bhi poublish hoga, aapke nam se hoga, regards - darshanji@gmail.com

    ReplyDelete
  2. Ajib baat hai jahaan panaah..qismat meri aur faisle uske....yeh bhi khoob hai....achi baat hai...lafz khayaal aur ibaraten.....aur inka haasil.....behter rang laayen is say behter kya ho sakta hai..

    ReplyDelete