Thursday, January 16, 2014

ye khayal hai khayal ka...







Mosam-e-bahaar ka nazara waqi farhath bakhsh hota hai.Isi liye iski tashbeeh khushi say ki jaati hai..Per khushi kya mosamon ki tarha tayeshuda lamha hai? Khuda jaane...Per khushi ka her lamha apna hi mosam hota hai..Jo dil per chah jaaye tou chehra gulzar hojaaye...jo nigahon may sama jaaye tou mahol purbahaar hojaaye...Kisi ne ye dua di ke ab ke khayaal apni rut na badlen...in per bahaar her mosam may eksaan khili rahe...Kaash dil per itna qaabu paaleta insaan taaki usper mahol ka koi asar na ho, na kisi ke suluk ka, per aakhir dil hi tou hai...inki zad may aa hi jaata hai...vo ek khayaal jo khushi ka sabab hota hai vo us khayaal say bhi koi waada chahta hai ke aye mere humnasheen mai her waqt tere saath hun, tujh may maujud hun...chahe koi bhi mosam aaye mai tujh may mehek uthun....kya ye waada hai?

Ye dil bada paagal hai ya isey paagal samajhna pagalpan hai...Haqeeqat wahi hai jis ka ehsaas ho, warna sab khwab hai.khayaal usi haqeeqat ka safar hai..ye safar bil-ghaib hai.Hota bhi hai aur khabar bhi nahi hoti...so is khayaal ki haqeeqat say nibah hi zindgi  hai.

No comments:

Post a Comment