Wednesday, March 13, 2013

Ain-ul-Haq





Maine logon ko merte huye dekha....per logon ko unhen yaad karte huye nahi dekha...Ek insaan jo kal tak saansen le raha tha, jis say her rishta juda hua tha, jis ka her rishta talabgar tha, jiska hona niyamat say kum nahi tha, jiski ahamiyet apna juwaz rakhti thi, vo aaj zehen-o-dil say rukhsat hota hua dikhaii diya...Ye hote hain Duniyavi rishte jinki chah may hum dono jahaan bhula dete hain aur isi ghalathi ki padaash may hum say dono jahaan choot jaate hain...Kaise nadaan hain hum....Her sauda ghaate ka kar baith-te hain...


Na khuda hi mila na visaal-e-sanam
Na idher ke rahe na udhar ke rahe

Gar kisi ko parakhna ho tou mar ke dekh lena chahiye...per kya kijiye zindgi bhi dobara milegi nahi...so jo karna hai abhi karna hai....so Her kisi ki maut hi is baat ki gawah ban jaati hai ke khuda bande ka rishta kya hai...Aur bande ka is duniya say kya waasta hai..Zara ain-ul-haq ka nazara kar len...phir her jazbe ki haqeeqat wazah hojaayegi...

Akhir in chund saanson ka taqaza kya hai...jub tak ye chalengi inhen apni mehek chahiye...dehak chahiye...apne hone ka yaqeen chahiye...chaliye yaqeen aa bhi gaya....per kya in ki sahi qadar kar paaya hai bashar....warna apna ye hashar na karta...ek insaan ki soch hi uski zindgi taye karti hai..usey wahi milta hai jo vo chahta hai...chahaten gar ghalath huyeen log bhi ghalath hi milte hain..log gar ghalath milen phir zindgi ghalath raaston per chal padhti hai.Aur ye raaste kabhi sahi aur asli manzil nahi paate...bas bhatkan nasib hoti hai..

Zindgi aur maut sirf samjhaane aati hain..aur hum hain ke jeete ji kahan samajh paate hain aur mar kar sirf dekhte reh jaate hain..Duniya sirf tamasha hai aur log tamashaii....yehan her rishta sauda hai aur rishte saudaii...in may ulajh kar kisi ne uski ulfat nahi paai...Kaash aye kaash baad az maut kisi pe kya guzarti hai isey her pal banda yaad kar leta phir jeete ji ye mauten kabhi nahi marta...koi kisi ke liye nahi rota....jo kal tak jaan say tha pyaara usey baad marne ke pal bhar gawara nahi hota.....

Maana her shaye faani hai...is jism ki bhi bas chund roza kahaani hai....zindgi ki mukhtasar jawani hai....magar jo apni hasti ki perwa nahi karta duniya bhi usey faramosh kar deti hai...So aisi duniya ke peeche apni hasti ganwaii bhi tou be-maani....gar ye nesti raah-e-khuda hoti phir usi may khuda bande ki ulfat ki wafa hoti...aur apni is khaak hasti ki baqa hoti...wahi insaan ki asal irteqa hoti....Kahan hum yaad rakhte hain mohabbat ke usulon ko.....meheboob hai yehi itba apne jaan say pyaare rasulon ko...

No comments:

Post a Comment