Friday, February 1, 2013

Koo-e-Yaar





yeh vo waqt hai jo jaan talab kare
 makeen nahi ye makaan talab kare


Koo-e-yaar tak ka safar dekhiye kahaan kahaan say kin kin raahon say liye jaata hai...Jo sab ko nazar nahi aata vo us nazar ko nazar aata hai jiski nazar koo-e-yaar per jumi huii hai...Badalte halaath aur guzarta waqt bhale hi uske hawaas kamzore kardein usey itni khabar zarur hai ke vo herdum uski nigaah may hai...uski nadaaniyaan, uski qurbaaniyaan, uski kotahiyaan, uski achaiyaan sab sab say bakhabar hai vo....Magar ye ehsaas us waqt ghaafil rehta hai jub bekhabar badhawas hota hai...Usey muhallat hi nahi milti soch ko samjhaane ki...

Aye mere makeen, tujhe bhi khoobter ki hi talaash hai...phir tera deewana kyon kar na ye siffat paata...usey jub hersu tu hi tu hai nazar aata....Haan mere Dost, in numnaak palon may bhi tu hi mujhe yaad aaya...ke teri nigaah say kuch bhi chupa nahi hai....jo derd ko nazarandaz karde vo khuda nahi hai...Mujhe naaz hai ke tu mera khuda hai, aur mai tera muddua hun....haan...ke tune bani adam ko ek khaas maqsad ke tahat jo paida kiya hai tune....Sadaq Allah-ul-Azeem.

Haq aur sadaq dono gar khamosh hogaye phir tou baatil muhzor hota jaayega...Jub ke jahalath  ka saamna khamoshi say karne ko kaha gaya hai..us khamoshi ko darr maan kar kahin vo apna seena taan kar apni tana-shahi per maghrur na hojaaye...Yehi ghurur ek sar say dusre sar ki talaash may jut jaata hai taaki vo banda jiska sar sirf khuda ke aage jhukta ho uske saamne jhuk jaaye...So teer bhale jigar na chhale per dil per tou chale...

No comments:

Post a Comment