Monday, December 31, 2012

Naya Saal






Zindgi sirf ek khush-aaind mustaqbal ka khwaab nahi hai..bulki aapke sawaalon ka jawab bhi hai...tou Dosto, is naye saal say aapne jo bhi ummiden wabasta kar rakhi hon vo sab khuda kare ke puri hone ki muhallat aapko mile..Aur aap waqt aur wajud ka maqsad jaan paayen..Ek lamha, ek soch, ek koshish, phir her lamha rehmat hi rehmat, bakhshish hi bakhshish..

Khwab gharonda hain....wahin tou arzooyen rehti hain...jo kamzor palon ka hausla badhaati hain...aur ye hausla aane waale her lamhe ko milta rehta hai...warna zindgi zinda reh nahi sakti....Derd ka bojh khwaab hi uthaate hain....Aane waale kal ki chaadar taane kitne dil so nahi paate....bas lubon per duayen sajaaye, ummid ka diya jalaaye, choti choti khushion ki hasrath may khud ko jalaaye rakhte hain...meri dua hai un dilon ki her baat Rab-e-kareem sun le...un khwabon may apna basera karle....un raaton ka sawera karde....Ameen.

Maine ab in aate jaate saalon may khud ko paana chod diya...vo" Mai " jo kabhi hua karti thi, vo ab aur kahin rehti hai...ye duniya uski mehefil nahi hai..uski mehefil kahin aur saji muntazar hai...abhi haaziri talab nahi huii hai...Haan is duniya say wabastagi ka ek sabut hai un chund gine chune logon ki lamhabhar chahat, unki pal do pal ki yaadawari, jo mujh say kehti hai ho na ho wahin say zindgi ke kuch aur sabaq mujhe milenge...ke jub talak dil laga rahega, dil nahi rahega...ke aisa ho hi nahi sakta ke milkiyet kisi ki ho aur chaakri kisi aur ki kare...so shert mohabbat ki yehi hai ke mujassam iqraar ban jaa...warna koi shikaayet nahi...ke maalik-e-kul kaainaat ko is adhe adhure taalib ki zarurat hi nahi...

No comments:

Post a Comment