Thursday, May 3, 2012

Zindgi Ki Shaam





Zindgi kahaan kisi ko sunti hai.....sab zindgi ki suntey hain...chahten kuch aur hain aur zindgi kuch aur chahti hai...faisle kuch aur hain ummiden kuch aur....sar tou her haal may jhukaana hai.....bahar haal is karb say guzar kar jaana hai...karb haqeeqaton ka karb...her zeerooh ne isko saha hai....talkhiyon ka maza sab ney hi chakha hai..zindgi sirf khushion ka ujaala hi nahi....dhalti shaam bhi hai...is mukhtasar say waqfe ko insaan kis tarha guzarna chahta hai, ye taye karna uska kaam hai....


Ghaflaton may waqt ganwa kar, haqeeqaton say nazar chura kar, khud say tak daman bacha kar, aakhir kis taraf safar ka irada hai....umhm....nahi bach paaoge...khud say bhi khuda say bhi.....dekha hai aalihimmat jawaan hausley waalon ko bhi pashemaan hotey huye,is khayaal say ke aye kaash ye waqt hum per say tal jaaye...humen kuch aur muhallat mil jaaye....nahi...nahi...nahi.....uski marzi key aage koi na ruka hai....atal bas uska faisla hai....


So kyon na hum apni kotahiyon per nazar saani karen.....phir say shuru naii zindgaani karen.....jahaan sab kuch uski pasand sa ho....asmaan vo aur banda kamand sa ho....apna masnawi chola utaar phenken....Rab-e-haqeeqi ka banda in masnuwiyaat say jub niklega tab hi kahin apna deedaar kar paayega....khuda bande ko azal say yehi tou samjhaana chahta hai...samjha raha hai....kitne mehbub muddaris tabligh-e-haq ki raah may jaan bahaq huye.....unki koshishon ka hi natija ye soch hai....unki kavishon ka haasil ye zeheni tarbiyet ka ujaala  hai....warna insaan baaqi kahaan rehta.....awaleen khilaafat tou iblis ke haathon may hi thi.....Adam ki amad ne is zameen ko gulzaar kiya.....warna naari ka maqsad tou khaakh karna,khaakh hojaana hai....


her zeerooh ko apna ahad nibhaana hai...jis tarha aaya tha usi tarha laut kar jaana hai....ayebon say kasaafaton say ghilazaton say paak....khuda ke ghar may gandagi daakhil kaise hosakti hai....so is mayel ko saaf karne ka wahed amal yehi hai....humawaqt maut ko yaad rakha jaaye.....aakhiri lamha bhi apna nahi hai...ye lamha jahaan ye soch ubhari hai bas yehi apna hai...so isey apnane may hi aafiyet hai....raah-e-falaah yehi hai khud ki bhi auron ki bhi falaah karte chalo...phir her qadam manzil hai.....mehbub ki.....

No comments:

Post a Comment