Monday, April 9, 2012

Mohabbat Martaba hai....





Mohabbat martaba hai...ye jisko bhi mila hai...wahi insaan hua hai...ghanimat jaan ke koi nazar teri jaanib uthi...tu is daayere-e-ulfat may aagaya....

Taayer tou bas udaan bharna chahta hai...par aur perwaaz say bhi pehle jazba-e-shauq bakhsha gaya....phir asmaan....tab kahin perwaaz buland huii...be-simt hi sahi safar tou raha....phir is safar ko simt bhi nasib huii...ke humsafar ko tou milna hi tha....usi raah per tujh ko chalna hi tha...le jaane waala tou baani-e-ulfat hai...jaane waala daam-e-ulfat ka giraftar....is marhale ko taye hona hi tha...baghair is ke pehchaan ki raah kaise nikalti....baghair pehchaan ke  baat kaise banti...

Phir sochna kaisa...mohabbat karne waale socha nahi karte...bas azam kartey hain...mohabbat karne waale aahen nahi bhartey...bas mohabbat ka dum bhartey hain...

Ehsaas jub khushi dene lage tou samajh ke tune raaz paaliya....baghair kisi talab-o-arzu ke dil raazi ba raza-e-mohabbat rahe, yehi mohabbat ki asal kamyaabi hai...jahaan ye jazba jalwa-numa hua wahin khuda ki ronumaii hai....jahaan vo ronuma hua samjho bande ki ban aai hai....

No comments:

Post a Comment