Wednesday, December 24, 2008

Idd-e-Baqar




Assalam walaikum Dosto....darasal aaj hum aap sab ko ye bataane aaye hain ke ye sawal-o-jawab ka dilchasp silsila humaare idd-e-baqar ke mauzu per hua tha...aur hum se hamaare khayaal maange Gaye they...taaki hamaari shaksiyet ka andaza lagaya jaa sake....😊 Aur hum us waqt waqi bade saada they ...apni ru ki leher may behte chale gaye....aur hum se ye mazahiya jawab mausul kar liye gaye....yaqeenan aap sab bhi hiz uthatenge...


jub ke aap ne poocha hai ke idd-e-baqar per hum kya kya karenge....lijiye hum ne bhi soch liya hum kya kya karenge....pesh-e-khidmat hai"hum kya karenge"

Hmmmm..jawab number ek…qurbaani ke waqt janwar ki merzi poochi nahi jaati aksar…magar hum pehle bakrekhaan se ijazat talab karte hain..miyaan aap ko esaar pasand hai k nahi…agar bakre miyaan confuse dikhaii diye tou unhen dalilon se samjhayenge…ke Allah ko pyari hai qurbani…aur rishton ko tou aur bhi pyaari hai qurbaani…khuda khuda karke jub bakre myan raazi honge tou phir daant singh waghaira bhi dekh lenge..bakre khan ki shikayet amez nazron ke jawab may kahenge..ke janwasaali aur qurbaani dono meraaj paati hain….agar dono baaten puri hoti nazar na ayeen tou dil ko ye keh kar tassali de lenge.” chund saal pehle apna bhi ye haal tha aaj bhi hai kal bhi rahega”

Arey waah..bade khush honge hum..ke ek tou bach gaya…jisey hum qurbaan hote dekh nahi paate…qurbaani ke waqt bakre jaan ki sarasmigi se waaqif hain hum…khaufzada si ankhen usper bezubaani ka alaam…marta kya na karta walaa mamla hota….rasi hum hi dheeli rakhenge.taaki miyaan bakre ka faraar asaan hojaye…qurbaani nafs ki de denge…

Aji aisa tou awal hog any…qasaii ki tou us din chaandi hai duam qasai ek dhundo hazaar milte hain jahaan may..ghar may hi ek adad nikal ayega…so fikar not jee…qurbaani tou zarur hogi jee…

Hmmmm bachpan may ek nhanni si iddi bhi khush kar jati …ab humen pata chal gaya

Aji khaana hi tou hai..agar kisi methe se khayal ne talkhiaan bhuladeen tou harj kya hai…haan jee tikhi si biriyani per meethi si kheer bilkul aise hogi jaise raanjha per heer…

Hum derwaza bandh karlenge apne kamre ka…jaldi jaldi khud ko saja lenge..tab kahin apni ronumaii hogi..umhm idd ka mauqa aur hum adaab-e-id ke khilaaf baghair ehtmaam ke idd Milan kaise karsakte hain…apni khusbuon may apne mehmanon ko basayenge…

Aji joda gar badan per ho aur kisi ko pasand aajaye tou ye dono ki beizzati hogi…so hum naya laa denge….ya dukaan ka patta bata denge….

Eddi gift sab khojayen magar dene waale tou yaadon may mehfuz rahenge..so un yaadon ka tohfa sada saath rakhenge.

Awal tou humen apni fayaazi se ye ummid hai ke hum fuqra ki duaon ke haqdar rahenge…duam koi azmaane peeche peeche aa bhi pahunche.hum unki dawat kara denge…dono tarha se..dast-e sawaal khuda ke siwa kisi kea age badhana uski kareem per tohmat hai…aur usey faqar azeez aur fuqra uske mehbub….duam agar hum unki sairi ke qaabil na nikle tou shermsaar rahenge…

Agar billion ka nasib itna shandaar hai tou bas yehi sochenge..ke miyan bakre ki yehi dua thi…tumne mujhe qurbaan kiya kya khud ki khahishon ko qurbaan karsake..khuda kare tumhen mujhe khana nasib na ho..taki tum mera derd samjh sako…

Pehle check karlenge idd is saal April may tou nahi aai hai..gar na huii tou yehi samjhenge saaheb-khana hum-mazakh nikle….

Aji bacha hi tou hai…ab agar hamaare haath may bhi ice-cream hoti tou hum apna yehi haal karte na…ice-cream zaalim hai hi aisi be-qaabu kar hi deti hai.yummmy jee yummy..so bache ki ice-cream per lalchaii nazar daalte huye usey muaf kardenge…

Gar batwa bhul aaye hum tou phir fikas ek pyaari si pyaar bhari chummi aur ek tight hug…sab ko nawazenge…haan sirf bachon ko…

Hmmm agar masrufiyet may idd ki koii rong number musalsal aaye tou jaan lena chahiye ke koi khaas rishta hai jo derperda idd Milan ki chah liye call kiye jaraha hai…hungamon may gar ye khayal dil se takraye tou fauran agli call per usey idd ki mubarkbaad pesh kar denge.

Hmmmm kya mushkil hai.mehmaan tou mehmaan hote hain..vo bin bulaye kabhi bhi asakte hain..idd per bhi..gar vo aa hi na paaye tou khuda ka shukur ada karenge ke usne is se bhi behter mauqa diya humen…saara khana yateem-khaane pahuncha aayenge…kuch tou sukun ka samaan Karen…hungamon raunaqon ki nazar huma waqt zindgi…bande kabhi is surat bhi ho teri bandgi….

Ummid hai mere halke phulke mazakh ko sanjdigi se na liya jayega….qurbaani apni jagah per nihayet aham hai….aur momino ki misaal hai hidaayet hai….
hai iddi na lene may hi bhalaii hai….kabhi aisa bhi ho ke sirf iddi per hi tarkha diya jaata hai…humen tou jee “chaand” chahiye…


No comments:

Post a Comment