Insaan ka dushman awal insaan hai..Shaitan saheb tou peeche haath baandhe ghaur karte rehte hain ke kub ye farigh hon tou apni baari aaye...shaayed kabhi aaye bhi na...kyon ki ghusse ki aag shaitaan say bhi zyada taqatwar hoti hai..aur ye kisi bhi rishte may dar aane ki quwat rakhti hai...kisi bhi...isliye insaan ko hamesha is say daman bacha kar chalna chahiye....Halaath ki shiddat dil aur dimagh ko maavuf kar sakti hai...us waqt ghaiz-o-ghazab ka shikar rubaru aane waali her shaye ho sakti hai...so khud ko un halaath may bhi sanbhale rakhna behad zaruri hota hai...kyon ki ek behter insaan apni kamzoriyon say behter waqif hota hai...Ghalathi sarzad hote hi us ghalathi per nadamat ka ehsaas usey saamne waale ki hatdharmi say zyada sataata hai..Aye kaash mai usey muaf kar deta...Kaash mujhe ghussa na aaya hota....so in do kaashon may phans kar ek aur kaash bechaara hojaata....So mere azeez Dosto, apni soch ko ek mauqa zarur do...
Tou aaiye phir ek ahad karen....jub rab ki khushi madd-e-nazar hai tou apni aankh apne kaan apna dil apni jaan sab usi ki khushi ke liye waqf karen....vo wajud jo rab ki amanat hai agar koi insaan usey gazand pahuncha bhi de tou ab ye tou rab ka maamla hai vo chahe tou her us waar ko rokh le ya phir uska rukh mod de....taaki bhale aur bure dono ko uska ehsaas hojaaye ke un dono ke darmyaan ek munsif huma waqt maujud hai...
No comments:
Post a Comment