Aye zamaane teri talkhi nay chashni chata di....teri talkh zubaan ne apni zubaan ki sheereeni badha di...ab in tund-o-tez mukalmon per hansi aane lagi hai...haaye koi inhen samjhaye bhi...ye nahi jaante ke ye apna waqt ye kahaan ganwa rahe hain...us pathar per sar pohdne ka kya faayeda jo apni jagah say tas say mas nahi hota...patharon nay bhi ab thaan li hai....vo apne hone ka thos sabut denge...vo apni jagah say hilne ka naam nahi lenge....so jitna chahe zor lagalo waqt ke pehlwano...tumhaari zubaan hamara dil....donon mil kar bhi na milenge...hum tumhaari herkaton per ab kuch na kahenge.....
Kitna achuta ehsaas hai ye....jisey koi aaj tak chu bhi nahi paaya...vo ehsaas ke siwa kya hai....log tou toh may rehte hain...per kis ki....khud ki khabar lo jaan-e-mun...khud ko tatolo....doosre ka dil uska apna hai....uska suraagh koi aur kya laga paayega....waan kaun basa hai,kis ki hukumat hai ye siwa rab kay koi jaan nahi paayega....aur deewangi ke rang hazaar...koi bhi rang chuda lo doosra chadne ko tayaar....so ahal-e-nashtar....hosh may aao...lahu saara tou kub ka beh gaya hai..apni .rooh sairaab hai aur tumhara khanjar pyaasa....isey kahin aur azmaao....