Thursday, November 14, 2013

Yaqeen ka martaba



na pooch mujh say surat mere yaqeen ki
wahi surat hai sajdon may meri jabeen ki

Basa awqaat aisa bhi hota hai ke insaan apni zindgi may pesh aane waale nagawar waqiyaat aur taklif deh haalaath ka saamna karte huye khud ko tutne say bachaane ki jad-o-jahad may unhi halaath ka pehlu aur apna zaviya-e-nazar badal kar rakh deta hai taaki zindgi ki mushkil ghadiyon ko jhelne may asaani ho...aur dusre apni tawaqaat ki haar na ho...yaqeen ka tutna ek pyaasa muntazar dil sahaar kaise sakta hai...koi na koi ummid kisi na kisi shakal may insaan ka jeena asaan kiye rakhti hai...aur sab say badi aur afzal baat ye hoti hai ke usko is baat ka sau feesad yaqeen hota hai ke Rab-ul-Alamin apne bandon ke ahwal say bekhabar ho nahi sakta...gar mushkilen aai hain tou asaan bhi hojaayengi...aur in mushkilon say guzarne ka safar taye karne ke liye jo darkaar hota hai vo anokhe andaz may jub pesh hota hai tab waqi banda bekhabar hota hai ke ye nazar-e-iltifaat rab ki bande say mohabbat ki dalil hai...ke vo zakham ba marham pesh karta hai...aur insaan marham paa kar zakhm bhul jaata hai ...ye karigiri hikmat-e-ilaahi ki sab say kargar saabit hoti hai...

So yaqeen ki kaii suraten hoti hain aur kaii shaklen...aur is yaqeen ka beej mokhtalif andaz may boya jaata hai...phir laakh manzar uske yaqeen ko jhutlaayen vo apni jagah say tas say mas nahi hota...vo gunj ban jaata hai...uski baazgasht sakun ka samaan hoti hai...so yaqeen ki koi had nahi hoti..ke koi kis had tak kis per yaqeen karta hai...ya kar sakta hai...bas hota hai khuda daad yaqeen...haq shanaas yaqeen...nafs sarbuland ho hi nahi sakta jub tak imaan salamat hai..ye waswase ye badgumaniyaan ye shak-o-shubahaath ye tamam apni jagah per durust bhi hosakte hain kyonki jub tak ankhon ko mukamal nazara na mile usey sab kuch nazar ka dhoka hi lagta hai..".Fareb khana tou dil ki purani aur azli adat hai.". so her shaye ki haqeeqat khojte waqt inhi shubahaath ki wajah say usey paa nahi paata....aur apni zindgi ka behtreen aur karamad waqt isi beyaqeeni aur shash-o-panch ki nazar kar baith-ta hai..Jo wazah tasweer pesh hochuki hoti hai us say  nazar mehroom rah jati hai....pachtawe say behter hai yaqeen ki surat....

Raha Mera yaqeen jiski sab say yaqeeni shahid khud meri hiss-e-jamaali hai...ke usne mujh per ye meher kuch soch kar hi ki hogi...taaki mai gawah rahun apne tamamtar sawalon ke jawabaath ke saath....

na unke lub hile na koi junbish-e-chasm-e-khamoshan
mai hairaan hun vo bayaan tha darkhashan darkhashan


justaju jinke mizaj ka khaasa hoti hai unki justaju ka haasil aksar mujasim hojaata hai....aur unka jawab paheli ban kar rubaru hojaata hai..jo manzar may kho gaya bas vo kuch na samajh paaya...jisne is amal ke maghaz ko paaliya bas usne phir sab kuch paa liya....Rab-e-kareem ki rahmat ka ehsaas paa lena bande ki mukamal najaat ka samaan hai..

Saturday, November 9, 2013

nazar nazar ki baat hai....





Aaj jub aaine per nazar padi tou kya dekha ke jo chehra dikhaii deraha tha vo wahi tha jisne kaii dinon say ye gawahi di thi, ab mai vo nahi hun ,ab mai badal raha hun, mai waqt ke saath pighal raha hun, per aaj usi chehre ne muskura kar kaha, ke sab teri nazar ka pher hai...jub dil shaad hua teri nazar ne shaadmaani chuni, jub tera dil ghumgeen hua teri nazar ne ghum ki kahaani chuni...saaare jazbe apna aks tujh may hi chod jaate hain..vo kisi aur ko kahan nazar aate hain, vo teri patangen tod jaate hain....perwaz khushi ki hoti hai, udaasi zameen ki amanat hai...khaak-saari, saare khaakh jazbon ki kok say janam leti hai..aur ye andruni uthal puthal chehre apni parton say ulat dete hain...chupaaye nahi chupte...faqat kamaal nazar ka hota hai ke vo kya dekhna chahti hai aur usko kya dikhaii deta hai...sab say badh kar usko kya dikhaya jaa raha hota hai..

Ye raaz ajnabi hain, ye raaz surmaii hain...ye raaz makhmali hain...ye raaz sandali hain...ye raaz ek paheli hain....sab nahi bujh paate...bas aate hain chale jaate hain...khud ko khojne ka , khud ko sochne ka amal kitnon ki fursat de paati hai...vo lamha-e-ghaur-o-fikr bade nasib say milta hai. qismat wale hote hain vo jo nazar-e-karam paate hain nazar paate hain...bas aisa hi karam hogaya is deewani behaki behaki nazar per....jisey khud ka bhi hosh nahi, ek lage bandhe nizam ke tahat khud ko faraayez ki dori say baandhe apne shab-o-roz say , apne guzarte waqt say  ghaafil badhi jarahi hai...khuda ne kuch soch kar hi bandon ki lagaamen kas rakhi hain warna ye belagaam khahishen sarkash dilon ki rasiyaan tudwaane may koi taamil nahi karteen...dil armaan jism aur jaan sab chund din ke mehmaan..hameshgi sirf haq ko hai..haq ka perda hoti hain khahishen ...gar nazar haq say milaana ho tou khud ko bhulana hoga....khudi say nikal aana hoga...mehbub aise nahi raazi hota...mohabbat yon nahi haath aati hai.....rab sa sona, rab sa haseen, rab sa ashiq, rab sa rangeen koi nahi...aap ko jis say bhi mohabbat ho wahan aap zara ghaur karen tou rab ka hi jalwa nazar aayega jo aapke mehbub ko aapki nazar may mumtaaz karta hai...uska koi kamaal nahi saara kamaal aapki nazar ka hai jahan rab ne apni mohabbat nazar ki....warna mohabbat jaisa nayaab jazba bashar ke haath nahi aata...

Sarfarazi ki tamanna sirf ek shert per puri hosakti hai....apne mehbub ki maan jaa...apni khahishon ke hathkandon ko jaan jaa....ek dil tamam umr ki khahishon ki jung ki kahan tak taab laata....aakhir vo thak kar  jism ka saath chod jaata hai..aur jism apni kaleed kho kar dher hojaata hai...so dher may tabdel hone say pehle gar apne dil ko zara in sarphiri khahishon say aram dein tou ye dheir koi aur shakal le sakta hai...aur apni baqa ka jwaz pesh kar sakta hai...fana ka maza tab hai jub aap mehbub ki itaa-at may fana hojaao...fana ka nasha tab dobalaa hosakta hai jub aapki ankh mehbub ko khud may paale....aur uski nazar ko apni nazar kar daale...