Monday, September 16, 2013

Nasha Ba-Kaif







Saare nashe khud ko bhulaane ke liye hote hain...kya khud ko paane ke liye koi nasha darkaar hai? Zaruri tou nahi per basa auqaat aisa nasha bhi bakhsha jaata hai....jisme doob kar insaan khud ko daryaft karta hai....ye sab say tez sab say muhallik nasha hai jiski kaat fana ka moqam hai...ahista ahista ye hawason per chaaye huye tamaam jaraseemi asraat zaayel karta hai . phir kahin jaakar kaif ki mehefil haath aati hai...ye kaif abadi hota hai so nasha bhi lazawaal hota hai....jis say nikalna maut ke mutradif hota hai...ke yehaan tassavur-e-janaanaan ke ojhal hojaane ka jo dar laga rehta hai...ji haan ye nasha mohabbat ka hota hai jo ek gumraah ko raah per lane ke liye bakhsha jaata hai...aur jahan gumrah apna moqam apna haal sab bhula baith-ta hai us lamha uski ana per ek zarb lagaai jaati hai. bas us tilmilahat ke daur ke baad hi agahi ka dar khulta hai....ke aakhir dil-e-nadan ko hua kya tha...aur ye khayaal ke aakhir is marz ki dawa kyon kar hogi....

Hmmmmmmmmmm isi liye tou kaha gaya hai ke ye ishq nahi asaan bas itna samajh lijiye ek aag ka darya hai aur doob ke jaana hai....bas ji phir is aag ke darya may kuch khusnasib kood padte hain aur kuch ko dhakela jaata hai...jo azkhud kud padte hain usnka safar asaan hota jaata hai aur jinko dhakela jaata hai vo na doobte hain na tairte hain unhen tou bade saaz-o-samaan muhiya karaane padte hain...ek adad kashti, ek maajhi aur patwar....warna nadaniyon aur hairaniyon ke samandar say ubharna unke liye asaan nahi hota....ye nakhuda khuda ki marzi say hi tayeen hote hain taaki uske bande ke andar chupi huii ishq ki chingaar ko haq ki hawa dedi jaaye....ye ishq khuda ka ansar hai jo bande may widiyet kardiya gaya....warna khuda ashiq ho aur bande ku uski siffat na mile ye kaise hosakta tha....khuda ne apne ishq ko hi bande ke seene may muntaqal kiya...so laazim hai ke bande ko rab say deewanawar ishq hojaaye aur is kaifiyet ki jhalak apne nakhda may paale aur deewana hojaaye.......................


ishq faqat jazba-e-aatish hi nahi hai
ye bande aur rab ke taluq ka nishaan bhi hai