Wednesday, March 20, 2013

Socho Zara............




Ek insan ki soch usey uske maa ke batan say hi milti hai...Jub ke vo maa ke batan may 40 din ka nutfa-e-hamal ban kar maujud hota hai us waqt jub uski rooh bheji jaati hai alam-e-arwah say...Usi waqt khuda uski qismat taye kar chuka hota hai..Ek insaan ki qismat uski maa ke jism ki gardish say judi hoti hai...aise may vo kahaan un mizaj-o-asraath say bach paata jo ke uske pehle mahol may pehle say maujud milte hain...Ek insan ki dhadkan jiski dhadkanon ke saath judi hoti hai vo usi ki laye ko hi zindgi maan leta hai...ye fitri hai...Sab say khubsurat mohabbat maa aur bache ki hoti hai...ek paasban dusra uski jaan...ek ek lamha uska ehsanmand hota hai insan.

Ek insan ki perwarish ka zimma aur ek insan ke suprud karna khali-az-sabab nahi tha..Aur Adam ki pasli say aurat ku dhalne ka matlab yehi tha ke ye rishta atut talluq bana rahe aur yehin say lazawal mohabbat ki ibtida ho.jis tarha jism say uska koi bhi hisse ka alag hona  insan ko kamzor kar sakta hai.. Admi aur aurat donon ki hum-nashini ek aur ferd ki perwarish ke liye behad zaruri hai..Khuda ne bahut soch samajh kar hi apni takhlikh ke ye mukhtalif rang chune...

Adam ko hawa ki shakal may ek khubsurat rishte say nawaza..Yon is khubsurat duniya ka aghaz kiya...Aur unhen apni makhlukh ki takhlikh-o-perwarish ki zimmedari bakhshi...isi ummid per ke usne unhen apne wasf ke vo hisse barabar bakhshe jo uski makhlukh ko unke paasbaanon say milne waale hain.Farayez say kotahi muhalik sabit hosakti hai iski bhi wizahat kardi gaii...unke liye misaalen qaayem ki gayeen...zamaane dohraye gaye...jahan insanon ki gumrahion ne tabah-kaariyan machaaii theen...Aur qaumen barbad huyeen ...Phir bhi khuda ki rehmath ne unhen mauqe faraham kiye sanbhalne ke...samajhne ke...pehchan ke....Aur ye silsila hazrat ezazil ki azmaish thi....ke jub tak tu nahi thak jaata hum bhala khamosh kaise ho sakte hain....tere daawon ko jhuta sabit karne ke liye hi hum adam ki rooh may maujud hain...

Aur admi aur aurat ke rishte ko ek khubsurat kadi bakhshi gai...Aur unhen Maa aur Baap ke rutbe say sarfaraz kiya...ye sarfarazi yon hi haath nahi aai thi...iski sherten bhi kadi theen...apni zindgi unhi ki nigehbani may sarf karna...apni khushion ko unki bahbudi per tarjeeh dena...khuda ka maslak unke suprud karne may kotahi na karna....unhen ek kaamil insaan banaane may koi kasar na chodna....unme Apne Aqa ke tamaam ausaf-e-hameeda ke ansar widiyet karne ki koshish karna...jo ke her bani nu ke liye unki saanson ka dar-o-madar hain...

Aur is kaar-e-azeem ko paaya-e-takmil tak pahunchaane may sab say bada haath Maa ka hota hai..Isi liye Khuda ne Insaan say kaha ke tumhari junnat Maa ke qadmon tale hai...iska matlab ye nahi ke khuda ki sohbat waali junnat yehin pe milegi, bulki ye junnat maa ki khidmat ke iwaz bhi insaan paa sakta hai...us Maa ki khidmat jisne apne bache ki ek awaz per apni ninden haraam ki , apne bache ki bhuk-o-pyaas per khud ko faramosh kiya...Jis ne is duniya ke hungamon ki misaal samne rakhi aur apni aulad ko ek achi soch bakhshi ek sahi soch say usey arasta kiya....jo uska aane waala kal taye karne waale hain...yehi vo sab say aham zimmedari hai jo khuda ne Maa ke suprud badi ummid say ki thi ke ek insan us shafeeq aghosh may apni zindgi ke behtreen daras lega aur khuda ke bataaye huye raaston per chal kar apni aane waali naslon ke liye misaal qayem karega....

Ek insaan ka sahi hona ek qaum ka sahi hona hai...ek sahi aur acha khayal bilkul kisi khushbu ki tarha ehsaasath ka safar karta hai aur kitne dilon ko kitne zehnon ko mehkata hai...Aur ye mehek maurusi asraat liye hoti hai....ta-zindgi dilon ka safar karti hai.

So dosto ye sochne aur samajhne waali baat hai..ke hamara ek ghalath qadam, hamari ek bahaki soch, sirf hum tak nahi rehti, hamare aas paas bikhre rishton ko bhi lapet may le leti hai..Aur uske samraat unke aane waale waqt ko tabah kar sakte hain...Ye hamara ferz-e-awaleen hona chahiye ke hum apni nasal ko hamari be-qabu zindgi ka nishaana banne say roken..Hum pehle khud per qabu rakhen, hamare satrangi jazbon ka tajzia karen, ek insaan ka khud per qabu paana kaii insaanon ki zindgi may sukun-o-khushi ka sabab ban sakta hai...Bas ye amal ek choti si qurbani talab karta hai...aapki nafsani taskin ki qurbani...aapki aalihimmat ka taalib hai ye waqt,jisne apne ghazab per qabu paaliya usne junnat fatah karli...kyonki wahin say israr khulne lagte hain...khuda ka wada yehi hai " inna-lillahi-maa-sabireen "

Monday, March 18, 2013

Mera Dost







Pal pal ke tajrubaat khayaalaath per hawi hone lagte hain...Aur zeheni paragandagi ka sabab bante hain...So tahreeren bhi rang badalti hain....per inhi ka nichod hoti hai zindgi...inhi say soch ko raah nasib hoti hai...ke kub hum dagmagaye, kub humen sanbhala gaya, kub humen hosh may laaya gaya..ehsaas dilaane ke liye hi halaath pesh hote hain...so mere Dosto mujhe yaqeen hai ke aap insay apne liye behteri ki raah chunenge...

Insan ki yehi fitrat hai vo hamesha khushion ki talaash may hota hai...jub tak milen khushbash aur khushdil rehta hai...Zara si hawa kya badli muntashar hone lagta hai....Ab ye khushi khushi ki baat hai ke usey khushi kis may milti hai...Aur mushkil her us baat say hoti hai jo tabiyet per giraan guzre, nafs ki charagiri per kamarbasta dost bada marghub hota hai..Aur naseha Dost raaton ki nind uda le jaata hai...Yehin say zindgi ka vo daur shuru hota hai jahan insan ki parakh hoti hai..uska mustaqbal taye hona hota hai...Maazi ki kotahiyon ko haal ki danishmandion say mustaqbal ke natayej tak lejaana asaan nahi hota...Inhi mushkilon ko asaan karne ke liye mavin-o-madadgaar hote hain insan ke anjaane may kiye gaye ache amal....unka alag hisaab hota hai...Uski fitarat ke asli rang achanak hi ubharte hain.aur wahi haqeeqi hote hain.

Yehan mai is baat ka zikr karna chahungi...jo wada zubaan nahi hota vo ada hota hai...wafa hota hai..mai jaanti hun ke kub kahaan aur kaise mujh may hausla ban kar namudar hua tha vo..mera madadgaar ban kar sang chala tha vo..Meri har mushkil usko pareshan karti hai mai jaanti hun...uski yehi baat meri mushkil asan karti hai....mai jaanti hun haan mai jaanti hun...ek aisa rishta jisme her rishte ki mehek mili khudaii niyamat hai...Kya waqi mai itni khushqismat hun...zahe nasib, ke mujh per mera rab meherban hai, meherban rahe......


Friday, March 15, 2013

Hai Bahaar Pur-israar





Mosam-e-bahaar ka nazara waqi farhath bakhsh hota hai.Isi liye iski tashbeeh khushi say ki jaati hai..Per khushi kya mosamon ki tarha tayeshuda lamha hai? Khuda jaane...Per khushi ka her lamha apna hi mosam hota hai..Jo dil per chah jaaye tou chehra gulzar hojaaye...jo nigahon may sama jaaye tou mahol purbahaar hojaaye...Kisi ne ye dua di ke ab ke khayaal apni rut na badlen...in per bahaar her mosam may eksaan khili rahe...Kaash dil per itna qaabu paaleta insaan taaki usper halaath ka koi asar na ho, per aakhir dil hi tou hai...inki zad may aa hi jaata hai...vo ek khayaal jo khushi ka sabab hota hai vo us khayaal say bhi koi waada chahta hai ke aye mere humnasheen mai her waqt tere saath hun, tujh may maujud hun...chahe koi bhi mosam aaye mai tujh may mehek uthunga....kya ye waada hai?

Ye dil bhi bada paagal hai ya isey paagal samajhna pagalpan hai...Haqeeqat wahi hai jis ka ehsaas ho, warna sab khwab hai.khayaal usi haqeeqat ka safar hai..ye safar bil-ghaib hai.Hota bhi hai aur khabar bhi nahi hoti...so is khayaal ki haqeeqat say nibah hi zindgi  hai.

Kahishon say azaad hone ki khahish karna bhi ek khahish hi tou hai...so khahishon say chutkara mushkil hai...per vo khahishen jo khamoshion ko bakhshi jaati hain aur phir unki parakh hoti hai..Aakhir kis say sawal karengi...ke humne tou nahi chedi thi ye daastaan...phir hum say gila kaisa...Gar tum na mile hote aur hum ko na gile hote....Ab ye inayet hi tou hai pyaase sehra ko samundar kardena...ab is samundar ki yehi fitrat hai apni betaabi lehron ko bakhsh dena....apni gehraii deewanon ki nazar karna.....

Wednesday, March 13, 2013

Ain-ul-Haq





Maine logon ko merte huye dekha....per logon ko unhen yaad karte huye nahi dekha...Ek insaan jo kal tak saansen le raha tha, jis say her rishta juda hua tha, jis ka her rishta talabgar tha, jiska hona niyamat say kum nahi tha, jiski ahamiyet apna juwaz rakhti thi, vo aaj zehen-o-dil say rukhsat hota hua dikhaii diya...Ye hote hain Duniyavi rishte jinki chah may hum dono jahaan bhula dete hain aur isi ghalathi ki padaash may hum say dono jahaan choot jaate hain...Kaise nadaan hain hum....Her sauda ghaate ka kar baith-te hain...


Na khuda hi mila na visaal-e-sanam
Na idher ke rahe na udhar ke rahe

Gar kisi ko parakhna ho tou mar ke dekh lena chahiye...per kya kijiye zindgi bhi dobara milegi nahi...so jo karna hai abhi karna hai....so Her kisi ki maut hi is baat ki gawah ban jaati hai ke khuda bande ka rishta kya hai...Aur bande ka is duniya say kya waasta hai..Zara ain-ul-haq ka nazara kar len...phir her jazbe ki haqeeqat wazah hojaayegi...

Akhir in chund saanson ka taqaza kya hai...jub tak ye chalengi inhen apni mehek chahiye...dehak chahiye...apne hone ka yaqeen chahiye...chaliye yaqeen aa bhi gaya....per kya in ki sahi qadar kar paaya hai bashar....warna apna ye hashar na karta...ek insaan ki soch hi uski zindgi taye karti hai..usey wahi milta hai jo vo chahta hai...chahaten gar ghalath huyeen log bhi ghalath hi milte hain..log gar ghalath milen phir zindgi ghalath raaston per chal padhti hai.Aur ye raaste kabhi sahi aur asli manzil nahi paate...bas bhatkan nasib hoti hai..

Zindgi aur maut sirf samjhaane aati hain..aur hum hain ke jeete ji kahan samajh paate hain aur mar kar sirf dekhte reh jaate hain..Duniya sirf tamasha hai aur log tamashaii....yehan her rishta sauda hai aur rishte saudaii...in may ulajh kar kisi ne uski ulfat nahi paai...Kaash aye kaash baad az maut kisi pe kya guzarti hai isey her pal banda yaad kar leta phir jeete ji ye mauten kabhi nahi marta...koi kisi ke liye nahi rota....jo kal tak jaan say tha pyaara usey baad marne ke pal bhar gawara nahi hota.....

Maana her shaye faani hai...is jism ki bhi bas chund roza kahaani hai....zindgi ki mukhtasar jawani hai....magar jo apni hasti ki perwa nahi karta duniya bhi usey faramosh kar deti hai...So aisi duniya ke peeche apni hasti ganwaii bhi tou be-maani....gar ye nesti raah-e-khuda hoti phir usi may khuda bande ki ulfat ki wafa hoti...aur apni is khaak hasti ki baqa hoti...wahi insaan ki asal irteqa hoti....Kahan hum yaad rakhte hain mohabbat ke usulon ko.....meheboob hai yehi itba apne jaan say pyaare rasulon ko...