Saturday, March 24, 2012

Kuch aur zamaana kehta hai.....



Aye meri humraaz, ab tu raaz na rahi, jub ke tu zubaan hogaii...aye zindgi tu aam hogaii , dil jub lafzon may dhale , jub ehsaas sitron may badle, tab paighaam ban jaata hai...zindgi tajruba hai...insaan roz hi kuch na kuch seekhta hai, apni herkaton say, apni soch say, apne halaath say, apne aas paas bikhre logon say ,unsay mulaqaat say...ye mehefilen, ye mulaqaaten, phir ye baaten....yehaan pehchaan ka safar shuru hota hai...khud ka bhi auron ka bhi....khud ko bhi,logon ko bhi...

jub bhi mukhtalif dilon say mulaqat huii, yehi dil socha kiya ke khuda ne her dil khubsurat hi banaya, yeh tou hazrath-e-insaan ki karfermaii hai ke usne apne qudrati husn ki jazibiyet khoii hai..inme ammezish kar ke...ye tou taye hi tha...insaan ki jibbilat say...iski rang badalti fitrat say...iski khahishon say....in sab ke bawajud jo baaqi hai vo bhi haseen hai....

ye nazar kisi aur janib uthne say pehle khud ki taraf uthey...yehi behter hai...hota bhi yehi hai....jub bhi kisi ki soch rubaru huii khud say rubaru huye hum....kya hum ne apni dhulaii karli? I mean kya humare qalb ki mukammal safaii hogaii? abhi tak ye amal jaari hai...isey mukhtalif marhalon say aur guzarna hai...iski kasafaten kahaan itni jald azad hone waali hain....so her kisi ka maamla bhi kuch aisa hi hai....so mere dosto....jahaan bhi nazar daalo...jisey bhi samajhna chaho....samjho magar pyaar say....kuch haasil nahi takraar say....