Wednesday, November 30, 2011

Kal ki Soch...





Koii zindgi say ghabra gaya...koi zindgi ban gaya...koi zindgi say kinara kar gaya...zindgi zindgi chahti hai..yehaan murdadilon ka kaam kya...yehaan khamoshion ko sunega kaun....yehaan luntaranion ka shauq  hai kise...yehaan zubaan ka hai kaam kya...yehaan samaaton ko aram kahaan....sargoshion may bhi hain tabsarey...jidher mudo wahin hain paintre...

Aqal ke ghodey daudaane waalo..zara thaam lo lagaamen....aage bhi khaai hai..peeche kunwan tou tha hi...ye jo raasta tum jahaan say guzar rahe ho isey pulsiraat tassavur karo....zara sanbhal kar qadam rakho....roz-e-jaza say pehle bhi hoga hisaab-o-kitaab.....sawaal karne waalo tum say vo talab karega jawaab...

Mohabbat ki fasal aisey hi nahi ugti...khushaind kal ke tamanaai, ye sauda muft nahi hoga...yehaan daam dil ke bhi lagte hain..ye mauqe chahne waalon ko hi milte hain...beej boyega ulfaton ka fasal paayega  remhaton ki...

Monday, November 28, 2011

Rang




Aye meri hunafas mai sunaun aa phir gardish-e-dauraan ke wahi tazkare...khuda ki chahat taley kis tarha chahten insaan ki khud apni zad may aagayeen, apni chahton ki shiddaton say mil kar ghabra gayeen.

Ye dhoke itne haseen kyon hote hain aakhir? inme kho kar admi apni asliyet faramosh karne lagta hai...inhi dhokon ko zindgi maan kar jeene lagta hai...zindgi ka chehra badal deta hai, phir apna chehra bhul jaata hai...

Ek khayaal khalikh ka apni asal say mulaqat ka sabab ban sakta hai...ke usne apni hikmat ko insaan ke amal may poshida rakha hai...gar ek lamha ghaur-o-fikr ka mil jaaye, phir insaan waqt rahte hi sanbhal jaaye...

Kaash aisa ho paata....mumkinaath  ko laghzishon ke hawaale hote dekhta reh jaata hai banda...ke khair-o-shar ke darmyaan ek namalum sa perda khahishon ne hi tou buna hai...aur inhi khahishon ne insaan say uska asal maqsad chin liya hai...usey apni asal say mahroom kiya hai...


Rang vo chade jo mehbub sa lage...mehbub vo rahe jo mehbub ko masrur karta rahe....surur vo rahe sirf uska khayaal  jaam, saaqi ,maye, mayekhaana hojaaye...

Sunday, November 27, 2011

Haan sun...



Aye dost tere dar per phir aagaii hai deewani...apna wahi qalam lekar ,apne wahi zakham puraane lekar..

Maine jub bhi auron ke sitam dekhe, apne bhi zulam dekhe...kahaan maine suni dil ki, sada zamaane ki suni hai maine...jo sab ko sahi lagta hai wahi karna hi meri baqa hai..kyon ki gar kehne pe aaungi mai phir her rishte ki fana hai...ye mai ne jaana hai zubaan ho ke...

kal sadion purana ek derd mila ,samjha gaya mujh ko....dekh mai tera kal hun,mai bhi jawan tha kal...ab tu hi mera kal hai aur mai tera aane waala kal...

ab bhi sanbhal ja dil....waqt bada daana...aur tu sab say bada nadan...daman kyon chudata hai...nazren kyon churaata hai...apne aane waaale kal say...tujh ko her haal may milna hai...

Friday, November 18, 2011

Nain Pyaala






Meri pyaari..tu naraaz na hona dairi...mujhe kabhi kabhi mai khud yaad nahi rehti..phir tu bhala kaise naraz hosakti hai....mere lafz saakt hain...mera dil munjamid....likhun tou kya likhun...zamaane ke pathraye huye tewer? zamaane ke thukraaye huye lamhe?

Tanhaii jub phut phut kar rona chahti hai tab hum usey shikayet amez nazar say dekhte hain aur vo apna rona bhul jaati hai...aakhir ye ansu shikaayet ka hi tou ishaara hain...shikaayet aakhir kis say hai? log tou bhaant bhaant ke hain mizaj bhi mukhtalif hi tou honge...phir unme kya talaashta hai dil...kuch apna sa...sab agar apna hota tou phir khalikh ka kaam asaan hojaata...

ye numi chupa ke rakh aye dil..kahin kisi banjar dil ke kaam aayegi...isey zaaya na kar...ye shabnum ibadat ka haasil hain...ye ose ki bund mohabbat ka samar hai...jo seedhe sehen-e-dil say nikal kar nain pyaalon say mil kar..her lamhe ko gul aur gulshan kar jaayegi....

Thursday, November 10, 2011

Ek Nigaah...





Aye Dost mubarak ho tujhe phir zindgi mil gaii....tere page ko rangeen karne ki mohallat mil gaii...phir hosh aaya hai najaane is hosh ki umr kya hogi...kisey patta....saaqi ka ek ghunt inaayet tha barson ki madhoshi ney derd say araam diya tha laikin....ab ke hosh ke jalwe bhi niraaley hain...kitne arsey baad hum hosh may aaye hain....kahin ye koii tahalka na macha daaley....kahin ye sab ke hosh na uda daaley.

Aisa na ho ke Saaqi phir ek nigaah daale......

Friday, November 4, 2011

Aa tujh pe kuch naya likhun....




Haan meri azeez...tujhe maine arse say chua nahi...tujh say kuch kaha nahi...kahun bhi tou kya kahun...zindgi ne naya kuch likha nahi...log tere pannon ko sunehri keh saken aisa maine kuch kiya nahi...wahi aam say hain silsiley...wahi roz ke hain masghale....wahi log wahi khayaal diljale....ab inme kuch rakha nahi...

Aa aaj tujh say mai kuch aisa kahun...aaj tujh pe mai kuch aisa likhun...ke sadion baad bhi mai aur tuu kahin kisi gumnaam say haath ki betaabion taley, koi khush-numa khwaab say jagmagaa uthen...dil aur daman jal gaye tou kya hua, rooh ko jhal rahi hai baad-e-saba..kisi kohstaan ki makeen si, kisi husn-o-jamaal ki jabeen si, kahin sitaara bani, kahin chaand bhi,aa bun len phir say koii khwaab,saahir ke khwaab ko mil jaaye jawaab...