Wednesday, September 23, 2009

Aaj Aur Mai.........




Kal ki baat karne waaley aaj jiya nahi karte...kal ko lekar chalne waale aaj ko mukammal karte hain..aur mai aaj ko jeena chahti hun kal ke her sabaq ke saath zindgi ki kitaab ko mukammal karna chahti hun.so ye mera Aaj hai us Kal ke naam jisne zindgi ko behter rifaqaten bakhsheen...jahaan zindgi ne khud ko sochne per majbur kiya...ek mulaqaat adhuri thi dusri mulaqat khud se puri thi.

Aaj behter mosam laaya hai.kal ki shaakh se tuta hua her patta aaj ke is mosam ne hara kar rakha hai..ye tute patte gar bikher jaate tou panno may mehfuz hojaate..phir panne shelfon may saj jaate...phir yaadon may shaamil hojaate..magar in harey mosamon ne is kal ke her pal ko khud may mehfuz karke laa-zawaal kar liya hai..ab vo kal kabhi na bichadne waala saathi hai..is Aaj ko zindgi ka ujala usi kal ki tareekion se mila hai..is Aaj ki saari raunaqen usi kal ke dam se lagi huii hain.

Khuda jaane hum insaan zindgi ke her pal ko usme shaamil her paighaam ko,her ishaare ko kaise nazar-andaz kar jaate hain.waqt tez raftar zarur hai..par kuch lamhon ki muhallat tou deta hai,zara tehro,zara tham kar ek baar mud kar is guzarte huye pal ko ghaur se dekho.isey samjho..isey suno...isey chaho..ke ye tumhara hai..sirf tumhara hai...jisme tumhara ehsaas shaamil hai...tumhari hiss ka dakhal hai..tumhari soch ki mehefil hai...jahan sirf tum aur tumhara dil hai..

Aaj mai ghani hun.aaj mai haatim hun..aaj mai apni niyamaton ke khazaane lutana chahi hun...ke ye bat kar babarkat hojaayen...bilkul us babarkat zaat ki tarha jiski arzu yehi hai..jiska karam yehi hai..ke uska sawaali kabhi khaali na jaaye...bulki uske dar se haasil khazaane dono haathon se lutaaye..khuda kare unki arzu meri arzu ho...meri justaju mere rubaru ho...Ameen.

Jub talak rahbar hai rahbari hai
Tab talak baaqi hasti meri hai
waqt ko gar suno ghaur se
her lamha ek paighambari hai